People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Suno Suno Ek Nayi Kahani
Singer: Mohammad Rafi
Music: S. Mohinder
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
suno suno suno suno ek nayi kahani
suno suno ek nayi kahani
suno suno ek thi rup ki rani
rani ki makhmur jawani
matwali bharpur jawani apne aap se thi begani
suno suno suno suno ek nayi kahani suno suno

us rani ka roop mahal tha jhil kinare
jiske jal me jhak rahe the chand sitare
dhudh se ujala sahad se mitha
dhudh se ujala sahad se mitha tha us jhil ka pani
suno suno suno suno ek nayi kahani suno suno

ek din ek pyasa sahjada usi jhil par aaya
usi jhil par aaya usne jal darpan me dekhi
rup rani ki chaya rup rani ki chaya
us chaya ko lene lapka us chaya ko lene lapka
dub gaya sahjada suna hai jal ko chita samjh kar
kud padi thi rani ho gayi khatam kahani
Ghir Ghir Chhayi Mast Ghataye
Music: S. Mohinder
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
ghir ghir chayi mast ghataye
dur papiha bole
ude chunariya rang birangi
gori ka man dole khaye hichkole ho
ghir ghir chayi mast ghataye
dur papiha bole
ude chunariya rang birangi
gori ka man dole khaye hichkole ho

chuda khanke payal chanke
nache pori pori
balkhati jhulati gati kaha chali ho chori
kaha chali ho chori
sarke chunariya lachke kamariya
lachke kamariya rama lachke kamariya
leher bina lehraye gori dole bina hi dole
ude chunariya rang birangi
gori ka man dole khaye hichkole ho

cham cham aaye nache gaye
albele mutiyare
dagar dagar me gunj rahi hai
jhanjhan ki jhankare
basti basaye panghat sajaye
panghat sajaye rama panghat sajaye
dekh dekh kar dil kahta hai
sath inhi ke hole ude chunariya rang birangi
gori ka man dole khaye hichkole ho

ghir ghir chayi mast ghataye
dur papiha bole
ude chunariya rang birangi
gori ka man dole khaye hichkole ho
Mat Samjho Neer Bahati Hu
Music: S. Mohinder
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
mat samajho nir bahaati hu
mai jalte jal ki bundo se
nainon ki pyaas bujhati hu
mat samajho nir bahaati hu

mujhe rone se kya kaam sakhi
in ansuvan me hai shyaam sakhi
in ansuvan me hai shyaam sakhi
naino me basakar unki chhavi
mai man hi man muskaati hu
mat samajho nir bahaati hu

yeh aansu dil ke sahaare hain
yeh aansu jaan se pyaare hain
yeh aansu jaan se pyaare hain
mai in takdir ke taaro se
soye huye bhaag jagaati hu
mat samajho nir bahaati hu

har aansu me unki murat hai
milne ki yahi ek surat hai
har aansu me unki murat hai
milne ki yahi ek surat hai
palkon pe sajakar ansuvan ko
mai pi ke darshan pati hu
mat samajho nir bahaati hu
mai jalte jal ki bundo se
nainon ki pyaas bujhati hu
mat samajho nir bahaati hu
Dekhte Dekhte Jal Gaya
Music: S. Mohinder
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
dekhte-dekhte jal gaya aashiyaan
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan
dekhte-dekhte jal gaya aashiyaan
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan

tujhse kaise kahun dard ka maajra
maine socha tha kyaa aur kyaa ho gaya
paas aaye magar ho gayi duriyaa
paas aaye magar ho gayi duriyaa
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan

sabke hote hue bhi akeli hun main
sabke hote hue bhi akeli hun main
aap apne liye ik paheli hun main
haay majburiyaan haay laachariyaan
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan

phunk raha hai jigar ji rahi hun magar
phunk raha hai jigar ji rahi hun magar
haay mai lut gayi tu raha bekhabar
mujhpe rote rahe ye zami aasmaan
dekhte-dekhte jal gaya aashiyaan
rah gayi raakh si uth rahaa hai dhuaan
kyaa sunau tujhe
Lagan Lagi Hai Sajan
Music: S. Mohinder
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
lagan lagi hai sajan milan ki
lagan lagi hai sajan milan ki
badhti jaye lay dhadkan ki
badhti jaye lay dhadkan ki
lagan lagi hai sajan milan ki
lagan lagi hai

beet gayi hai rain birah ki
aayi milan ki bhor
chhaya se pag padat hai aage
chali balam ki aur
pyasi ankhiya thi darshan ki
pyasi ankhiya thi darshan ki
lagan lagi hai sajan milan ki
lagan lagi hai

aaj sakhi ri tere man me
aramano kaa raaz
kya kya sapne dekh rahi hai
kahe to aawe laaj
hogi puri baat sapan ki
hogi puri baat sapan ki
lagan lagi hai sajan milan ki
lagan lagi hai sajan milan ki
badhti jaye lay dhadkan ki
badhti jaye lay dhadkan ki
lagan lagi hai sajan milan ki
lagan lagi hai
Jawani Jhulti Hai
Music: S. Mohinder
Lyricist: Kaif Irfani
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
jawani jhulti hai jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jami se aasma tak jami se aasma tak ab jawani aati jati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai

meri julfo ko jhuk kar chumte hai jhumte badal
meri julfo ko jhuk kar chumte hai jhumte badal
sabhi ranginiya badhkar pakadti hai mera aachal
dhun ko angdayi lekar apni baho me bulate hai
jami se aasma tak ab jawani aati jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai

meri aankho me paymane meri julfo me maykhane
meri aankho me paymane meri julfo me maykhane
baras jaye ye matlwali kab dil pe kya jane
aji kab dil pe kya jane
hawa aahista aahista mera ghunght uthati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai

anokhe saj sine me nirale geet hotho par
anokhe saj sine me nirale geet hotho par
najar kuch gungunati hai kabhi uth kar
kabhi jhuk kar kabhi uth kar mohabbat dil ki gahrayi me
mohabbat dil ki gahrayi me shahnayi bajati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai

ye masti si fiza me mere balo ka lahrana
ye masti si fiza me mere balo ka lahrana
sambhalo apni baho me sambhalo apni baho me
ke mujhko nind aati hai
kadam phulo pe padta hai najar taro pe jati hai
jawani jhulti hai aashiki jhula jhulati hai