tumhe geeto me dhalunga, aa aa aa ha
tumhe geeto me dhalunga tumhe geeto me dhalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
tumhe geeto me dhalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do oh
phulo ki honge ghataye, phulo ki honge bahare
sargam ke leke yeh bhavre, kaliyo ka ghungat uthare
sapne saja lunga
tumko tumhi hi se mai ek din chura lunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
dekho yeh shaan hamari, ham hai pawan ke pujari
dharati ghagan ke milan ki, aarati hamne utari
ab mai na manunga, iss dil ke darpan me tumko sajalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do
badal se sath rang barse, pyasa mann kaahe ko tarse
kehti hai barkha deewani, gore simat nahi dar se
apna bana lunga, dil me basa lunga, seene se lagalunga
sawan ko aane do sawan ko aane do