People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Kabhi Kabhi Mere Dil Me
Singer: Mukesh
Music: Khaiyyamm
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kabhi-Kabhie/Kabhi-Kabhi-Mere
Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Ke Jaise Tujhko Banaya Gaya Hai Mere Liye
Ke Jaise Tujhko Banaya Gaya Hai Mere Liye
Tu Ab Se Pahle Sitaro Me Bas Rahi Thi Kahi
Tu Ab Se Pahle Sitaro Me Bas Rahi Thi Kahi
Tujhe Zami Pe Bulaya Gaya Hai Mere Liye
Tujhe Zami Pe Bulaya Gaya Hai Mere Liye

Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Ke Ye Badan Ye Nigahe Meri Amanat Hai
Ke Ye Badan Ye Nigahe Meri Amanat Hai
Ye Gesuo Ki Ghani Chhao Hai Meri Khatir
Ye Hoth Aur Ye Bahe Meri Amanat Hai
Ye Hoth Aur Ye Bahe Meri Amanat Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Ke Jaise Bajati Hai Shahnaiya Si Raho Me
Ke Jaise Bajati Hai Shahnaiya Si Raho Me
Suhag Rat Hai Ghunghat Utha Raha Hu Mai
Suhag Rat Hai Ghunghat Utha Raha Hu Mai
Simat Rahi Hai Tu Sharama Ke Apni Baho Me
Simat Rahi Hai Tu Sharama Ke Apni Baho Me

Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Ke Jaise Tu Mujhe Chahegi Umar Bhar Yu Hi
Uthegi Meri Taraf Pyar Ki Nazar Yu Hi
Mai Janata Hu Ke Tu Gair Hai Magar Yuhi
Mai Janata Hu Ke Tu Gair Hai Magar Yuhi
Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Kabhi Kabhi Mere Dil Me, Khayal Aata Hai
Keh Doon Tumhe
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Deewaar-OST/Kehdoon-Tumhen-De
Keh Doon Tumhe, Haa , Ya Chup Rahu,Naa, Dil Me Mere Aaj Kya Hai
Kya Hai
Keh Doon Tumhe, Ya Chup Rahu, Dil Me Mere Aaj Kya Hai
Jo Bolo Toh Janu, Guru Tumako Manu, Chalo Yeh Bhee Wada Hai
Achaa..
Keh Doon Tumhe, Ya Chup Rahu, Dil Me Mere Aaj Kya Hai
Jo Bolo Toh Janu, Guru Tumako Manu, Chalo Yeh Bhee Wada Hai

Socha Hain Tumne Key Chalate Hee Jaye
Taro Se Aage Koyee Duniya Basaye
Thik Hai…
Aaha.., To Tum Batao
Bataun…
Haa..
Socha Hain Key Tumhe Rasta Bhulaye
Sunee Jagah Peh Kahee Chhede Daraye
Are Naa Naa Hay Rey Naa Naa, Yeh Naa Karna
Are Nahee Rey, Nahee Rey, Nahee Rey, Nahee Rey, Nahee Rey
Nahee Rey, Nahee Rey
Nahee Nahee
Keh Doon Tumhe, Ya Chup Rahu, Dil Me Mere Aaj Kya Hai
Jo Bolo Toh Janu, Guru Tumako Manu, Chalo Yeh Bhee Wada Hai

Socha Hain Tumane Key Kuchh Gungunaye
Mastee Me Jhoome Jara, Dhume Machaye
Ab Thik Hai…
Uhun.., To Tum Batao
Bataun…
Haa..
Socha Hain Yeh Key Tumhe Najadik Laye
Phulo Se Hothho Kee Lalee Churaye
Are Naa Naa Hay Rey Naa Naa, Yeh Naa Karna
Are Nahee Rey, Nahee Rey, Nahee Rey, Nahee Rey, Nahee Rey
Nahee Rey, Nahee Rey
Nahee Nahee
Keh Doon Tumhe, Ya Chup Rahu, Dil Me Mere Aaj Kya Hai
Jo Bolo Toh Janu, Guru Tumako Manu, Chalo Yeh Bhee Wada Hai
Keh Doon Tumhe, Ya Chup Rahu, Dil Me Mere Aaj Kya Hai
Jo Bolo Toh Janu, Guru Tumako Manu, Chalo Yeh Bhee Wada Hai.
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega
Music: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Taj-Mahal/Jo-Wada-Kiya-Wo/J0U
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega
Roke Zamaana Chahe Roke Khudaai
Tumko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega..

Tarasti Nigaahon Ne Aawaaz Di Hai
Muhabbat Ki Raahon Ne Aawaaz Di Hai..Aaaaa
Jaan-E-Hayaa, Jaan-E-Adaa Chhodo Tarsaanaa
Tumko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega

Ye Maana Humein Jaan Se Jaanaa Padega
Par Ye Samajh Lo Tumne Jab Bhi Pukaara
Humko Aanaa Padega
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega

Hum Apni Wafaa Pe Naa Ilzaam Lenge
Tumhein Dil Diya Hai Tumhein Jaan Bhi Denge
Jab Ishq Ka Sauda Kiya Phir Kya Ghabranaa
Tumko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega

Chamakte Hain Jab Tak Ye Chaand Aur Taare
Na Tootenge Ab Ehad-O-Paimaan Hamaare
Ik Dusraa Jab De Sadaa Hoke Deewana
Hamko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega

Hamaari Kahaani Tumhaara Fasaana
Hamesha Hameshaa Kahega Zamaana
Kaise Bhala Kaisi Sazaa Dede Zamaanaa
Hamko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega

Sabhi Ehal-E-Duniya Ye Kehti Hai Hamse
Ki Aataa Nahin Koi Mudke Adam Se
Aaj Zaraa Shaan-E-Wafaa Dekhe Zamaana
Tumko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega

Bahot Jee Lagayaa Zamaane Se Humne
Bahot Waqt Kaata Bahaane Se Humne
Jab Se Hua Tumse Judaa Ye Dil Na Manaa
Tumko Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Kiya Woh Nibhana Padega

Hum Aate Rahe Hain Ham Aate Rahenge
Muhabbat Ki Rasmein Nibhaate Rahenge
Jaan-E-Wafaa Tum Do Sadaa Fir Kya Thikanaa Humko
Aanaa Padegaa
Jo Waada Kiya Woh Nibhana Padega..Nibhana Padega
waada karo nahi chhodoge tum mera saath
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Wada-Karo-Nah
o thehro meri jaan
waada karo nahi chhodoge tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon

waada karo nahi chhodoge tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon

suno meri jaan, hanske mujhe yeh keh do
bheege labon ki narmi mere liye hai
ho, jawaan nazar ki masti mere liye hai
hasi ada ki shokhi mere liye hai
mere liye leke aayi ho yeh saugaat
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon

mere hi peechhe aakhir pade ho tum kyun
ek main jawaan nahi hoon, aur bhi to hai
oh, mujhe hi ghere aakhir khade ho tum kyun
main hi yahan nahi hoon, aur bhi to hai
jaao jaake le lo jo bhi de de tumhe haath
jahan sab hai, vahan main bhi hoon
waada karo nahin chhodogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon

jawaan kayi hai, lekin jahan mein koi
tum si hasi nahin hai, hum kya kare
oh, tumhe miloon main iska tumhe yaki hai
humko yaki nahi hai, hum kya kare
aise nahin bhoolo zara dekho aukaat
kisi ka to dena hoga, de do mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun
Singer: Mukesh
Music: Khaiyyam
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Kabhi Kabhie
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kabhi-Kabhie/Main-Pal-Do-Pal-
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun
Pal Do Pal Meri Kahaani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Javaani Hai
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun
Pal Do Pal Meri Kahaani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Javaani Hai
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun

Mujhase Pahale Kitane Shaayar
Aae Aur Aakar Chale Gae
Kuchh Aahe Bhar Kar Laut Gae
Kuchh Nagame Gaakar Chale Gae
Vo Bhi Ek Pal Kaa Kissaa Thaa
Mai Bhi Ek Pal Kaa Kissaa Hun
Kal Tumase Judaa Ho Jaaungaa
Vo Aaj Tumhaaraa Hissaa Hun
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun
Pal Do Pal Meri Kahaani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Javaani Hai
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun

Kal Aur Aaege Nagamo Ki
Khilati Kaliyaan Chunane Vaale
Mujhase Behatar Kahane Vaale
Tumase Behatar Sunane Vaale
Kal Koi Mujhako Yaad Kare
Kyun Koi Mujhako Yaad Kare
Masaruf Zamaanaa Mere Liye
Kyun Vaqt Apanaa Barabaad Kare
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun
Pal Do Pal Meri Kahaani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Javaani Hai
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun
Pal Do Pal Meri Kahaani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Javaani Hai
Mai Pal Do Pal Kaa Shaayar Hun.
Tera Mujhse Hai Pehla(Male)
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Tera-Mujhse-H
tera mujhse hai pahle ka nata koi
yuhi nahi dil lubhata koi
tera mujhse hai pahle ka nata koi
yuhi nahi dil lubhata koi
jane tu ya jane na
mane tu ya mane na
tera mujhse hai pahle ka nata koi
yuhi nahi dil lubhata koi
tera mujhse hai pahle ka nata koi
yuhi nahi dil lubhata koi

dhua dhua tha wo shama
yaha waha jane kaha
dhua dhua tha wo shama
yaha waha jane kaha
tu aur mai kahi mile the pahle
dekha tujhe to dil ne kaha
jane tu ya jane na
mane tu ya mane na

dekho abhi khona nahi
kabhi juda hona nahi
dekho abhi khona nahi
kabhi juda hona nahi
abke yuhi mile rahenge dono
wada raha ye is sham ka
jane tu ya jane na
mane tu ya mane na
tera mujhse hai pahle ka nata koi
yuhi nahi dil lubhata koi
tera mujhse hai pahle ka nata koi
yuhi nahi dil lubhata koi
jane tu ya jane na
mane tu ya mane na
Tera Mujhse Hai Pehla
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Tera-Mujhse-H
tera mujhase hai pehle kaa nata koi
yu hee nahee dil lubhata koi
tera mujhase hai pehle kaa nata koi
yu hee nahee dil lubhata koi
jane too ya jane naa, mane too ya mane naa
meraa tujhase hai pehle kaa nata koi
yu hee nahee dil lubhata koi

dekho abhee khona nahee, kabhee juda hona nahee
abb khel me yu hee rahenge ham dono
vada raha yeh iss sham kaa
tera mujhase hai pehle kaa nata koi
yu hee nahee dil lubhata koi
jane too ya jane naa, mane too ya mane naa
tera mujhase hai pehle kaa nata koi
yu hee nahee dil lubhata koi
tera mujhase hai pehle kaa nata koi
yu hee nahee dil lubhata koi
waada karo nahi chhod ogi
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Wada-Karo-Nah
o thehro meri jaan
waada karo nahi chhod ogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
waada karo nahi chhod ogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon

suno meri jaan, hanske mujhe yeh keh do
bheege labon ki narmi mere liye hai
ho, jawaan nazar ki masti mere liye hai
hasi ada ki shokhi mere liye hai
mere liye leke aayi ho yeh saugaat
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon

mere hi peechhe aakhir pade ho tum kyun
ek main jawaan nahi hoon, aur bhi to hai
oh, mujhe hi ghere aakhir khade ho tum kyun
main hi yahan nahi hoon, aur bhi to hai
jaao jaake le lo jo bhi de de tumhe haath
jahan sab hai, vahan main bhi hoon
waada karo nahin chhod ogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon

jawaan kayi hai, lekin jahan mein koi
tum si hasi nahin hai, hum kya kare
oh, tumhe miloon main iska tumhe yaki hai
humko yaki nahi hai, hum kya kare
aise nahin bhoolo zara dekho aukaat
kisi ka to dena hoga, de do mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
Aye Mere Bete Sunn
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Ai-Mere-Bete-
aye mera bete sun mera kahna
chahe dukh howe haste hi rahna
aye mera bete sun mera kahna
chahe dukh howe haste hi rahna

o mere bete kyu roye ankhiyo ke moti kyu khoye
mai tera ghoda mai hathi mai tere sukh dukh ka sathi
tera mai sahara hu tu mera sahara hai
jan se bhi pyara hai aaja aaja
aye mera bete sun mera kahna
chahe dukh howe haste hi rahna

rakhna bharosha uspe sada jisne hai sabko janam diya
kal tera papa rahe na rahe ab jo kaha fir kahe na kahe
kaha na bhulana tu wahi rahkwala hai
usi ko bulana tu aaja aaja
aye mere bete sun mere kahna
chahe dukh howe haste hi rahna

socha tha kya or kya laya dete hue ji bhar aaya
le ye baishakhi lele re mere abhage hatho se
isi ke sahare chal chal mere pyare chal
papa ke dulare chal aaja aaja
aye mere papa sun mera kahna
chahe dukh howe haste hi rahna
aye mera bete sun mera kahna
chahe dukh howe haste hi rahna
rakhna bharosha uspe sada jisne hai sabko janam diya
kal tera papa rahe na rahe ab jo kaha fir kahe na kahe
kaha na bhulana tu wahi rahkwala hai
usi ko bulana tu aaja aaja
aye mere bete sun mere kahna
chahe dukh howe haste hi rahna
Aye Mere Bete Sunn(Duet)
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Ai-Mere-Bete-
aye mere bete, sun mera kehana
chaahe dukh hoye, hasate hi rehana
aye mere bete, sun mera kehana
chaahe dukh hoye, hasate hi rehana

tu mere bete kyun roye, akhiyon ke moti kyun khoye
main tera ghoda main haathi, main tere sukh dukh ka saathi
tera main sahaara hoon, mera tu sahaara hai
jaan se bhi pyaara hai aaja aaja
aye mere bete, sun mera kehana
chaahe dukh hoye, hasate hi rehana

rakhana bharosa usape sada, jisane hai sabako janam diya
kal tera paapa rahe na rahe, abb jo kaha phir kahe na kahe
kaha na bhulaana, tu wahi rakhwaala hai
usiko bulaana tu aaja aaja
aye mere bete, sun mera kehana
chaahe dukh hoye, hasate hi rehana

socha tha kya aur kya laaya, dete huye ji bhar aaya
le yeh baisaakhi le le re, mere abhaage haatho se
isike sahaare chal, chal mere pyaare chal
paapa ke dulhaare chal aaja aaja
aye mere paapa, sun mera kehana
chaahe dukh howe, hasate hi rehana
na koyi me samaya
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D.Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aa-Gale-Lag-Jaa/Naa-Koi-Dil-M
na koyi me samaya na koyi pehlu me aaya
ja ke bhi paas rahi tum hi o jaan-e-jaan jaan-e-man, jaanti ho
na koyi me samaya na koyi pehlu me aaya
ja ke bhi paas rahi tum hi o jaan-e-jaan jaan-e-man, jaanti ho

kyon tumne daaman chuaraaya, tum jaano main kya bataau
mujhme kuch aeb hoga, kyon tum pe tohmat lagaau
main to yahi kahunga puchhogi jab bhi
ja ke bhi paas rahi tum hi o jaan-e-jaan jaan-e-man, jaanti ho

tum jo mujhe de gayi ho ek khubsurat nishaani
lipta ke sine se usko kat jaayegi zindagaani
main to yahi kahunga puchhogi jab bhi
ja ke bhi paas rahi tum hi o jaan-e-jaan jaan-e-man, jaanti ho
na koyi me samaya na koyi pehlu me aaya
ja ke bhi paas rahi tum hi o jaan-e-jaan jaan-e-man
Zindagi Ittefaq Hai
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Itte
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

jaam pakad badha ke haath maang dua ghate na raat
jaan-e-vafa teri qasam kahte hai dil ki baat ham
gar koyi mel ho sake aankho ka khel ho sake
apne ko khush nasib jaan vaqt ko meharabaan maan
milte hai dil kabhi-kabhi varna hai ajnabi sabhi
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai, har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

husn hai aur shabaab hai zindagi qaamayaab hai
bazm yun hi khili rahe apani nazar mili rahe
rag yun hi jamaa rahe vaqt yu hi thama rahe
saaz ki lay pe jhum le zulf ke kham ko chum le
mere kiye se kuchh nahi tere kiye se kuchh nahi
mere hamdam mere meharabaan
ye sabhi ittafaaq hai, ye sabhi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai

koi to baat kijiye yaaro ka saath dijiye
kabhi gairo se bhi apno ka gumaan hota hai
kabhi apne bhi najar aate hai begaane se
kabhi khwabo me chamakte hai muraado ke mahal
kabhi mahalo me ubhar aate hai viraane se
koi rut bhi sada nahi kya hoga kuch pata nahi
gum fizul hai gum na kar aaj ka jashn kam na kar
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

khoye se ho kyu is kadar dhundhti hai kise najar
aaj maalum hua pehle ye maalum na tha
chahte badh ke pashemaan bhi ho jaati hai
dil ke daaman se lipatati hui rangin najare
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
yaad jab ajnabi bane yaad jab berukhi bane
dil pe seh ja gila na kar sabse haskar mila najar
mere hamdam mere meharabaan
dosti ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
Zindagi Ittefaq Hai(Female)
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Itte
zindagi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi
aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

jaam pakad badha ke haath
maang dua ghate na raat
jaan-e-vafa teri qasam
kahte hai dil ki baat ham
gar koyi mel ho sake
aankho ka khel ho sake
apne ko khush nasib jaan
vaqt ko meharabaan maan
milte hai dil kabhi-kabhi
varna hai ajnabi sabhi
mere hamdam, mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai
har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi
aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

husn hai aur shabaab hai
zindagi kamayaab hai
bazm yun hi khili rahe
apani nazar mili rahe
rang yun hi jamaa rahe
vaqt yu hi thama rahe
saaz ki lay pe jhum le
zulf ke kham ko chum le
mere kiye se kuchh nahi
tere kiye se kuchh nahi
mere hamdam, mere meharabaan
ye sabhi ittafaaq hai
ye sabhi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi
aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
Ijaazat Ho
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Ijaazat-Ho/O
ke ijaazat ho to puchhe aap hi se
ke hum milkar bhi hai kyun ajnabi se
mile hum tum ise yuhi naa samajho
koi milta nahi yuhi kisi se

hazaaro shaukh kurbaan uspar
jo tumne keh diya hai saadgi se
ajab sa lag raha hai tumse kahkar
ye baate hum naa kahte the kisi se

meri manzil ki raahe jagmaga do
mohabbat ki sunheri roshani se
safar ki intaha hone naa paaye
sada ka sath lele zindagi se
O Yara Dildara
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/O-Yara-Dilda
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta

jalti mashale leke milni ki raato me
milni ki rato me
aage aage hum chale yaro ki baraato me
yaro ki baraato me
fanse koi bholi bhali apni bhi baato me
apni bhi baato me
kisi ki kalaayi aaye apne bhi haatho me
apne bhi haatho me
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta

nit naye dhundhe mujhe nit naye mile ho
nit naye mile ho
pariyo me ghire rahe kabhi na akele ho
kabhi na akele ho
gum ki ghataaye ho ki khushiyo ke rele ho
khushiyo ke rele ho
dono se nibhaane wale hum albele ho
hum albele ho
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta

humsa jiyala koi mile na hajaro me
mile na hajaro me
mare chahe jiye rahe agli kataro me
agli kataro me
jhalke hamara lahu kal ki baharo me
kal ki baharo me
ashqo ka tauhafa hoke bant jaye yaaro me
bant jaye yaaro me
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
Neele Parbatonki Dhara
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Neele-Parbat
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhne kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhane kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye

phul me jaise phul ki khushabu
dil me hai yun tera basera
dharati se ambar tak phaila
chaahat ki baaho kaa ghera
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhne kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye

suraj pichhe ghume dharati
saanjh ke pichhe ghume savera
jis naate ne in ko baandhe
vo naata hai tera mera
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhne kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye
o nile parbato ki dhaara
zindagi ke rang kayi re saathi re
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Ke-R
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re

zindagi dilo ko kabhi jodati bhi hai
zindagi dilo ko kabhi todati bhi hai
zindagi dilo ko kabhi todati bhi hai
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re

zindagi ki raah me khushi ke phul bhi
zindagi ki raah me gamo ki dhul bhi
zindagi ki raah me gamo ki dhul bhi
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re

zindagi kabhi yaqi kabhi gumaan hai
har kadam pe tera-mera imtahaan hai
har kadam pe tera-mera imtahaan hai
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re
Itni Jaldi Na Karo
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Itni-Jaldi-N
itni jaldi na karo raat ka dil tutega
aap jayenge to zazbaat ka dil tutega
itni jaldi na karo, dil tutega

sari raat yu na jaage to jawani kya
subah tak na chale to kahani kya
zulf jo humne banai thi wo bikhri bhi nahi
rang pe aake ye mehfil abhi nikhri bhi nahi
zulf jo humne banai thi wo bikhri bhi nahi
rang pe aake ye mehfil abhi nikhri bhi nahi
shamma ka saaz ka nagma ka dil tutega
haye itni jaldi na karo, dil tutega

kam se kam pyar ka ilzam to lete jaye
aaj ki raat ka inaam to lete jaye
kam se kam pyar ka ilzam to lete jaye
aaj ki raat ka inaam to lete jaye
chal diye aap to har baat ka dil tutega
haye itni jaldi na karo raat ka dil tutega
aap jayenge to zazbaat ka dil tutega
itni jaldi na karo
Jagega Insaan Zamana Dekhega
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Jaage-Ga-Ins
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
uthega tufan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega

bahata chalega milo naharo ka pani
jhumegi kheti jaise jhume jawani
chamkega desh hamara o mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
navyug ka vardan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega

phirte the mulko mulko jholi psare
ab se jiyenge hum bhi apne sahare
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
bhare hue khalihaan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega

phutega moti banke apna pasina
phutega moti banke apna pasina
duniya ki kaume humse sikhengi jina
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
kal ka hindustan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
Bachale Ae Maula Ae Raam
Singer: Mohammad Rafi
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Bacha-Le-Ae-
bina sifarish mile naukari, bin rishvat ho kaam
are isiko anhoni kahte hai, isika kaljug naam
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
bacha le ae maula ae ram, bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram

rishvat pe chalte the chakkar chhote ho ya mote
band hui ye rasam to dhande ho jayenge khote re
dhande ho jayenge khote
ghar ghar me matam hoga daftar daftar kohram
bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram

yahi chala agar dang to yaro honge bure natije
bhuke marenge netaao ke bete aur bhatije
marenge bete aur bhatije
jitni ijjat bani thi ab tak sab hogi nilaam
bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram

rishvat se muh band the sabke ab phutenge bhande
are pata chalega kiske hisse mile hue the daande
kaun sa theka lekar kisne kitna maal banaya
kitni ujrat di logo ko kitna dil dukhlaya
kon si file kis daftar se kaise hongi chori
kisne kitni gaddari ki kitni bhari tijori
kis mil malik ke paise ne kitne vot kamaye
are kursi mili to desh bhagat ne kitne note kamaye
rishvat se hi chhupe hue the sab kale kartut
nange hokar samne aayenge ab sabhi saput
duniya bhar ke mulko me hoga bharat badnaam
bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
bacha le ae maula ae ram, bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
Raja Saheb Ghar Nahi
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Aaj Aur Kal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaj-Aur-Kal/Raja-Saheb-Ghar-N
ba adad ba mulaheja ba hosiyar
nahi nahi be adab be mulahija be muhar
raja sahab ghar nahi hamko kisi ka dar nahi
aj to gardan unchi karke kahenge ham so bar
be adab be mulahija be muhar
ba adad ba mulaheja ba hosiyar
raja sahab ghar nahi hamko kisi ka dar nahi
aj to gardan unchi karke kahenge ham so bar
be adab be mulahija be muhar
ba adad ba mulaheja ba hosiyar

nachenge or gayenge chikhenge chilayenge
man marji ka pahnenge man marji ka khayenge
mahal ki unchi diwaro se dur hai pahredar
be adab be mulahija be muhar
ba adad ba mulaheja ba hosiyar
chup gaddar

ankhe jhuki jhuki ho kyu
sanse ruki ruki ho kyu
raja ji jab yaha nahi to bate ho betuki kyu
aj ke din to band karo ye jhut ka karobar
beadab be mulahija be muhar
ba adad ba mulaheja ba hosiyar

rajo or sultano ka kissa gaye jamano ka
rajo or sultano ka kissa gaye jamano ka
insano ke age kyu shish jhuke insano ka
aye samjha yug in rasmo se hai bejar
be adab be mulahija be muhar
ba adad ba mulaheja ba hosiyar
Itni Haseen Itni Jawan Raat
Singer: Mohammad Rafi
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Aaj Aur Kal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaj-Aur-Kal/Itni-Haseen-Itni-
itni hasin itni jawa raat kya kare
itni hasin itni jawa raat kya kare
jage hai kuch ajib se jazbat kya kare
itni hasin itni jawa raat kya kare

sanso me ghul rahi hai kisi sans ki mahak
sanso me ghul rahi hai kisi sans ki mahak
daman ko chhu raha hai koi hath kya kare
daman ko chhu raha hai koi hath kya kare
jage hai kuch ajib se jazbat kya kare
itni hasin itni jawa raat kya kare

shayad tumhare aane se ye bhed khul sake
shayad tumhare aane se ye bhed khul sake
hairan hai ki aaj nai bat kya kare
jage hai kuch ajib se jazbat kya kare
itni hasin itni jawa raat kya kare
Ye Wadiyan Ye Fizayen
Singer: Mohammad Rafi
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Aaj Aur Kal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaj-Aur-Kal/Yeh-Wadiyan-Yeh-F
ye vadiya ye fizaye bula rahi hai tumhe
ye vadiya ye fizaye bula rahi hai tumhe
khamoshiyo ki sadaye bula rahi hai tumhe
ye vadiya ye fizaye bula rahi hai tumhe

tumahari zulfo se khushabu ki bhikh lene ko
jhuki jhuki si ghataye bula rahi hai tumhe
khamoshiyo ki sadaye bula rahi hai tumhe
ye vadiya ye fizaye bula rahi hai tumhe

hasi champai pairo ko jabse dekha hai
nadi ki mast adaye bula rahi hai tumhe
khamoshiyo ki sadaye bula rahi hai tumhe
ye vadiya ye fizaye bula rahi hai tumhe

mera kaha na suno dil ki baat to sun lo
har ek dil ki duaye bula rahi hai tumhe
khamoshiyo ki sadaye bula rahi hai tumhe
ye vadiya ye fizaye bula rahi hai tumhe
Mujhe Galese Lagalo
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Aaj Aur Kal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaj-Aur-Kal/Mujhe-Gale-Se-Lag
mujhe gale se laga lo, bahut udaas hu main
game jaha se chhuda lo, bahut udaas hu main
mujhe gale se laga lo

yu intzaar ka dukh, ab saha nahi jata
tadap rahi hai mohabbat, raha nahi jata
tum apne paas bula lo, bahut udaas hu main
game jaha se chhuda lo, bahut udaas hu main
mujhe gale se laga lo

bhatak chuki hu bahut, zindagi ki raho me
mujhe ab aake chhupa lo, tum apni baho me
mera sawal na talo, bahut udaas hun mai
game jaha se chhuda lo, bahut udaas hu main
mujhe gale se laga lo

har ek saans me milne ki pyas palti hai
sulag raha hai badan aur ruh jalti hai
bacha sako to bacha lo, bahut udaas hun main
game jaha se chhuda lo, bahut udaas hu main
mujhe gale se laga lo
Mujhe Galese Lagalo(Duet)
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Aaj Aur Kal
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaj-Aur-Kal/Mujhe-Gale-Se-Lag
mujhe gale se laga lo, bahut udas hu mai
game jaha se chhuda lo, bahut udas hu mai
mujhe gale se laga lo

nazar me tir se chubhte hai ab nazaro se
mai thak gayi hu sabhi tutate saharo se
ab aur bojh na dalo, bahut udas hu mai
mujhe gale se laga lo

bahut sahi gam-e-duniya magar udas na ho
karib hai shab-e-gam ki sahar udas na ho
bahut sahi gam-e-duniya

sitam ke hath ki talvar tut jayegi
ye unch-nich ki divar tut jayegi
tujhe kasam hai meri hamsafar udas na ho
bahut sahi gam-e -uniya

na jane kab ye tarika ye taur badlega
sitam ka gam ka musibat ka daur badlega
mujhe jaha se utha lo, bahut udas hu mai
mujhe gale se laga lo