Tu Saath Hai Jo Har Mod Pe To
Fir Raaston Ki Kya Fikar
Manzoor Yaara Har Dhoop Chhaao
Tu Jo Hai Meri Humsafar
Muskurane Ki Meri Tu Hi To Hai Ik Wajah
Teri Maujudagi Hai Dil Mein Dhadkan Ki Tarah
Humnava Mere
Tu Hai Toh Meri Saansein Chale
Bata De Kaise Main Jiyungi Tere Bina
Humnava Mere
Tu Hai Toh Meri Saansein Chale
Bata De Kaise Main Jiyungi Tere Bina
Tu Hi Mohaafiz Hai Oo Yaara
Tu Hi Mera Marham
Oo Darwaze Pe Hi Rok Le Tu
Milne Jo Aaye Gham
Khauf Anhoniyon Ka
Ab To Ratti Bhar Nahi
Tere Hote Kisi Ka
Mujhko Koi Dar Nahi
Humnava Mere
Tu Hai Toh Meri Saansein Chale
Bata De Kaise Main Jiyungi Tere Bina
Humnava Mere
Tu Hai Toh Meri Saansein Chale
Bata De Kaise Main Jiyungi Tere Bina
waise toh jaha me dagaa dar dar pe hai
par mujhe mila, wo dost hai
jiski nigaah nirdosh hai
farishto jaisi soch hai, nahi wo bewfa
wo hai bhala, wo hai bhala
wo hai bhala hardum wo bhalaa
kis tarah se shukra tera ab ada karu main
kis tarah se shukra tera ab ada karu main
iss mohabbat ka harjana kis tarah bharu main
khaamosh reh kar bhi keh gaye
dariyaan sa dil tak beh gaye
tum par ho raha hai poora aitbaar
o humnavaa rehnuma tumsa hai dost kaha
o humnawaa rehnuma tumsa hai dost kaha
wo hai bhala, wo hai bhala
wo hai bhala hardum wo bhalaa
ishq ka bas naam liya
maine samjha nahi tha isey
tune sikhaaya ki ye hai ibaadat
rooh ki bhaasha hai yeh
teri badaulat paayi wo daulat
jo mili na mujhko kahin
jazbaat hadd se badhne lage
dene lage ye sadaa tujhe
har pal hai zaroori ab tera deedar
o humnavaa rehnuma tumsa hai dost kaha
o humnawaa rehnuma tumsa hai dost kaha
wo hai bhala, wo hai bhala
wo hai bhala hardum wo bhalaa
hey humnava mujhe apna bana le
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
hmm hoon akela, zara haath badha de
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
kab se main dar dar phir raha
musaafir dil ko panaah de
tu awaargi ko meri aaj thehra de
ho sake toh thoda pyaar jataa de
sookhi padi iss dil ki zameen ko bhiga de
murjhaayi si shaakh pe dil ke phool khilte hain kyun
baat gulon ki, zikr mehak ka acha lagta hai kyun
un rango se tune milaaya jinse kabhi main mil na paaya
dil karta hai tera shukriya, phir se bahaare tu laa de
dil ka suna banjar mehka de
sukhi padi dil ki is zameen ko bhiga de
hmm hoon akela, zara haath badha de
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
waise toh mausam guzre hain zindagi mein kayi
par ab naa jaane kyun mujhe wo lag rahe hain haseen
tere aane par jaana maine kahin na kahin zinda hoon main
jeene lagaa hoon main ab ye fizaayein
chehre ko chhuti hawaayein
inki tarah do kadam toh badha le
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
o hoon akela, zara haath badha de
sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de