dil se sun piya ye dil ki dastaan
jo lafzon mein nahi ho bayaan
dil se sun piya ye dil ki dastaan
jo lafzon mein nahi ho bayaan
ab jaisa bhi rasta tootega na vasta
naa rahega fasla darmiyan
naino ne bandhi kaisi dor re
naino ne bandhi kaisi dor re
ho munsif hi mera mera chor re
dil pe chale na koi zor re
haan dil pe chale na koi zor re
o khincha chala jaye teri ore re
o aaja tera daras dikha de mahi
mujhe mera aks dikha de mahi
tujhse judi hain sab kahaniyan
o aaja tera daras dikha de mahi
mujhe mera aks dikha de mahi
tujhse judi hain sab kahaniyan
chahe sau gardishein ho
par koi bair nahi
hum duniya se lad lenge
par tere bagair nahi
dil se sun piya ye dil ki dastaan
jo lafzon mein nahi ho bayaan
humsafar humraz tu
jism main aur saans tu
rehna mere paas tu yun sada
naino ne bandhi kaisi dor re
haan naino ne bandhi kaisi dor re
ho munsif hi mera mera chor re
dil pe chale na koi zor re
haan dil pe chale na koi zor re
o khincha chala jaye teri ore re