mat samajho nir bahaati hu
mai jalte jal ki bundo se
nainon ki pyaas bujhati hu
mat samajho nir bahaati hu
mujhe rone se kya kaam sakhi
in ansuvan me hai shyaam sakhi
in ansuvan me hai shyaam sakhi
naino me basakar unki chhavi
mai man hi man muskaati hu
mat samajho nir bahaati hu
yeh aansu dil ke sahaare hain
yeh aansu jaan se pyaare hain
yeh aansu jaan se pyaare hain
mai in takdir ke taaro se
soye huye bhaag jagaati hu
mat samajho nir bahaati hu
har aansu me unki murat hai
milne ki yahi ek surat hai
har aansu me unki murat hai
milne ki yahi ek surat hai
palkon pe sajakar ansuvan ko
mai pi ke darshan pati hu
mat samajho nir bahaati hu
mai jalte jal ki bundo se
nainon ki pyaas bujhati hu
mat samajho nir bahaati hu