Aisi Sazaa Deti Hawaa,
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Aisi Sazaa Deti Hawaa,
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Neenden Bhi Ab Sone Gayi
Raaton Ko Bhi Parvaah Nahi
Aise Mein Baarish Ki Boondon Se Apni
Saanson Ko Sehla Bhi Do
Badhti Hawaon Ke Jhokho Se Dil Ko
Nagma Koi Laa Bhi Do
Palko Ki Kono Pe Baaithi Nami Ko
Dheeme Se Pighla Bhi Do
Aaaaaaa.Yeh Zindagi Aisi Hi Thi
Tumne Kabhi Jaana Nahi
Jeevan Ki Rahon Mein Aana Ya Jaana
Bata Ke Nahi Hota Hai
Jaate Kahin Hai Magar Jaante Naa
Ki Aana Wahin Hota Hai
Khone Ki Zid Mein Yeh Kyu Bhoolte Ho
Ki Paana Bhi Hota Hai
Wo Pal Abhi Waisa Hi Hai
Chhoda Tha Jo Jaisa Wahi
Aisi Sazaa Deti Hawaa
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Neenden Bhi Ab Sone Gayi
Raaton Ko Bhi Parvaah Nahi..