People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Sajna Mujhko Roohi Kehke Bulaya
Singer: Asha Bhosle
Music: Manoj Gyan
Lyricist: Manoj Yadav
Album: Roohi(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Roohi-OST/Sajna-Mujhko-Roohi-Kahke-Roohi--Soundtrack-Version/
Video:
o ho ho aa aa aa
ho ho ho

jhoom jhoomke nache gori
kahe nain churaye re
kaun hai wo kya lage tera jisse tu sharmaye
jhoom jhoomke nache gori
kahe nain churaye re
kaun hai wo kya laage tera jisse tu sharmaye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
sajna mujhko roohi keh ke bulaaye
main unko kya bolun jo wo bhi muskuraye
main unko kya bolun jo wo bhi muskuraye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye

kasam se na janu ri daiya
shor kya machaye purvaiya
kasam se naa janu ri janu daiya
shor kya machaye purvaiya
jaan gayi hongi wo batiyan
boli jo unse mori akhiyan
unki meri prem kahani hai purani
unki meri prem kahani hai purani
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye

aisi vaisi baat na kahungi sajna ke rang mein ragungi
aisi vaisi baat na kahungi sajna ke rang mein ragungi
din raat pujungi unko pujaarin banke rahungi
kahe jag sara mujhe hai dewani
kahe jag sara mujhe hai dewani
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
main unko kya bolun jo wo bhi muskuraye
main unko kya bolun jo wo bhi muskuraye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
sajna mujhko roohi keh ke bulaye
Khubsurat Tera Chehra
Singer: Suresh Wadkar
Music: Manoj Gyan
Lyricist: Manoj Yadav
Album: Roohi(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Roohi-OST/Khoobsurat-Tera-Chehra-Roohi--Soundtrack-Version/QQ
Video:
khoobsurat tera chehra nargisi aankhen
dilkash teri har ek adaa hai
aur kahun kya main aage
khoobsurat tera chehra nargisi aankhen
dilkash teri har ek adaa hai
aur kahun kya main aage
khoobsurat tera chehra

shaayar likhe jo tujh pe rubaai alfaaz use nahi milte
shaayar likhe jo tujh pe rubaai alfaaz use nahi milte
mussabir kheeche naksh jo tera
rangon mein rang nahi milte
sach kehta hun teri kasam teri kasam
deedar ko taraste the tere ye dewaane
dilkash teri har ek adaa hai
aur kahun kya main aage
khoobsurat tera chehra

taareef karna agar ho gunaah to
har ek saza humko hai kubool
taareef karna agar ho gunaah to
har ek saza humko hai kubool
sangmarmar ke taaj mahal sa
nikhra ujala tera roop
mumtaaz ki hai tasveer tu tasveer tu
sajda karenge sau sau baar husan ke ye parwaane
dilkash teri har ek adaa hai aur kahun kya main aage
khoobsurat tera chehra dilkash teri har ek adaa hai
aur kahun kya main aage khoobsurat tera chehra
Jeete The Jiske Dam Se
Singer: Manhar Udhas
Music: Manoj Gyan
Lyricist: Indeevar
Album: Roohi(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Roohi-OST/Jeete-The-Jiske-Dam-Se-Roohi--Soundtrack-Version/Py
Video:
teri yaad salaamat hai dil mein dil toot gaya to toot gaya
hum thaam ke dil ko kya karte jab daaman tera choot gaya
jeete the jiske dam se jeete the jiske dam se
duniya ne use chheena kis kaam ka ye jeena
jeete the jiske dam se duniya ne use chheena
kis kaam ka ye jeena jeete the jiske dam se

takdeer meri kya khoob nikali
mere dost ki wo meheboob nikali
takdeer meri kya khoob nikali
mere dost ki wo meheboob nikali
kitni maasoomiyat se aake
keh diya dost ne jaate jaate
meri jaa ka khayal rakhna
apno ke hi haath se
apno ke hi haath se
padta hai zeher peena
kis kaam ka ye jeena
jeete the jiske dam se

jise apna maana paraaya tha wo
udta hua ek saaya tha wo
jise apna maana paraaya tha wo
udta hua ek saaya tha wo
wo kali thi kisi ke chaman ki
thi shama aur hi anjuman ki
dil ko jisse kiya tha roshan
nazdeek tha kinaara
nazdeek tha kinaara duba ye jab safeena
kis kaam ka ye jeena jeete the jiske dam se
duniya ne use chheena kis kaam ka ye jeena
jeete the jiske dam se
Badi Der Ki Meherban-1
Music: Manoj Gyan
Lyricist: Indeevar
Album: Roohi(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Roohi-OST/Badi-Der-Ki-Meherba-Roohi--Soundtrack-Version/JSFec
Video:
badi der ki meherba aate aate
badi der ki meherba aate aate
kaha chal pade hum, kaha jate jate
badi der ki meherba aate aate
kaha chal pade hum, kaha jate jate

shahnaiyo ke sapne sajaye
shahnaiyo ke sapne sajaye
baithe the raaho me palke bichhaye
ke mausam hi badla
ghata chhate chhate
ghata chhate chhate
Tu HI Meri Roohi
Music: Manoj Gyan
Lyricist: Indeevar
Album: Roohi(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Roohi-OST/Tuhi-Tuhi-Meri-Roohi-Roohi--Soundtrack-Version/Jhpd
Video:
roohi roohi meri roohi
in waadiyon ki kasam hai in gesuon ki kasam hai
mere dil mein basi hai tu hi tu hi meri roohi
tu hi meri roohi in badalon ki kasam hai
in parvaton ki kasam hai harsu nazar aata hai
mujhe tu hi teri roohi mujhe tu hi teri roohi

milke gale zamee aasmaa khoye hai sapno mein dur kahin
aisa laga paake tujhe aur mujhe kuch pana nahi
chhaya jaise ek nasha behki behki hai fizaa
har saas tere pyaar se mehki mehki jaise juhi
mehki mehki jaise juhi

lu janam tere liye ye do nayan mere dono jahan
kehne ko hai hum do badan ek hai dil aur ek hai jaan
jab main aau tere paas badti jaye dil ki pyaas
tere raah mein sada jaau khoi khoi baith yuhi
khoi khoi baith yuhi

farishta ho tum ya devta
insaa nazar aisa aata nahi
nazar mein bharu kaise ye rooh
jahaano mein jo samaata nahi
dekhe agar ye adaa raahi bhule raasta
har raah tere rang se khili khili jaise juhi
tu hi tu hi meri roohi
tu hi tu hi meri roohi
tu hi tu hi meri roohi
tu hi tu hi meri roohi
Badi Der Ki Meherban
Music: Manoj Gyan
Lyricist: Manoj Yadav
Album: Roohi(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Roohi-OST/Badi-Der-Ki-Meherba-Roohi--Soundtrack-Version/JSFec
Video:
badi der ki meherba aate aate
badi der ki meherba aate aate
kaha chal pade hum kaha jate jate
badi der ki meherba aate aate
kaha chal pade hum kaha jate jate

teri zindagi mein aa naa sake hum
teri zindagi mein aa naa sake hum
ke paakar bhi tujhko paa naa sake hum
khud hi kho gaye hum tujhe pate pate
tujhe pate pate
badi der ki meherba aate aate
kaha chal pade hum kaha jate jate

naa kuch bhi diya jab hume zindagi ne
naa kuch bhi diya jab hume zindagi ne
ke tadpaya itna teri berukhi ne
zeher pee gaye hum dawa aate aate
dawa aate aate
badi der ki meherba aate aate
kaha chal pade hum kaha jate jate
kaha chal pade hum kaha jate jate