People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Saajan Mere Main Saajan Ki
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Video:
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki
main to ye bhi na janu kab aur kaise
ye bhi na janu kab aur kaise
ho gayi re man bhawan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki

na to roop na gun hi aise
jane unko bha gayi kaise
meri jaagti aankhe lagta hain koi sapna dekhe jaise
padi pee ki najar yu
mujhpe padi pee ki najar yu
dharti par yu najar pade sawan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki

bin saaj singaar ke aaye
man soche aur sharmaye
mujhe pal me mil gaya wo sukh
sabko barso jo tarsaye
unki hoke rahungi
ab to unki hoke rahungi
janam janam tak, baat kya hain ek jiwan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki
main to ye bhi na janu kab aur kaise
ho gayi re man bhawan ki
saajan mere main saajan ki
saajan mere main saajan ki