People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Jangal Jangal Dolu Mein Dolu
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Safed-Haathi/Jangal-Jangal-Dolun-Main/Ei5efhZCD2U
Video:
jangal jangal dolu main dolu hiran hiran mera naam
kaun tu kaun kaha se hai aya kya hai yaha tera kaam
bhag le bhag nahi to sher ko bulwa lunga
bhediye ko bulwa ke khal teri nuchwa lunga
admi ka bachcha hah
jangal jangal dolu main dolu hiran hiran mera naam

kaun awat hai bal hain kale kale
kuchh bhi nahi jangal ki tumko ada re
ayo mere pas mite nahi aisa
dekho gat gat apne ghar ek ayi adami ki jat
madad ko ana are kisne dikhlaya ise jangal ka rasta
bhale o ghar me rahna nahi hai itna sasta
adami ka bachcha
kala bhalu khaye aalu re o kala bhalu khaye aalu re
sidha sada lage gumsum rahe bada chalu re
kala bhalu khaye alu re

o bhalu mama suno kya hai be kya hai hangama kaho kaho
o nashe me hu main mujhko o bachcho abhi na bulana re
aur nashe ke alam me uthna baithna chalna phirna
daktar ki taraf se sakt mana hai kyunki mainne mahuya piya hai
meri bas yeh kata hai kahi mushkil hai ana jana re
kahi mushkil hai ana jana re

dur hato dur hato dur hato ai duniya walo
bangle tal hamara hai bangle tal hamara hai
bhole bhale prani re teri pal bhar ki jindagani re
yeh sher tujhe kha jayega ho jayegi katm kahani re
ai adami ka bacha raj karne aya hai
banduk chalane aya hai maar maar ke jangal se nikal dunga
hath hila ke chal

o re banvasiyo mere pyaro mere ladlo
path bhule pathik ko shama kar do
ghar aye atithi par daya kar lo
o o re banavasiyo mere pyaro mere ladlo

shaktishali ho use do shakti ka parichay
jo tumhari shakti ko lalakarne aye
pyar ka laya ujala jo andhere me
kyun usi nirdosh ko tum maarne
aye uske jivan ki khatir duya kar do
usko haste hasaate vida kar do o o re
banavasiyo mere pyaro mere ladalo
Bole Toh Bansuri Kahi Bajthi
Music: Raj Kamal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sawan-Ko-Aane-Do/Bole-To-Bansuri-Kahin-Bajti/BicSYjh2UGQ
Video:
bole to bansuri kahi bajti sunai de
aisa badan ki tarishna ka mandir dikhai de
bole to bansuri kahi

chehra tamam nagmagi aankhe tamam lay
dekhu use to jindagi gati dikhai de
bole to bansuri kahi

wo bolta badan hai ghatao ke bhesh me
bundo me uska lahza khanakata sunai de
bole to bansuri kahi

taire hai yu nigah me parchai aapki
pani me jaise barf ka tukda dikhai de
bole to bansuri kahi
bole to bansuri kahi bajti sunai de
aisa badan ki tarishna ka mandir dikhai de
bole to bansuri kahi bajti sunai de
Ek Chidiya Bina Ghar Ki
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Video:
ek chidiya bina par ki
shahjadi kisi ghar ki
ek chidiya bina par ki
shahjadi kisi ghar ki
bolo wo kaun hain
wo main hi to hu
wo kaun hain
wo main hi to hu
ek chidiya bina par ki

shahjadi nahi maharani hain
sab jane hain pagal siyani hain
kaam ki na kaaj ki dushman anaaj ki
kahe bechari ke pichhe padi ho
are aurat ho ya koi chadi ho
ye fikar jise hain ghar bhar ki
bahar ki bhitar ki
bolo bolo kaun hain
wo main hi to hu
ha kaun hain
wo main hi to hu

bahar bhasan ghar me bhasan
bhasan bina pachta nahi rashan
aaha bhasan bina pachta nahi rashan
ae mano ji mano maa ji ka shashan
dekho na dole unka shashan
wo bijli agar kadki
to khair nahi kisi sar ki
bhala wo kaun hain
wo main hi to hu
kaun hain
wo main hi to hu

aage pichhe koi kuch bhi kahe
wo apni duniya me khoyi rahe
aage pichhe koi kuch bhi kahe
wo apni duniya me khoyi rahe
phul chunti rahe roj baago se
baat karti rahe chand taaro se
jiske ghar jayegi usko rulayegi
kahe kisi ke angana me jayegi
yahi rahegi sabko satayegi
ek ladki phir sar ki
baat kare hain bepar ki
are tej badi mukaddar ki
raunak hain isi ghar ki
bolo wo kaun hai
wo main hi to hu
ha kaun hain
wo main hi to hu
wo main hi to hu
wo main hi to hu
Saajan Mere Main Saajan Ki
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Video:
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki
main to ye bhi na janu kab aur kaise
ye bhi na janu kab aur kaise
ho gayi re man bhawan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki

na to roop na gun hi aise
jane unko bha gayi kaise
meri jaagti aankhe lagta hain koi sapna dekhe jaise
padi pee ki najar yu
mujhpe padi pee ki najar yu
dharti par yu najar pade sawan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki

bin saaj singaar ke aaye
man soche aur sharmaye
mujhe pal me mil gaya wo sukh
sabko barso jo tarsaye
unki hoke rahungi
ab to unki hoke rahungi
janam janam tak, baat kya hain ek jiwan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki
main to ye bhi na janu kab aur kaise
ho gayi re man bhawan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki
Na Jane Aise Hogaya Kaise
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sajan-Mere-Main-Sajan-Ki/Na-Jane-Aise-Ho-Gaya-Kaise/BT5YRSJVe
Video:
na jane aise ho gaya kaise
na jane aise ho gaya kaise
ye dil ki bate pyar ki bate
bin kahe hum samajhne lage
na jane aise ho gaya kaise
na jane aise ho gaya kaise
ye dil ki bate pyar ki bate
bin kahe hum samajhne lage
na jane aise ho gaya kaise

do dilo ki koshish hai
char aankho ki sajish hai
kahte the log jara bachna
ye ishk nahi aatish hai
do dilo ki kosish hai
char aankho ki sajish hai
kahte the log jara bachna
ye ishk nahi aatish hai
ha is aag se bach na sake
ha is aag se bach na sake
do badan to sulagne lage
na jane aise ho gaya kaise
na jane aise ho gaya kaise

dunia ka rahe dar na
bas chale dilo par na
ek khas umar me khud hi
aa jaye mohabbat karna
dunia ka rahe dar na
bas chale dilo par na
ek khas umar me khud hi
aa jaye mohabbat karna
ha is umar ke us daur se
ha is umar ke us daur se
jane ja hum gujarne lage
na jane aise ho gaya kaise
na jane aise ho gaya kaise
ye dil ki bate pyar ki bate
bin kahe hum samajhne lage
na jane aise ho gaya kaise
na jane aise ho gaya kaise
Ghungharu Baje
Singer: Hemalatha
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Video:
ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje
taal naya jhankaar nayi
dil jeeta main haar gayi
jane kaise sapne saje ghungaroo
ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje
taal naya jhankaar nayi
dil jeeta main haar gayi
jane kaise sapne saje ghungaroo
ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje

jane main kaise badlne lagi
jane main kaise badlne lagi
nafrat mohabbat mein dhalne lagi
jeene ki rahein mili hai
jabse nigaahein mili hai
gum ke saaye gaye jaage hai armaa naye
ghungaroo ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje
ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje

apno ke dekhe jo humne sitam
apno ke dekhe jo humne sitam
marne lage hai begaano pe hum
badla hai aisa zamaana koi raha naa begana
pyaar jo dil mein jage har koi apna lage
ghungaroo ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje
ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje

tupha kinara sa lagne lage
tupha kinara sa lagne lage
dushman bhi pyara sa lagne laga
shaita lage jo kisi ko insaa lage jo kisi ko
mujhko farishta lage sadiyo ka rishta lage
ghungaroo ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje
taal naya jhankaar nayi
dil jeeta main haar gayi
jane kaise sapne saje ghungaroo
ghungaroo baje ho mere ghungaroo baje
Pyar Chahiye-1
Singer: Hemalatha
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Video:
pyar chahiye, pyar chahiye
hume ghadi ghadi yaar ka didar chahiye
pyar chahiye, pyar chahiye
hume ghadi ghadi yaar ka didar chahiye

chaal teri badli chalan badla
baat kya hui jo tera man badla
chaal teri badli chalan badla
baat kya hui jo tera man badla
mujhe to wahi mera dildaar chahiye
mujhe to wahi mera dildaar chahiye
pahli jaisi pyar ki takrar chahiye
pyar chahiye, pyar chahiye
hume ghadi ghadi yaar ka didar chahiye
pyar chahiye, pyar chahiye
hume ghadi ghadi yaar ka didar chahiye

chheda zara tujhko to gussa kha gaya
tere mere bich me kya koi aa gaya
chheda zara tujhko to gussa kha gaya
tere mere bich me kya koi aa gaya
pyar me na koi hissedar chahiye
pyar me na koi hissedar chahiye
tujhpe mujhe pura adhikar chahiye
pyar chahiye, pyar chahiye
hume ghadi ghadi yaar ka didar chahiye
pyar chahiye, pyar chahiye
hume ghadi ghadi yaar ka didar chahye
Sabne Desh Ka Naam
Lyricist: Anand Bakshi
Album: Rajput(1982)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Rajput/Sabne-Desh-Ka-Naam-Liya/IyA7WD1SYAI
Video:
sabne desh ka nam liya, sabne desh ka nam liya
are hum ne dil ko tham liya, hum ne dil ko tham liya
sabne hindhustan kaha
sabne hindhustan kaha or hamne apni jan kaha

apni jan se apni jan
apni jan se apni jan bachake hame kya karna hai
yahi pe hamko jina hai, yahi pe hamko marna hai
apni jan se apni jan bachake hamko kya karna hai
yahi pe hamko jina hai, yahi pe hamko marna hai
yahi pe hamko jina hai, yahi pe hamko marna hai

tu hai mast akele me aaha mai bhi hu is mele me
tu hai mast akele me aaha mai bhi hu is mele me
dil ko yad tu hi tu, desh ke bad tu hi tu
dil ko yad hai tu hi tu, desh ke bad hai tu hi tu
bandh ke sehra tere hi kadmo ne sehra dharna hai
yahi pe hamko jina hai, yahi pe hamko marna hai

yahi pe hamko pyar mila, yahi pe hamko pyar mila
yahi hame sansar mila, yahi hame sansar mila
yahi pe hamko pyar mila
yahi hamari daliya hai, yahi pe sab rangraliya hai
yahi hamari daliya hai, yahi pe sab rangraliya hai
isi dagar pe pyas hamari, isi dagar pe jharna hai
yahi pe hamko jina hai, yahi pe hamko marna hai

sawan gaya gayi holi hum kab milenge humjoli
sawan gaya gayi holi
jiwan hai sangram abhi, pyar ka na le nam abhi
jiwan hai sangram abhi, pyar ka na le nam abhi
teri mang me o gori sindur lahu se bharna hia
yahi pe humko jina hai, yahi pe humko marna hai
kaanton se talvaar bana, kaanton se talvaar bana
phulon ke mat haar bana, phulon ke mat haar bana
kaanton se talvaar bana tu jab yudh par jayega
jeet ke jab tu aayega tu jab yudh par jayega
jeet ke jab tu aayega ye phulon ke haar pehan
gali se tujhe guzarna hai

yahi pe humko jina hai, yahi pe humko marna hai
yahi pe humko jina hai, yahi pe humko marna hai
yahi pe humko jina hai, yahi pe humko marna hai
yahi pe humko jina hai, yahi pe humko marna hai
Nacho Re Gao Re
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raja-Harishchandra/Nacho-Re-Gao-Re/Izs7dx9BZ3s
Video:
naacho re gaao re naacho kaali re kaali
naasho re gaao re naacho
khushi baanto koi jholi, rahe na khaali
ho khushi baanto koi jholi, rahe na kkhali
o naacho re gaao re, naacho kaali re kaali
naacho re gaao re naacho
ho khushi baate koi, jholi rahe na khaali
ho khushi baate koi, jholi rahe na khaali
o naacho re gaao re, naacho kaali re kaali

ho ho ho ho ho
saare nagar me bajne do baaja, bajne do baaja
chumo ise ye kal ka hain raaja, kal ka hain raaja
o saathi sang aa ja, o saathi sang aa ja
o o o ghadi jhum ke gaane ki hain ye matwaali
ho khushi baanto koi jholi rahe na khali
naacho naacho
naacho re gaao re naacho kaali re kaali

heera hain raaja beta hain mote, beta hain motee
anmol hain re dono ki jyoti, dono ki jyoti
koi guljaar naa hoti, koi guljaar naa hoti
o sada aise hi, jivan me rahe haryaali
ho khushi baanto koi jholi rahe na khaali
naacho naacho
naacho re gaao re, naacho kaali re kaali

aashish raaja dijiye prja ko, dijiye praja ko
ham de duaaye nannhe lala ko, nannhe lala ko
badhai rani maa ko, badhai rani maa ko
o o o fali phuli rahe, aapke kul ki ujaali
ho khushi baanto koi jholi rahe na khaali
naacho re gaao re, naacho kaali re kaali
naasho re gaao re naacho
khushi baanto koi jholi rahe na khaali
ho khushi baanto koi jholi rahe na kkhali
naacho naacho
o naacho re gaao re, naacho kaali re kaali
o ho ho kaali re kaali
o ho ho kaali re kaali
o ho ho kaali re kaali
o ho ho kaali re kaali
Sach Bolne Walo Ka
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raja-Harishchandra/Sach-Bolnewalon-Ka-Yadi/AD4iBURvRWM
Video:
sach bolne waalo ka yadi haal ye hoga
sach bolne waalo ka yadi haal ye hoga
to sach ko koi na puchhega
dharma ko koi na manega
sach bolne waalo ka yadi haal ye hoga
to sach koi na puchhega
dharma ko koi na manega

itane bade bhagwaan are tujhe
ye nahi sobha deta
tu bhi insano ke jaisa dekar fir le leta
o dekar fir leleta
mera phul sa beta, dekho dhul me leta
mera phul sa beta, dekho dhul me leta
ma kah kar ab kaun pukarega
mujhe ma ab kaun pukarega

is duniya me dard pe
sadiyon royenge duniyaa waale
baat karu kis dukh ki
ki pad gaye kafan ke bhi ab laale
o kafan ke bhi ab laale
kisane ye socha tha ik din pita apana
kisane ye socha tha ik din pita apana
kafan bete ka bhi mangega
kafan bete ka bhi mangega
sach bolne waalo ka yadi haal ye hoga
sach bolne waalo ka yadi haal ye hoga
to sach koi na puchhega
dharma ko koi na manega
tan par saadi maatr na wo bhi tujhko bhai
lele aanchal faad kafan ab dene aai
Kharido Koi Kharido
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raja-Harishchandra/Kharido-Mujhe-Kharido/NQ47WSAEcgo
Video:
kharido koi kharido
kharido mujhe kharido
daso ka das bana lo
daso ka das bana lo
main bikne ko taiyar khada
khud aake bich bazaar khada
kharido koi kharido
kharido mujhe kharido
daso ka das bana lo
daso ka das bana lo

mujhe kisi kam se sharm na hogi
bologe so karunga
paav dabaunga jhadu lagaunga
ghar ka neer bharunga
diye huye vachan jo haar
gaya to main bemaut marunga
kharido koi kharido
kharido mujhe kharido
daso ka das bana lo
daso ka das bana lo

kharido mujhe kharido
na socho adhik na socho
lo mere dam lagalo
mitti ke mol utha lo
bas thoda sa sanaman mile
jeene bhar ka saman mile
kharido mujhe kharido
na socho adhik na socho
lo mere dam lagalo
mitti ke mol utha lo

kal ke dani pal me ho gaye
dagar dagar ke bikhari
bebas hokar padta hai kahna
kar man ki gati nyay
ho jaan ke abla mujh pe daya karo
main hu sharn tumhari
kharido koi kharido
kharido mujhe kharido
lo mere dam lagalo
mitti ke mol utha lo

itne bade is nagar me humko
kya kahe thor na hoga
hum kaha jayenge agar
humare haal pe gaur na hoga
parmeshvar ko chhod dyalu
kya koi aur na hoga
kharido koi kharido
kharido mujhe kharido
daso ka das bana lo
mitti ke mol utha lo
main bikne ko taiyar khada
khud aake bich bazaar khada
kharido koi kharido
kharido mujhe kharido
Hum Maan Kawan Kasariya
Singer: Hemalatha
Lyricist: Satish Tiwari
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raja-Harishchandra/Ham-Maan-Kawan-Kasaria/OQ0yWTEERQE
Video:
are ye baake kahaa jaat hwa ban than ke
ham ma kawano kami ba ka
ham ma kawan kasariya sanwariya
bajariyaa kahe
ha bajariyaa kahe jaaye balma
ham ma kawan kasariya sanwariya
bajariyaa kahe jaye balma
jaaye balma, ji jaraaye balma
jaaye balma, ji jaraaye balma
hamse achhi nahi sautan chhinariyaa
bajariyaa kahe
hay hay bajariyaa kahe jaaye balma

panwa khiybe ganwa suniybe
ham tohe chham chham chham
naach ke dikhaibe
o panwa khiybe ganwa suniybe
ham tohe chham chham chham
naach ke dikhaibe
laaj sharam bisraai ke raaja ho
garwaa lagaibe
ho gharma chhod ke tu apni mehariaya
ye baith ho gharma chhod ke
tu apni mehariaya
bajariyaa kahe
hay hay bajariyaa kahe jaaye balma
jaaye balma ji jaraaye balma
jaaye balma ji jaraaye balma
hamse achhi nahi sautan chhinariyaa
bajariyaa kahe
hay hay bajariyaa kahe jaaye balma

baari umariyaa bhile gavanawa
laike aaye ghar tore sone ka jobanwa
baari umariyaa bhile gavanawa
laike aaye ghar tore sone ka jobanwa
jag sudhra tu naahi sudhra, julmi sajanawa
mishri fainke kharide jahriyaa
are dhat, ke mishri fainke kharide jahriyaa
bajariyaa kahe ae ae ae
hay hay bajariyaa kahe jaaye balma
jaaye balma, ji jaraaye balma
jaaye balma, ji jaraaye balma
hamse achhi nahi sautan chhinariyaa
bajariyaa kahe ohe ohe
bajariyaa kahe jaaye balma
o ham ma kawan kasariya sanwariya
bajariyaa kahe jaaye balma
Mujhe Bhakti Bhajan Kuch Yaad Nahi
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raja-Harishchandra/Mujhe-Bhakti-Bhajan-Kuchh/Mj4ieSN7RlA
Video:
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
tere pujan ko prasad nahi
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi

karm sindhu din ke bandhu
ho sab ke rakhwale
hum bhi to hain bhagwan tere
mukut ke tute taare
kyu humko tu bhul gaya hain
kyu humse tu ruth gaya hain
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi

hoti hain maa baap se jab koi baat manwani
bhar lata hu dono aankho me badal jitna pani
tu jo chahe to ro sakta hu
tere charno ko dho sakta hu
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi

bhagwan main bhi banke bada dukhiyo ki madad karunga
tu meri maa ka hath bata de
main tujhe chubhan dunga
karde jo tu ek ishara
chutki me bane kaam sara
main to itna janu jag ke rachaiya
bade dukh me fansi hain meri maiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
tere pujan ko prasad nahi
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
Tere Dil Se Teri Mehfil Se
Lyricist: Jan Nisar Akhtar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raj-Mahal/Paploo-Papan-Papaina/ATcMSDZyekA
Video:
paplu paplu papan pakena
paplu paplu papan pakena

paplu papan pakena
paplu papan pakena

o tere dil se teri mehfil se
o tere dil se teri mehfil se
o tere pyar ke rajmahal se
ho leke jayenge lut ke sab kuch
leke jayenge lut ke sab kuch
phir na humse kahna na kahna
paplu papan pakena
paplu papan pakena
hoye paplu papan pakena
paplu papan pakena
o tere dil se teri mehfil se

o jisne kiya hum pe julmo sitam
o julmo sitam
o na chhodenge khuda ki kasam
o khuda ki kasam
is hath de ya us hath le
is hath de ya us hath le
hasino ki hai ye purani rasm
ha purani rasm
ha purani rasm
ho sake to bach ke rahna
phir na humse kahna na kahna
paplu papan pakena
paplu papan pakena
hoye paplu papan pakena
paplu papan pakena
o tere dil se teri mehfil se

ho ishara kisi ka hume chahiye
o hume chahiye
ho kya hoga phir dekhte jayiye
o dekhte jayiye
tumhe bhi khabar hai ke hum kaun hai
tumhe bhi khabar hai ke hum kaun hai
marji hai kya ab ye farmayiye
jara farmayiye, ha ji farmayiye
o raaz tumhare khul jaye to
phir na humse kahna na kahna
paplu papan pakena
paplu papan pakena
hoye paplu papan pakena
paplu papan pakena
o tere dil se teri mehfil se
o tere pyar ke rajmahal se
ho leke jayenge lut ke sab kuch
leke jayenge lut ke sab kuch
phir na humse kahna na kahna
paplu papan pakena
paplu papan pakena
hoye paplu papan pakena
paplu papan pakena
oye paplu papan pakena
paplu papan pakena
Do Do Pankh Laga Ke
Music: Hemant Kumar
Lyricist: Gulzar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Rahgir/Aa-Do-Do-Pankh-Laga-Ke-Panchhi-Banenge/FTdbWCB8BAE
Video:
do do pankh laga ke
panchi banenge do do pankh laga ke
neele gagan le udte udte chanda chhu kar aayenge
chhu kar aayenge chanda do do pankh laga ke
panchi banenge do do pankh laga ke

aam churaye kuku gaye koyal koyal khele
chupke chupke jakar maa ke hath se roti lele
aam churaye kuku gaye koyal koyal khele
chupke chupke jakar maa ke hath se roti lele
maa pakde to furr se ud kar dur se shor machayenge
hum shor machayenge do do pankh laga ke
panchi banenge do do pankh laga ke

pankh lagaye udte ude raj mahal me jaye
singasan se chupke chupke taj pahan kar aaye
pankh lagaye udte ude raj mahal me jaye
singasan se chupke chupke taj pahan kar aaye
raja ji ki maa ghabraye pahchane jab munna
ha ha mauj udayenge do do pankh lagake
panchi banenge do do pankh laga ke

maa ki god me lori sunke mich le dono aankho
maa soche jab so gaya munna sapne me ud bhage
maa ki god me lori sunke mich le dono aankho
maa soche jab so gaya munna sapne me ud bhage
jaldi jaldi jakar hum phir suraj ko le aayenge
hum suraj layenge do do pankh lagake
panchi banenge do do pankh laga ke
Mann Ki Baat Jab-1
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Video:
ankahi ansuni, baato ka madhu
mantar me dhaal ke
sukh ka anubhaw karo
yu hi sukh sapno ke, deep baal ke
kuch batane ko
kuch batane ko, kuch chhupane ko ho
bela kahne ki, fir na aane ko ho
kya ho, man aise me jo kah de
abhi nahi, abhi nahi, fir kabhi
man ki baat jab, hotho pe aane ko ho

kalpana kya kare
yadi kahne wala, maun sadh le
drishthi dekhe kaise
do naino ko jab laz bandh le
dhairy ka bandh
dhairy ka bandh tut jane ko ho
aur fir bhi na, man batane ko ho
kab tak, yuhi kahti rahogi
abhi nahi, abhi nahi, fir kabhi
man ki baat jab, hotho pe aane ko ho
Mann Ki Baat Jab
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Man-Ki-Baat-Jab-Hothon-Pe/B14ucxNIeWc
Video:
man ki bat jab hotho pe aane ko ho
aur ji koi geet gane ko ho
kya ho man aise me jo kah de
abhi nahi abhi nahi fir kabhi
man ki bat jab hotho pe aane ko ho

aisa sayam bhi sath jo sapno ke bhi paw rok de
aaye koi pathik do naino ke
dware hi tok de lal sa jo kuch
lal sa jo kuch khone pane ko ho
tinke chun chun ke ghar banane ko ho
kya ho man aise me jo kah de
abhi nahi abhi nahi fir kabhi
man ki bat jab hotho pe aane ko ho

bandhano se pare andekhe bandhan
prem preet ke jinpe bandhke haridya
kabhi parshan karega har jeet ke
jab koi khushi jab koi khushi paas aane ko ho
koi apna sab kuch lutane ko ho
kya ho man aise me jo kah de
abhi nahi abhi nahi fir kabhi
man ki bat jab hotho pe aane ko ho
Mann Meet Aur Preet-1
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Man-Meet-Aur-Preet-Milte-Hai-I/GBEuQkMATgo
Video:
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
kayi dube kayi laut aaye
gaye jo moti lane samundar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
o meri jan ladna padta hai mukaddar se
sajdo me ho dum to suna hai
murade mil jati hai patthar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se

jodiya aati jo najar pahle se chuni jati hai
shadiya hoti jo yaha jannat me likhi jati hai
jinhe milna na ho, bin bole
chale wo jate hai barabar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se

duriya kitni hi sahi, sathi hi kahe jate hai
aasman aur dharti sada jodi me gine jate hai
lagte hai juda, par dono
bandhe hai kahi andar hi andar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se

koshishe karne par mile
yaha kismat meharba hoye
agar na ho pane ka yaki
to koi umar kyu khoye
manjil se hame to matlab hai
garaz nahi raaho ke chakkar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
sajdo me ho dum to suna hai
murade mil jati hai patthar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
gaye jo moti lane samundar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
Mann Meet Aur Preet
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Man-Meet-Aur-Preet-Milte-Hai-II/RC8SVyN3UUY
Video:
man meet aur preet
milte hai mukaddar se
kayi dube kayi laut aaye
gaye jo moti lane samunder se
man meet aur preet
milte hai mukaddar se

dil kisi gulshan me khila
khushbu to rahi harjayi
jiske hisse me hi likhi
khushbu to usi ne payi
abhi aane ko hi thi bahare
ke bhar gaya jivan ye patjhad se
man meet aur preet
milte hai mukaddar se
Kaun Hai Aisa Jise
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Kaun-Hai-Aisa-Jise-Phoolon-Se/FCZfQzAEBVE
Video:
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho
pyar ke bina pura koi saringar na ho kaun hai aisa jise phulo se
geeto se panchiyo se pyar na ho

jiwan hai phul man ek panchi sans sans me geet re
man panchi fir udna na chahe le jo use koi jeet re
jina re wo kaisa agar kisi pe apna koi adhikar na ho
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho

is anjane shahar me aake man kitna bechain tha
kisko khabar thi inhi galiyo me chupa mere dil ka chain tha
khushi to khushi hai us khushi ka hotho se chahe izhar na ho
kon hai aisa jise phulo se geeto se panchio se pyar na ho

pahle pahal jab mujhse mile the tum kitne hairan the
tum meri mai tumhari najar me dono hi nadan the
mere humdum aisi galti hamse fir is bar na ho
pyar ke bina pura koi saringar na ho
kaun hai aisa jise phulo se
geeto se panchiyo se pyar na ho
Saheli Ho Paheli
Lyricist: Ravindra Jain
Album: Paheli(1977)
Tag: Hindi
Video:
saheli ho paheli puchho
o shahri babu paheli bhujo puchho puchho
rang safed lage re hathi dant sa
mit jaye pal bhar me jhuti bat sa
koi ata pata
bagiya me khilta nahi har waqt milta nahi
sar bhurate hi pade bade bado ne bola
kya samjhe nahi samjhe hat
ola barf ka gola ola ola barf ka gola
sachmuch nahi samjhe

aaye re wo sat samandar par se
chhue jaye hum sabko bade pyar se
achha aur chhote to jag hile
ho man me umang khile
aate jate kisi ne na dekha na toka
kya samjhe ab nahi samjhe chal hat
jhonka hawa ka jhonka kya kya
jhonka jhonka hawa ka jhonka

naiya ke jaise lage nadiya ke jaise bahe
wahi hume batlaye ab din hai ya raina
kya samjhe bilkul nahi samjhe chal hat
naina hamare naina ho naina hamare naina

rahti hai sathi ki tarha sath me
dikhti hai par aati nahi hath me
arey aisi bhi kya chij hai hai
had se wo badti nahi
sar par bhi chadti nahi
apne raste pe usko koi hata na paya
samjh me aaya chhaya chhaya ho
apni chhaya re chhaya chhay are apni chhaya
Brishti Pade Tapur Tupur
Lyricist: Ravindra Jain
Album: Paheli(1977)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paheli/Brishti-Pade-Tapur-Tupar/OF4Jcj1TVl8
Video:
sonaa, sonaa, rupaa, rupaa

sonaa kare jhilmil jhilmil
rupaa hanse kaise khilkhil
aahaa aahaa vrishhti pade taapur tupur
tip tip taapur tupur
vrishhti pade taapur tupur, taapur tupur
sonaa kare jhilmil jhilmil
rupaa hanse kaise khilkhil
aahaa aahaa vrishhti pade taapur tupur
tip tip taapur tupur
vrishhti pade taapur tupur, taapur tupur

kaagaz ki chhoti si naiyyaa
jal ki ye lahre lipti khevaiyyaa
kaagaz ki chhoti si naiyyaa
jal ki ye lahre lipti khevaiyyaa
hoke isi naiyyaa pe savaar
chal de chal nadiyaa ke paar
jaamun jahaan madhur moti mithi madhur madhur
vrishhti pade taapur tupur, taapur tupur
sonaa kare jhilmil jhilmil
rupaa hanse kaise khilkhil

baadal yun shor machaaye
parbat kaa bhi dil hil jaaye
baadal yun shor machaaye
parbat kaa bhi dil hil jaaye
lekin bayaa badi hoshiyaar
aisaa ghar kare taiyyaar tanik na ho idhar udhar
vrishhti pade taapur tupur, taapur tupur
sonaa kare jhilmil jhilmil
rupaa hanse kaise khilkhil

laal gulaabi nile pile
indrdhanush ke rang sajile
laal gulaabi nile pile
indrdhanush ke rag sajile
dekho dekho gagan ki bahaar
rango kaa lagaa hai baazaar
duniyaa dekhe tukur tukur, khel ye tukur tukur
vrishhti pade taapur tupur, taapur tupur
sonaa kare jhilmil jhilmil
rupaa hanse kaise khilkhil
vrishhti pade taapur tupur, taapur tupur
Manmohak Pyara Pyara
Lyricist: Ravindra Jain
Album: Paheli(2005)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paheli/Manmohak-Yeh-Pyara-Pyara-Gaon/RR1SYiF7RgM
Video:
manmohak ye pyara pyara gaanv o mitwa
manmohak ye pyara pyara gaanv o mitwa
ik tere na aane se yu aankhe churane se
ik tere na aane se yu aankhe churane se
mohe kaisa kaisa lage saara gaanv o mitwa
manmohak ye pyara pyara gaanv o mitwa

kaha gaye wo din kuch din pehle humne jo bitaye yahi
madhur madhur palchhin ke wo galiyo ka ab to koi nisha tak nahi
mitwa o mitwa mera wahi hai wahi hai sara gaanv o mitwa
mera wahi hai wahi hai sara gaanv o mitwa
sau bar chali mai ghar se milne ka irada karke
sau bar chali mai ghar se milne ka irada karke
jane kahe nahi uthe mera panv o mitwa
mohe kaisa kaisa lage sara gaanv o mitwa

sari duniya chhod ke tere is gaanv me bol aaya mai kiske liye
sukh sapne jod ke tu kya jane mujhe tune kitne bulave diye
mitwa o mitwa wahi mai hu wahi aambua ki dhar o mitwa
wahi mai hu wahi aambua ki dhar o mitwa
barsat ka hoga mosam phir wahi milenge hum tum
barsat ka hoga mosam phir wahi milenge hum tum
tohe waisa hi lag jata sara gaanv o mitwa
manmohak ye pyara pyara gaanv o mitwa
Tann Veeje Mora Mann Veeje
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Album: Paheli(1977)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paheli/Tan-Vije-More/AF0zZQxdTwA
Video:
tan bhije man bhije moh
se chhed kare purwai
tan bhije mora man bhije moh se
chhed kare purwai
na jane is bar ye bairan
na jane is bar ye bairan
barkha kaisi aayi re aayi
tan bhije man bhije moh
se chhed kare purwai

sari sarita me chad gaya notan pani
huyi raveli dharti ye sadiyo purani
sari sarita me chad gaya notan pani
huyi raveli dharti ye sadiyo purani
mujh me bhi anjan umnge
mujh me bhi anjan umnge
lene lagi angdayi duhayi
tan bhije mora man bhije
moh se chhed kare purwai
wo sarita nache man matwara
angdayi sa jhume hai tan sara
wo sarita nache man matwara
angdayi sa jhume hai tan sara

badli dekh ke badli badli
badli dekh ke badli badli
mai khud se sharmai duhayi
tan bhije man bhije moh
se chhed kare purwai
na jane is bar ye bairan
na jane is bar ye bairan
barkha kaisi aayi re aayi
tan bhije mora man bhije moh
se chhed kare purwai
Kanha Zid Par Nachegi Radha
Lyricist: Ravindra Jain
Album: Paheli(1977)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paheli/Kanha-Ki-Zid-Par-Nachegi-Radha/SQcIcDl8f2c
Video:
kanha ki zid par nachegi radha kanha ki zid par nachegi radha
chahe aaye na aaye nachana nachana aaye na aaye nachana
murli bajegi jab mohan ki o ho murli bajegi jab mohan ki
khud aa jayega nachana nachana aa jayega nachana

man kab nache ban ke pagli man ka kaha kare
man ko bhi koi or nachaye jo chhup kar raha kare
man kab nache ban ke pagli man ka kaha kare
man ko bhi koi or nachaye jo chhup kar raha kare
bin ghungaru bin bat ke bin ghungaru bin tal ke
radha nachegi chahe aaye na aaye nachana
kanha ki zid par nachegi radha chahe aaye na aaye nachana
nachana aaye jayega nachana

sari sakhiya mund ke ankhiya sur madhu pan kare
murli ke sur man ke nupar pag me chhand bhare
sari sakhiya mund ke ankhiya sur madhu pan kare
murli ke sur man ke nupar pag me chhand bhare
bin sikhe bin ghyan ke bin ghyan ke wo to nach ke mare
chahe aaye na aaye nachana nachana aaye na aaye nachana
murli bajegi jab mohan ki o ho murli bajegi jab mohan ki
khud aa jayega nachana nachana aa jayega nachana