People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Jane Jana Jao Kal Phir Aana
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D. Burman
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Samadhi-1972/Jan-E-Janan-Jao-Kal-Phir-Aana/KVksHEBzWWE
Video:
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
ab yad rakhna raah ye dilbar
luta hai ispe tumne bahar me
kal tak yahi par aankh bichaye
baitha rahunga mai intzar me
jao karo na bekal dil raha hai machal
baki bate hongi kal abhi kya kahu
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana

thodi abhi to najar jhukaogi
thoda abhi to sharmaogi tum
pahla hi din hai apne milan ka
do char din me khul jaogi tum
ise kahte hai pyara sikhlaunga mai yar
hu tumhara dawedar aage kya kahu
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana

pagal kaho tum haskar mujhko
ya dil hi dil me diwana samjho
par ye tumhari kaisi ada hai
apne kisi ko begana samjho
na samjh me ho kam na umar me ho kam
ab tumse sanam mai kya kahu
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana
jane jana jao kal fir aana
yuhi kisi mod pe mil jana