Bharat Mata Ki Jai
Hai Mere Desh Meri Aankh Ka Taara Hai Tu
Hai Mere Desh Mere Dil Ka Sahaara Hai Tu
Khoon Jitna Hai Badan Mein Main Baha Doon Tujh Pe
Ae Meri Jaan Mujhe Jaan Se Pyaara Hai Tu
Maine Maangi Hi Nahin Koi Khushi Tere Siwa
Maine Dekha Hi Nahin Khwaab Koi Tere Siwa
Yun Toh Kitne Hi Ujaalon Ne Pukara Mujhko
Mere Dil Mein Koi Shamma Na Jali Tere Siwa
Tu Hi Dhaara Hai Meri Mera Kinaara Hai Tu
Ae Meri Jaan Mujhe Jaan Se Pyaara Hai Tu
Hai Mere Desh Meri Aankh Ka Taara Hai Tu
Hai Mere Desh Mere Dil Ka Sahaara Hai Tu
Khoon Jitna Hai Badan Mein Main Baha Doon Tujh Pe
Ae Meri Jaan Mujhe Jaan Se Pyaara Hai Tu
Aasmaan Ghar He Tera Zameen Bister He Tera
Musafir Jayega Kaha
Aasmaan Ghar He Tera Zameen Bister He Tera
Musafir Jayega Kaha
Khiche Taqdeer Tujhe Suje Naa Bheed Tujhe
Musafir Jayega Kaha Ho O
Aasmaan Ghar He Tera Zameen Bister He Tera
Musafir Jayega Kaha
Khiche Taqdeer Tujhe Suje Naa Bheed Tujhe
Musafir Jayega Kaha
Khwabon Mein Tarase Neendo Mein Gine
Rasta Hi Naa Samje To Munzil Kya Chune
Khwabon Mein Tarase Neendo Mein Gine
Rasta Hi Naa Samje To Munzil Kya Chune
Khud Hi Se Yun Judaa Huye Khud Hi Khuda Huye
Khud Hi Se Yun Judaa Huye Khud Hi Khuda Huye
Aasmaan Ghar He Tera Zameen Bister He Tera
Musafir Jayega Kaha
Khiche Taqdeer Tujhe Suje Naa Bheed Tujhe
Musafir Jayega Kaha
Aasmaan Ghar He Tera Zameen Bister He Tera
Musafir Jayega Kaha
Ho ali ali ali
Ho ali ali ali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ho ali mera wali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Jaagi re shohratein, manzilein
Sab hain mitti tere dar tale
Koyi sab kuchh mita ke mite
Koyi khud ko jala kar jale
Yeh fizool nahi hai
Jo kehte hain maalik allah hai
Ho ali ali ali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ho ali mera wali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ali ali ali ali..
Jahaan mein woh hi tanha hai
Jo tujhse bichhda hai
Yakeenan tu rehnuma
Tu raasta sabka hai
Yeh fizool nahi hai
Jo kehte hain maalik allah hai
Ho ali ali ali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ho ali mera wali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Marhaba apni marzi se hum
Unki aaghosh mein rehte hain
Bakhuda ab to sab log bhi
Humein malang kehte hain
Yeh fizool nahi hai
Jo kehte hain maalik allah hai
Ho ali ali ali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ho ali mera wali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ho ali ali ali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede
Ho ali ali ali
Allah maalik tu, maalik tu
De deedar dede.
Talwaron pe sar vaar diye
Angaron mein jism jalaya hai
Tab jaake ke kahin humne sar pe
Yeh kesari rang sajaya hai
Ae meri zameen afsos nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chahe jaan meri yeh rahe na rahe
Ae meri zameen mehboob meri
Meri nas nas mein tera ishq bahe
Feeka na pade kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Sarson se bhare khalihan mere
Jahaan jhoom ke bhagda paa na saka
Aabad rahe woh gaanv mera
Jahaan laut ke wapas ja na saka
Ho watna ve, mere watna ve
Tera mera pyar nirala tha
Kurban hua teri asmat pe
Main kitna naseebon wala tha
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Ho Heer meri tu hasti rahe
Teri ankh ghadi bhar nam na ho
Main marta tha jis mukhde pe
Kabhi uska ujala kam na ho
Ho maayi meri kya fikar tujhe
Kyun ankh se dariya behta hai
Tu kehti thi tera chaand hoon main
Aur chand hamesha rehta hai
Teri mitti mein mil jawaan
Gull banke main khil jawaan
Itni si hai dil ki aarzu
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzu.
dil se sun piya ye dil ki dastaan
jo lafzon mein nahi ho bayaan
dil se sun piya ye dil ki dastaan
jo lafzon mein nahi ho bayaan
ab jaisa bhi rasta tootega na vasta
naa rahega fasla darmiyan
naino ne bandhi kaisi dor re
naino ne bandhi kaisi dor re
ho munsif hi mera mera chor re
dil pe chale na koi zor re
haan dil pe chale na koi zor re
o khincha chala jaye teri ore re
o aaja tera daras dikha de mahi
mujhe mera aks dikha de mahi
tujhse judi hain sab kahaniyan
o aaja tera daras dikha de mahi
mujhe mera aks dikha de mahi
tujhse judi hain sab kahaniyan
chahe sau gardishein ho
par koi bair nahi
hum duniya se lad lenge
par tere bagair nahi
dil se sun piya ye dil ki dastaan
jo lafzon mein nahi ho bayaan
humsafar humraz tu
jism main aur saans tu
rehna mere paas tu yun sada
naino ne bandhi kaisi dor re
haan naino ne bandhi kaisi dor re
ho munsif hi mera mera chor re
dil pe chale na koi zor re
haan dil pe chale na koi zor re
o khincha chala jaye teri ore re
o dariya mujhe nahi jaana us paar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
o dariya zara rokan do majhdhaar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
o dariya mujhe nahi jaana us paar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
o dariya zara rokan do majhdhaar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
tair ke aaya nadiya ve, pal pal jaise sadiya ve
ishq bada hai imtehaan tera
chhaan li teri galiya ve, dil mera na mileya ve
mujhko bana le nigehbaan tera
o dariya hai tujhsa hi dildaar
o ranjha mera, o ranjha mera
o dariya hai wohi mera ghar baar
jaha ranjha mera, jaha ranjha mera
hath na chhute ranjha ve, sath na tute ranjha ve
mainu to bas didaar tera
lakh kahaa na maana ve, dil kaisa deewana ve
kabse kare hai intezaar tera
o dariya zara tham to ja ek baar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
o dariya mera peer mera hakdaar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
o dariya mujhe nahi jaana us paar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera
o dariya zara rokan do majhdhaar
aaya ranjha mera, aaya ranjha mera