People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Zindagi Ittefaq Hai
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Itte
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

jaam pakad badha ke haath maang dua ghate na raat
jaan-e-vafa teri qasam kahte hai dil ki baat ham
gar koyi mel ho sake aankho ka khel ho sake
apne ko khush nasib jaan vaqt ko meharabaan maan
milte hai dil kabhi-kabhi varna hai ajnabi sabhi
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai, har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

husn hai aur shabaab hai zindagi qaamayaab hai
bazm yun hi khili rahe apani nazar mili rahe
rag yun hi jamaa rahe vaqt yu hi thama rahe
saaz ki lay pe jhum le zulf ke kham ko chum le
mere kiye se kuchh nahi tere kiye se kuchh nahi
mere hamdam mere meharabaan
ye sabhi ittafaaq hai, ye sabhi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai

koi to baat kijiye yaaro ka saath dijiye
kabhi gairo se bhi apno ka gumaan hota hai
kabhi apne bhi najar aate hai begaane se
kabhi khwabo me chamakte hai muraado ke mahal
kabhi mahalo me ubhar aate hai viraane se
koi rut bhi sada nahi kya hoga kuch pata nahi
gum fizul hai gum na kar aaj ka jashn kam na kar
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

khoye se ho kyu is kadar dhundhti hai kise najar
aaj maalum hua pehle ye maalum na tha
chahte badh ke pashemaan bhi ho jaati hai
dil ke daaman se lipatati hui rangin najare
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
yaad jab ajnabi bane yaad jab berukhi bane
dil pe seh ja gila na kar sabse haskar mila najar
mere hamdam mere meharabaan
dosti ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai