Action is the foundational key to all success -Pablo Picasso
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Dekhte Dekhte Jal Gaya
Music: S. Mohinder
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Naatha(1955)
Tag: Hindi
Video:
dekhte-dekhte jal gaya aashiyaan
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan
dekhte-dekhte jal gaya aashiyaan
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan

tujhse kaise kahun dard ka maajra
maine socha tha kyaa aur kyaa ho gaya
paas aaye magar ho gayi duriyaa
paas aaye magar ho gayi duriyaa
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan

sabke hote hue bhi akeli hun main
sabke hote hue bhi akeli hun main
aap apne liye ik paheli hun main
haay majburiyaan haay laachariyaan
kya sunau tujhe pyaar ki dastaan

phunk raha hai jigar ji rahi hun magar
phunk raha hai jigar ji rahi hun magar
haay mai lut gayi tu raha bekhabar
mujhpe rote rahe ye zami aasmaan
dekhte-dekhte jal gaya aashiyaan
rah gayi raakh si uth rahaa hai dhuaan
kyaa sunau tujhe