manmeet aur preet milte hai mukaddar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
kayi dube kayi laut aaye
gaye jo moti lane samundar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
o meri jan ladna padta hai mukaddar se
sajdo me ho dum to suna hai
murade mil jati hai patthar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
jodiya aati jo najar pahle se chuni jati hai
shadiya hoti jo yaha jannat me likhi jati hai
jinhe milna na ho, bin bole
chale wo jate hai barabar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
duriya kitni hi sahi, sathi hi kahe jate hai
aasman aur dharti sada jodi me gine jate hai
lagte hai juda, par dono
bandhe hai kahi andar hi andar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
koshishe karne par mile
yaha kismat meharba hoye
agar na ho pane ka yaki
to koi umar kyu khoye
manjil se hame to matlab hai
garaz nahi raaho ke chakkar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
sajdo me ho dum to suna hai
murade mil jati hai patthar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
gaye jo moti lane samundar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se