teri yaad salaamat hai dil mein dil toot gaya to toot gaya
hum thaam ke dil ko kya karte jab daaman tera choot gaya
jeete the jiske dam se jeete the jiske dam se
duniya ne use chheena kis kaam ka ye jeena
jeete the jiske dam se duniya ne use chheena
kis kaam ka ye jeena jeete the jiske dam se
takdeer meri kya khoob nikali
mere dost ki wo meheboob nikali
takdeer meri kya khoob nikali
mere dost ki wo meheboob nikali
kitni maasoomiyat se aake
keh diya dost ne jaate jaate
meri jaa ka khayal rakhna
apno ke hi haath se
apno ke hi haath se
padta hai zeher peena
kis kaam ka ye jeena
jeete the jiske dam se
jise apna maana paraaya tha wo
udta hua ek saaya tha wo
jise apna maana paraaya tha wo
udta hua ek saaya tha wo
wo kali thi kisi ke chaman ki
thi shama aur hi anjuman ki
dil ko jisse kiya tha roshan
nazdeek tha kinaara
nazdeek tha kinaara duba ye jab safeena
kis kaam ka ye jeena jeete the jiske dam se
duniya ne use chheena kis kaam ka ye jeena
jeete the jiske dam se