nindiya hai sapna hai chandan ka palna hai
nindiya hai sapna hai chandan ka palna hai
jhula jhulaye maiya soye gudiya la ra ru ru la ru ru ra
nindiya hai sapna hai chandan ka palna hai
jhula jhulaye maiya soye gudiya la ra ru ru la ru ru ra
sapno me hai mahal do mahle do hai sunhle, do hai duphle
sapno me hai mahal do mahle do hai sunhle, do hai duphle
gudiya ka man kyu na bahle
jhula jhulaye maiya soye gudiya la ra ru ru la ru ru ra
badal ke aanchal me tare kaun ye jane kitne sare
badal ke aanchal me tare kaun ye jane kitne sare
gahri gahri nindiya dare
jhula jhulaye maiya soye gudiya la ra ru ru la ru ru ra
nindiya hai sapna hai chandan ka palna hai
nindiya hai sapna hai chandan ka palna hai
jhula jhulaye maiya soye gudiya la ra ru ru la ru ru ra
soye gudiya la ra ru ru la ru ru ra, soye gudiya
laharaayaa tiragaa man ke himaalay se
utari hai naye ujaale ki gagaa
laharaayaa tiragaa
aaj ham raushan karege prem ke laakho diye
aaj se ham sab rahege pyaar kaa amr^it piye
aaj se ham sab jiyege
ek duje ke liye
qasam khaate hai ye
ham hameshaa hi rahegaa
jo hogaa aaj sagam
qasam khaate hai ye ham
aaj ham raushan karege
aaj se har daal par
kaliyaan khilegi pyaar ki
aaj se hogi dilo me
baat is iqaraar ki
aaj se divaar nafarat ki
na uthane paayegi
aaj se bas aavaaz yahi aayegi
aaj ham raushan karege
aaj se aane na dege
ham dilo me duriyaan
aaj se hamako mitaane hai
gam aur majaburiyaan
aaj se laayege har
jivan me ik musakaan ham
aaj se aisaa banaayege
ye hindustaan ham
aaj ham raushan karege
lehraaya tiranga man ke himalaye se
utri hai naye ujale ki ganga lehraya tiranga
aaj hum roshan karenge prem ke lakho diye
aaj se ham sab rahenge pyar kaa amrit piye
aaj se ham sab jiyenge ek duje ke liye
kasam khate hain yeh hum hamesha hi rahega
jo hoga aaj sangam kasam khate hain yeh hum
aaj hum roshan karenge
aaj se har daal par kaliya khilenge pyaar ke
aaj se hogi dilo me baat iss ikraar kee
aaj se divaar nafrat ke na uthane payege
aaj se bas aawaaj yahee aayege
aaj hum roshan karenge
aaj se aane naa denge ham dilo me duriya
aaj se hamko mitane hain gham aur majburiya
aaj se layenge har jivan me ik muskaan hum
aaj se aisa banayenge yeh hindustaan hum
aaj hum roshan karenge
tere bin suna more man ka mandir
aa re aa o sajna re aa re aa
tere bin suna more man ka mandir
aa re aa aa re aa aa re aa o sajna re aa re aa
aa re aa
os ki bundi ankhiya munde kaliyo ka shringar kare
phul chaman se mahak pawan se lahre tat se pyar kare
mai akela panchi jaisa
mai akela panchi jaisa dhundu tere man ka basera
tere bin suna more man ka mandir
aa re aa aa re aa aa re aa o sajna re aa re aa
aa re aa
samay ka aachal tham ke pal pal umar chali hai jane kaha
par mai thahra ek jagah par bat niharu teri yaha
mere sathi hoga kaha
mere sathi hoga kaha madhur milan tera mera
tere bin suna more man ka mandir
aa re aa aa re aa aa re aa o sajna re aa re aa
aa re aa
vaqt ke dhanche me apani zindagi ko dhal kar
muskurao maut ki aankho me aankhe dal kar
patthar se shisha takara ke
patthar se shisha takara ke, vo kahate hai dil tute na
us dhan ki kimat kuchh bhi nahi, jis dhan ko lutera lute na
patthar se shisha takara ke
najaro ka ishara dhoka tha
baato ka sahara dhoka tha
baata ka sahara dhoka tha
ab gam me dil dube lakin
ab gam me dil dube lakin
majhdhar se nata tute na
patthar se shisha takara ke
do aankho ke takarane se
afasane banate hai lekin
afasane banate hai lekin
kuchh aise fasane hai jinaka
kuchh aise fasane hai jinaka
kanto se daman chhute na
patthar se shisha takara ke
bekarari karar ho jaye
jo fiza hai bahar ho jaye
josko kahate hai pyar ka saagar
josko kahate hai pyar ka saagar
dubane wala paar ho jaye
patthar se shisha takara ke
tufan me chalate rahana hai
sholo me jalate rahana hai
sholo me jalate rahana hai
vo mazil kya jis mazil pe
vo mazil kya jis mazil pe
pairo ke chhale phute na
patthar se shisha takara ke
bole to bansuri kahi bajti sunai de
aisa badan ki tarishna ka mandir dikhai de
bole to bansuri kahi
chehra tamam nagmagi aankhe tamam lay
dekhu use to jindagi gati dikhai de
bole to bansuri kahi
wo bolta badan hai ghatao ke bhesh me
bundo me uska lahza khanakata sunai de
bole to bansuri kahi
taire hai yu nigah me parchai aapki
pani me jaise barf ka tukda dikhai de
bole to bansuri kahi
bole to bansuri kahi bajti sunai de
aisa badan ki tarishna ka mandir dikhai de
bole to bansuri kahi bajti sunai de
ye mat janiyo tum bichude mohe chain
jaise ban ki lakdi sulagti ho din rain
kajre ki bati asuwan ke tel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati asuwan ke tel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati
chanchal se naino me kajal ko aanj kar
bikhri in palko me rajni ko bandh kar
sinduri aachal me taro ko tak kar
adhro ke pyalo me chumban ko dhal kar
atka kar sabke man preet ki gulel me
mari na jau kahi apne hi is khel me
sapne hi tut gaye is tal mel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati
tan ki surahi me yowan ki hala
chitwan me madhoshi ango me jwala
chal chal chalke jo madira ka pyala
gori tu lage hai puri madhushala
nasha hi nasha hai in anguri bel me
pyala or madira in dono ke mel me
nasha hi nasha hai in anguri bel me
virah ke phul hai jiwan ki bel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati
janam janam tera mera pyar naya hai
git purana saz naya hai
janam janam tera mera pyar naya hai
git purana saz naya hai janam janam
aaj ki har ghadi rup me ik naya nikhar leke aai hai
rat ki chandani zindagi me ik nai bahar leke aai hai
kudarat ne khole hai akhon ke raj naye
janam janam tera mera pyar naya hai
git purana saz naya hai janam janam
jharano me aj naya git hai
gito me pyar ka sagit hai
jharano me aj naya git hai
gito me pyar ka sagit hai
mahaki hava ne chachal fiza ne
mahaki hava ne chachal fiza ne
tujh hi se sikhe hai akho ke raj naye
janam janam tera mera pyar naya hai
git purana saz naya hai janam janam
gagan ye samajhe chand sukhi hai, chanda kahe sitare
darya ki lahare ye samajhe hamase sukhi kinare
o sathi dukh me hi sukh hai chhipa re
o sathi dukh me hi sukh hai chhipa re
bhaiya re sathi re bhaiya re ho rama re
hai rama hai rama ko
dur ke parbat dur hi rah ke lagate sabako suhane
pas agar jakar dekhe to patthar ki chattane
kaliya samajhe chaman sukhi hai chaman kahe re bahare
o sathi dukh me hi sukh hai chhipa re o sathi
bhaiya re sathi re bhaiya re ho rama re
hai rama hai rama ko
rat andheri hai rama ko
rat andheri soche man me hai din me ujiyara
din ki garami soch rahi hai hai shital adhiyara
o sathi hai shital adhiyara
patajhad samajhe sukhi hai savan savan kahe agare
o sathi dukh mai hi sukh hai chhipa re o sathi
o sathi re o badhu re sathi re badhu re
nirdhan dhan ki chah ko lekar firata mara mara
dhan valo ko chain nahi ye kaisi jag ki maya
ik duje ko sukhi samajhate sukh ko sabhi pukare
o sathi dukh me hi sukh hai chhipa re o sathi
pothi padh padh jag mua, pandit bhaya na koy
dhai akshar prem ka, padhe so pandit hoy
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
hamane duniya se alag ganv basa rakha hai
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
meri kismat ki lakiro ko sajaya tune
ek nachiz ko fanakar banaya tune
mai ne har bol tera dil me saja rakha hai
hamane duniya se alag ganv basa rakha hai
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
mai ne gito se chhavi teri banayi baraso
dur rah kar tujhe avaz sunayi baraso
kis liye tu ne mujhe gair bana rakha hai
hamane duniya se alag ganv basa rakha hai
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
tujhako din rat khayalo me hai puja mai ne
tere pairo ke nishan par kiya sajada mai ne
bandagi me tere sar ab bhi jhuka rakha hai
hamane duniya se alag ganv basa rakha hai
teri tasavir ko sine se laga rakha hai
tujhe dekh kar jag vale
tujhe dekh kar jag vale par yakin nahi kyu kar hoga
tujhe dekh kar jag vale par yakin nahi kyu kar hoga
jisaki rachana itani sundar vo kitana sundar hoga
vo kitana sundar hoga
tujhe dekhane ko mai kya har darpan tarasa karata hai
jyo tulasi ke birava ko har agan tarasa karata hai
har agan tarasa karata hai
ang ang tera ras ki ganga
ang ang tera ras ki ganga rup ka vo sagar hoga
jisaki rachana itani sundar vo kitana sundar hoga
vo kitana sundar hoga
rag ras ka sagam adhar tu prem kahani ka
mere pyase man me yu utari jyo ret me jharana pani ka
jyo ret me jharana pani
apana rup dikhane ko ho ho o ho
apana rup dikhane ko tere rup me khud ishvar hoga
jisaki rachana itani sundar vo kitana sundar hoga
vo kitana sundar hoga
tumhe geeto me dhalunga, aa aa aa ha
tumhe geeto me dhalunga tumhe geeto me dhalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
tumhe geeto me dhalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do oh
phulo ki honge ghataye, phulo ki honge bahare
sargam ke leke yeh bhavre, kaliyo ka ghungat uthare
sapne saja lunga
tumko tumhi hi se mai ek din chura lunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
dekho yeh shaan hamari, ham hai pawan ke pujari
dharati ghagan ke milan ki, aarati hamne utari
ab mai na manunga, iss dil ke darpan me tumko sajalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
badal se sath rang barse, pyasa mann kaahe ko tarse
kehti hai barkha deewani, gore simat nahi dar se
apna bana lunga, dil me basa lunga, seene se lagalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
sab tithiya ka chandrama, jo dekha chaho aaj
dhire dhire ghunghata sarkavo sartaj
chand jaise mukhade pe bindiya sitara
nahi bhulega meri jan yeh sitara woh sitara
mana teri najaro me, mai hu ek avara ho avara
nahi bhulega meri jan yeh aavara, woh avara
chand jaise mukhade pe bindiya sitara
sagar sagar moti milate, parbat parbat paras
tan mann aise bhije jaise barse mahue ka ras
are kasturi ko khojata phirata hai yeh banjara
nahi bhulega meri jan yeh banjara woh banjara
chand jaise mukhade pe bindiya sitara
kajarare chanchal naino me suraj chand ka dera
rup ke iss pavan mandir me hansa kare basera
pyase gito ki ganga ka tu hi hai kinara
nahi bhulega meri jan, yeh kinara woh kinara
chand jaise mukhade pe bindiya sitara
nahi bhulega meri jan yeh sitara woh sitara
mana teri najaro me, mai hu ek avara ho avara
nahi bhulega meri jan yeh aavara, woh avara
chand jaise mukhade pe bindiya sitara