Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand
Mann Kare So Praan De,
Jo Mann Kare So Praan Le
Wahi To Ek Sarv Shaktimaan Hai
Mann Kare So Praan De,
Jo Mann Kare So Praan Le
Wahi To Ek Sarv Shaktimaan Hai
Ishr Ki Pukaar Hai
Yeh Bhagwat Ka Saar Hai
Ki Yudh Hi To Veer Ka Pramaan Hai
Kauravo Ki Bheed Ho
Ya Pandavo Ka Neer Ho
Jo Lad Saka Hai
Wo Hi To Mahaan Hai
Jeet Ki Hawas Nahi,
Kisi Pe Koi Vash Nahi
Kya Zindagi Hai Thokaro Pe Maar Do
Maut Anth Hai Nahi
To Maut Se Bhi Kyu Dare?
Yeh Jaake Aasmaan Mein Dahaad Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand
Ho Daya Ka Bhaav
Ya Ki Shaurya Ka Chunaav
Ya Ki Haar Ka Wo Ghaav
Tum Yeh Soch Lo
Ho Daya Ka Bhaav
Ya Ki Shaurya Ka Chunaav
Ya Ki Haar Ka Wo Ghaav
Tum Yeh Soch Lo
Ya Ki Poore Bhaal Bhar
Jala Rahe Vijay Ka Laal
Laal Yeh Gulaal, Tum Yeh Soch Lo
Rang Kesari Ho
Ya Mridang Kesari Ho Ya Ki
Kesari Ho Laal Tum Yeh Soch Lo
Jis Kavi Ki Kalpana Mein
Zindagi Ho Prem Geet
Uss Kavi Ko Aaj Tum Nakaar Do
Bheegti Nasso Mein Aaj,
Phoolti Rago Mein Aaj
Aaj Aag Ki Lapat Ka Tum Baghaar Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand
Aarambh Hai Prachand
Aarambh Hai Prachand
Hoye Hoye Hoye..
O Ri Duniya O Ri Duniya
Aye Duniya
Aye Surmayee Aankhein Ke Pyaalo Ki Duniya
O Duniya
Surmayee Aankhein Ke Pyaalo Ki Duniya
O Duniya
Satrangi Rango Gulalo Ki Duniya O Duniya
Satrangi Rango Gulalo Ki Duniya O Duniya
Alsaayi Sejo Ke Phoolon Ki Duniya
O Duniya Re
Angdaayi Tode Kabootar Ki Duniya
O Duniya Re
Aye Karwat Le Soyi Haqeeqat Ki Duniya
O Duniya
Deewani Hoti Tabiyat Ki Duniya
O Duniya
Khwahish Mein Lipti Zaroorat Ki Duniya
O Duniya Re
Hey Insaan Ke Sapno Ki Niyat Ki Duniya
O Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Mamta Ki Bikhri Kahani Ki Duniya
O Duniya
Behno Ki Siski Jawani Ki Duniya
O Duniya
Aadam Ke Hawaas Rishte Ki Duniya
O Duniya Re
Hey Shayar Ke Pheenke Labzo Ki Duniya
O Duniya
O Ho Ho Oo
Gaalib Ke Maumin Ke Khawabo Ki Duniya
Majazo Ke Un Inqalabo Ki Duniya
Gaalib Ke Maumin Ke Khawabo Ki Duniya
Majazo Ke Un Inqalabo Ki Duniya
Faize Firako Sahir Umakhdum
Meel Ki Zoku Kitabo Ki Duniya
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Palchin Mein Baaten Chali Jaati Hai Hai
Palchin Mein Baaten Chali Jaati Hai Hai
Reh Jaata Hai Jo Sawera Wo Dhoondhe
Jalta Makaan Mein Basera Wo Dhoondhe
Jaisi Bachi Hai Waisi Ki Waisi,
Bacha Lo Yeh Duniya
Apna Samajh Ke Apno Ki
Jaisi Utha Lo Yeh Duniya
Chitput Si Baaton Mein Jalne Lagegi,
Sambhalo Yeh Duniya
Katpit Ke Raaton Mein Palne Lagegi,
Sambhalo Yeh Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
Wo Kahen Hai Ki Duniya
Yeh Itni Nahi Hai Sitaaro Se
Aage Jahan Aur Bhi Hai
Yeh Hum Hi Nahi Hai
Wahan Aur Bhi Hai
Hamari Hare K Baat Hoti Wahin Hai
Hume Aitraaz Nahi Hai Kahin Bhi
Wo Aayi Zamil Pe Sahi Hai
Magar Falsafa Yeh Bigad Jaata Hai Jo
Wo Kehte Hai Aalim
Yeh Kehta Wahan Ishwar Hai
Faazil Yeh Kehta Wahan Allah Hai
Kabur Yeh Kehta Wahan Issa Hai
Manzil Yeh Kehti Tab Insaan Se Ki
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya
Yeh Ujde Hue Chand Baasi Charago
Tumhare Yeh Kale Iraado Ki Duniya
O Ri Duniya O Ri Duniya
O Ri Duniya.
Aisi Sazaa Deti Hawaa,
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Aisi Sazaa Deti Hawaa,
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Neenden Bhi Ab Sone Gayi
Raaton Ko Bhi Parvaah Nahi
Aise Mein Baarish Ki Boondon Se Apni
Saanson Ko Sehla Bhi Do
Badhti Hawaon Ke Jhokho Se Dil Ko
Nagma Koi Laa Bhi Do
Palko Ki Kono Pe Baaithi Nami Ko
Dheeme Se Pighla Bhi Do
Aaaaaaa.Yeh Zindagi Aisi Hi Thi
Tumne Kabhi Jaana Nahi
Jeevan Ki Rahon Mein Aana Ya Jaana
Bata Ke Nahi Hota Hai
Jaate Kahin Hai Magar Jaante Naa
Ki Aana Wahin Hota Hai
Khone Ki Zid Mein Yeh Kyu Bhoolte Ho
Ki Paana Bhi Hota Hai
Wo Pal Abhi Waisa Hi Hai
Chhoda Tha Jo Jaisa Wahi
Aisi Sazaa Deti Hawaa
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Neenden Bhi Ab Sone Gayi
Raaton Ko Bhi Parvaah Nahi..
Aye Ek Waqt Ki Baat
Bataye Ek Waqt Ki
Jab Sheher Hamara So Gayo
Tho Wo Raaj Gajab Ki
Aye Ek Waqt Ki
Baat Bataye Ek Waqt Ki
Jab Sheher Hamara So Gayo
Tho Wo Raaj Gajab Ki
Hey Chahu Aur Sab
Ore Disha Se Laali Chaayi Re
Jugni Naache Chunar
Odhe Khoon Nahayi Re
Hey Chahu Aur Sab
Ore Disha Se Laali Chaayi Re
Jugni Naache Chunar
Odhe Khoon Nahayi Re
Sab Oro Gulaal Put Gayo Sab Oro Mein
Heyyy Sab Oro Gulaal Put Gayo Vipda Chaayi Re
Jis Raat Gagan Se Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Gagan Se Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein Khoon Ki Baarish Aayi Re
Sarabor Ho Gayo Sheher Aur
Sarabor Ho Gayi Dhara
Sarabor Ho Gayo Re Jattha
Insaano Ka Bada Bada
Sabhi Jagat Yeh Pooche
Tha Jab Itna Sab Kuch Ho Riyo Tho
To Sheher Hamara Kahe
Bhaisaab Aankh Mood Ke So Riyo Tho
To Sheher Yeh Boliyo
Neend Gajab Ki Aisi Aayi Re
Jis Raat Gagan Se
Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein
Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein
Khoon Ki Baarish Aayi Re
Sanataa Viraana Khamoshi Anjaani
Zindagi Leti Hai Karwate Toofani
Ghirte Hai Saaye Ghanehre Se
Rookhe Baalon Ko Bikhere Se
Badhte Hai Andhere Pishaacho Se
Kaanpe Hai Jee Unke Naacho Se
Kahin Pe Wo Jooto Ki Khat Khat Hai
Kahin Pe Alawo Ki Chat Pat Hai
Kahin Pe Hai Jhingur Ki Aawazen
Kahin Pe Wo Nalke Ki Tap Tap Hai
Kahin Pe Wo Kaali Si Khidki Hai
Kahin Wo Andheri Si Chimni Hai
Kahin Hilte Pedon Ka Jattha Hai
Kahin Kuch Mundero Pe Rakkha Hai
Re Re Re Re Re Re Re
Hoo Hoo Hoo Hoo
Sunsaan Galli Ke Nukaad Pe Jo Koi Kutta
Cheekh Cheekh Kar Rota Hai
Jab Lamp Post Ki Gandli Pilli Ghup Roshni
Mein Kuch Kuch Sa Hota Hai
Jab Koi Saaya Khud Ko
Thoda Bacha Bacha Kar
Gum Saayo Mein Khota Hai
Jab Pool Ke Khambho
Ko Gaadi Ka Garm Ujaala
Dheeme Dheeme Dhota Hai
Tab Sheher Hamara Sota Hai
Tab Sheher Hamara Sota Hai
Tab Sheher Hamara Sota Hai
Hooo Hooo
Jab Sheher Hamara Sota Hai
To Maloom Tumko Haan Kya Kya Hota Hai
Idhar Jaagti Hai Laashen Zinda Ho Murda
Udhar Zindagi Khota Hai
Idhar Cheekhti Hai Dahua
Khairaati Uss Aspataal Mein Bifri Si
Aaankh Mein Uske Agle Hi Pal
Garam Maas Ka Naram Lothda Hota Hai
Idhar Uthi Har Takraaren
Jismo Ke Jhatpat Len Den Mein Uchi Si
Udhar Ghaav Se Riste Phoonko
Door Guzarti Aakhen Dekhe Rookhi Si
Lekin Usko Leke Rang Birange
Mailon Mein Gun Jaayi Shoti Hai
Nashe Mein Doobe Sehan Se
Khoonkhaar Chutkulo Ki Paidaaish Hoti Hai
Adh Nange Jismo Ki Dekho
Lipi Putti Se Lagi Numaaish Hoti Hai
Laar Tapakte Chehro Ko Kuch
Shitaani Karne Ki Khwahish Hoti Hai
Wo Pooche Hai Hairaan Hokar
Aisa Sab Kuch Hota Hai Kab
Wo Batalo To Unko
Aisa Tab Tab Tab Tab Hota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Hooo Hoo Hoo
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Raat Ke Musafir
Lyricsbogie.Com
Chal To Tu Pada Hai,
Faasla Bada Hai
Jaan Le Andhere Ke
Sar Pe Khoon Chadha Hai
Chal To Tu Pada Hai,
Faasla Bada Hai
Jaan Le Andhere Ke
Sar Pe Khoon Chadha Hai
Mukaam Khoj Le Tu,
Makaan Khoj Le Tu
Insaan Ke Sheher Mein
Insaan Khoj Le Tu
Dekh Teri Thokar Se
Raah Ka Wo Pathar
Maathe Pe Tere Kas Ke
Lag Jaaye Naa Uchal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Maana Ki Jo Hua Hai
Wo Tune Bhi Kiya Hai
Inho Ne Bhi Kiya Hai
Unhone Bhi Kiya Hai
Maana Ki Tune Haan Haan
Chaha Nahi Tha Lekin
Tu Jaanta Nahi Ki
Yeh Kaise Ho Gaya Hai
Lekin Tu Phir Bhi Sunn Le
Nahi Sunega Koi
Tujhe Yeh Saari Duniya
Khaa Jaayegi Nigal Ke
Tujhe Yeh Saari Duniya
Khaa Jaayegi Nigal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Raat Ke Musafir
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho Aag
Naa Sambhal Ke, Raat Ke Musafir.