People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Banjaare
Music: Mithoon
Lyricist: Mithoon
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Villain/Banjaara/JBElcjpzQ
jise zindagi dhoondh rahi hai
kya ye woh makaam mera hai
yahan chain se bas ruk jaun
kyon dil ye mujhe kahta hai
jazbaat naye se mile hain
jaane kya asar ye huaa hai
ik aas mili phir mujhko
jo qubool kisi ne kiya hai

kisi shaayar ki ghazal
jo de rooh ko sukoon ke pal
koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
main mausam ki sehar yaa sard me dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjare ko ghar

jaise koi kinaara
deta ho sahaara
mujhe wo mila kisi mod par
koi raat ka taara
karta ho ujaala
waise hi roshan kare woh shehar

dard mere woh bhula hi gayaa kuch aisa asar hua
jeena mujhe woh phir se woh sikha raha
hm jaise baarish kar de tar yaa marham dard par
koi mujhko yun mila hai jaise banjare ko ghar
mai mausam ki sehar ya sard me dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjaare ko ghar

muskaata yeh chehra
deta hai jo pehraa
jaane chhupata kya dil ka samandar
auro ko to hardam saaya deta hai
woh dhoop me hai khada khud magar
chot lagi hai usey phir kyon
mehsoos mujhe ho raha hai
dil tu bata de kya hai iraada tera

main parinda besabar tha uda jo darbadar
koi mujhko yun mila hai jaise banjarey ko ghar
main mausam ki sehar ya sard me dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjarey ko ghar

koi mujhko yun mila hai
jaise banjare ko ghar, jaise banjare ko ghar
jaise banjare ko ghar, jaise banjare ko ghar