People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

O Yaara Yaara
Singer: Asha Bhosle
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/O-Yaara-Yaara/SQEhVDwHRlw
Video:
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
bas jaa nigaaho me aur aaja meri baaho mein
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
bas jaa nigaaho me aur aaja meri baaho mein
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi

aur bhi paas aa aur bhi karib aa
chha rahe hai julfo ke badal
aaj tu mujhe le chal
tufa kaisa hai mere dil aise pta na chalenge
aa mujhe chhu ke dekh ye halchal aa aa
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
bas jaa nigaaho me aur aaja meri baaho mein
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi

kal kya hoga kaun ye soche
de hi diya jab ye dil
sine se lag ja jhum ke aa mil
maar de mujhko ek najar se
ek najar se hila de
mere masiha o mere katil aaj aaj
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
bas jaa nigaaho me aur aaja meri baaho mein
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
o yaara yaara yaak yaara yaara yakubi
Jane Jana Jao Kal Phir Aana
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/Jan-E-Janan-Jao-Kal-Phir-Aana/KVksHEBzWWE
Video:
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
ab yad rakhna raah ye dilbar
luta hai ispe tumne bahar me
kal tak yahi par aankh bichaye
baitha rahunga mai intzar me
jao karo na bekal dil raha hai machal
baki bate hongi kal abhi kya kahu
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana

thodi abhi to najar jhukaogi
thoda abhi to sharmaogi tum
pahla hi din hai apne milan ka
do char din me khul jaogi tum
ise kahte hai pyara sikhlaunga mai yar
hu tumhara dawedar aage kya kahu
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana

pagal kaho tum haskar mujhko
ya dil hi dil me diwana samjho
par ye tumhari kaisi ada hai
apne kisi ko begana samjho
na samjh me ho kam na umar me ho kam
ab tumse sanam mai kya kahu
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
Maine Dekha Ek Sapna
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/Maine-Dekha-Ek-Sapna/AT89UBNaRGI
Video:
maine dekha ek sapana
kya dekha bolo bolo na bolo bolo na
tab se dhadke dil kitna
hay kitna bolo bolo na bolo na
dekha pagal sa ek naujavan
teri rahon me hai achcha
han aur tu pagalon ki tarah
uski banhon me hai vo naujavan khelta
hi raha tere balon se balon se
aur tauba-tauba tere hath
the uske galon pe galon pe

vo naujavan khelta
hi raha tere balon se balon se
aur tauba-tauba tere hath
the uske galon pe galon pe
laten teri padi kahin anchal tera aur kahin hai
ho aage bhi kuch dekha tha ji
magar kuch yaad nahin hai
suno suno maine bhi dekha ek sapna
kya dekha bolo na bolo na bolo na bolo na
tab se dil dhadke kitna
hai bolo na bolo na bolo na bolo na
dekha pyara sa ek naujavan meri rahon me hai
aur mera rangila badan usaki banhon me hai

bilkul tumhari tarah hi tha rama duhai re
kis pyar se hay thami thi meri kalai re
bilkul tumhari tarah hi tha rama duhai re
kis pyar se hay thami thi meri kalai re
hay maine dekha laten kahin aur
anchal mera aur kahin hai
ho aage kuch dekha nahin isalie yad nahin hai
maine bhi dekha ek sapna
kab se dil dhadke kitna

ab to vahi bas vahi mere is dil me basta hai
achcha to phir aaj se bas alag apna rasta hai
hai bat aisi to dil mera vapas kiye jao
in bholi baton pe rani duaen lie jao
hay tera-mera raha kahan ek hue donon ke dil
o jaise mile kvabon me sajana mere aa vaise mil
humne dekha ek sapna
humne dekha ek sapna
humne dekha ek sapna
Yeh Khel Hai Takdir
Singer: Manna Dey
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/Yeh-Khel-Hain-Taqdeer-Ke/P1EdUCcEU30
Video:
ye khel hai takdir ke do chehre ek taswir ke
ye khel hai takdir ke do chehre ek taswir ke
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi
ye khel hai takdir ke do chehre ek taswir ke
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi

kal jis rashte ko chhod a or chhod e bure karam
fir se aaj un raho me dole wahi kadam
kal jis rashte ko chhod a or chhod e bure karam
fir se aaj un raho me dole wahi kadam
dekh re dekho ye aadmi kuch bhi nahi
o sab khel hai takdir ke do chehre ek taswir ke
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi

duje ka ye dukh samjhe to aisa ho bekarar
manwta kya hai dekhe to data ko aaye pyar
duje ka ye dukh samjhe to aisa ho bekarar
manwta kya hai dekhe to data ko aaye pyar
daulat kya ye to dil kat de or bat de
o sab khel hai takdir ke do chehre ek taswir ke
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi

aankho se aansu chalkaye tufan aah ka
dhabba fir bhi jaye na pichle gunah ka
aankho se aansu chalkaye tufan aah ka
dhabba fir bhi jaye na pichle gunah ka
kismat ka mara majbur hai lachar hai
o sab khel hai takdir ke do chehre ek taswir ke
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi
bhagwan bhi shaitaan bhi kya chiz hai insan bhi
Jab Tak Rahe Tan Mein Jiya
Singer: Asha Bhosle
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/Jab-Tak-Rahe-Tan-Mein-Jiya/RQAeQhNoXQI
Video:
jab tak rahe tan mein jiya
jab tak rahe tan mein jiya
wada raha o sathiya
hum tumhare liye tum humare liye
hum tumhare liye tum humare liye
jab tak rahe tan mein jiya
wada raha o sathiya
hum tumhare liye tum humare liye
hum tumhare liye tum humare liye

dhup lagegi jab jab tum ko sajna
o darungi main aanchal ki chaiya
sanj pade jab thak jaoge balma
warunge main gore gore baiya
dolungi ban ke chandni main tere angna
dolungi ban ke chandni main tere angna
jab tak rahe tan mein jiya wada raha o sathiya
hum tumhare liye tum humare liye
hum tumhare liye tum humare liye

sare janam ko ab to apne tan pe haan
o odhe chunariya maine sajan ke
khili rahe muskan teri fir chahe
o lut jaye bagiya mere jiwan ke
mai jewan chhod dun chhodo na main tere galiyan
mai jewan chhod dun chhodo na main tere galiyan
jab tak rahe tan mein jiya wada raha o sathiya
hum tumhare liye tum humare liye
hum tumhare liye tum humare liye
hum tumhare liye tum humare liye
hum tumhare liye tum humare liye
Bangale Ke Pichhe
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/Bangle-Ke-Peechhe/MyAdVEEERHw
Video:
bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya aha re aha re aha re piya
kanta laga hay laga ha aja ha raja

bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya aha re aha re aha re piya
kanta laga hay laga ha raja ha raja
bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya

bidiya chhipaye re lali chunar
od ke mud ke mukhada apna
nikli adhere me duniya ke dar se me sajana
bidiya chhipaye re lali chunar
od ke mud ke mukhada apna
nikli adhere me duniya ke dar se me sajana
rat bairan huyi o re sathiya
dekh halat meri aa lekar jiya

bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya aha re aha re aha re piya
kanta laga hay laga ha aja ha raja
bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya

ayi musibat to ab sochti
hun mai kyun rah saki na tere bin
sach hi to kahti thi sakhiyan phansegi tu ek din
ayi musibat to ab sochti
hun mai kyun rah saki na tere bin
sach hi to kahti thi sakhiyan phansegi tu ek din
bhul to ho gayi jo kiya so kiya
tu bacha le balam aj mera jiya

bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya aha re aha re aha re piya
kanta laga hay laga ha aja ha raja
bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya

sabko pukare anadi na
samjhe ye milne ka sara jatan hai
kaise batau ye chahat ki saiyan chubhan hai
sabko pukare anadi na
samjhe ye milne ka sara jatan hai
kaise batau ye chahat ki saiyan chubhan hai
ye wo kanta sajan jaye lekar jiya
nain suyi lage to nikale piya

bangle ke pichhe teri beri ke niche
hay re piya aha re aha re aha re piya
kanta laga hay laga ha aja ha raja