Sahi Galat
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=P-LjBzcd6jU
Video:
Tu Jahan Se Dekhta Hai
Main Galat Hoon Tu Sahi
Dekh Meri Nazron Se
Galat Mein Kuchh Galat Nahi
Karna Hai Jo Karke Hi
Rahunga Maine Tai Kiya
Galat Ko Bhi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya
Lagta Hai Tujhe Ke
Jurm Ka Hoon Zimmedar Main
Jab Saboot Hi Nahi Toh
Kaise Gunehgaar Main
Poore Hosh Aur Hawaas Mein
Kiya Jo Hai Kiya
Galat Ko Hi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya
Teer Ki Tarah Chala Ke
Apne Har Upay Ko
Mere Har Kadam Ke Aade
Aane Wale Nyay Ko
Saam Daam Dand Bhed Se Bhi
Maine Tai Kiya
Galat Ko Bhi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya
Samajhna Khud Ko Mujhse Tez
Teri Bhool Hai
Siyaar Jaisi Hoshiyari
Yeh Fizool Hai
Tera Khayal
Thekedar Hai Tu Waqt Ka
Badal Ke Rehta Hai
Yeh Waqt Ka Asool Hai
Harkaton Par Kab Talak
Meri Nazar Rakhega Tu
Karte Karte Pehredaari
Ek Din Thakega Tu
Main Magar Nahi Thakunga
Faisla Yeh Hai Kiya
Galat Ko Bhi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya.
Drishyam - Title Track
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=9b8sWnem06Q
Video:
Sach Lagta Hai Jhuth Jaisa
Hai Yeh Teri Aankhon Ka Karam
Drishyam
Jo Yeh Dekhti Hai Sach Hai Woh
Ya Hai Sach Hone Ka Bharam
Drishyam
Jitni Bhi Sunvaaiyan
Jhuth Ki Ho Sau Duhaiyan
Deke Rehta Hai Sach Ki Gawahiyan
Drishyam Drishyam
Shabdon Pe Nahi
Drishyon Pe Dhayan Do
Kyun-Ki Shabdon Mein Jhuth
Chhupne Ki Jagah Dhoondh Hi Leta Hai
Lekin Drishy
Drishy Kabhi Jhuth Nahi Bolte
Isliye Sawaal Yeh Nahi Hai Ke
Aapke Aankhon Ke Saamne Kya Hai
Sawaal Yeh Hai Ke Aap Dekh Kya Rahe Ho
Jhuth Mein Toh Kayi Raaz Chhupte Hain
Khaa Ke Jhuthi Si Kasam
Drishyam Drishyam
Raaz Reh Ke Bhi Reh Nahi Pata Hai
Yeh Sach Ka Dharam
Drishyam Drishyam
Jhuthi Ladke Ladaiyan
Jhuth Deta Hai Safaiyan
Laake Rehta Hai Jhuth Ki Tabahiyan
Drishyam Drishyam.
Saath Hum Rahein
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=4fwEGLlffg4&list=OLAK5uy_ltNHPNzPrM0wGPjtqz1xsQj15nR9qxBlk
Video:
Jale Jab Sooraj
Tab Sath Hum Rahein
Dhale Jab Chanda
Tab Sath Hum Rahein
Hassi Jab Chhalke
Tab Sath Hum Rahein
Ho Bheegi Palkein
Tab Sath Hum Rahein
Khud Ki Parchhaiyan
Chahe Munh Mod Lein
Vaasta Tod Lein
Tab Bhi Sath Hum Rahein
Hai Humein Kya Kami
Hum Bichha Kar Zameen
Aasmaan Odh Lein
Yoon Hi Sath Hum Rahein
Jale Jab Sooraj
Tab Sath Hum Rahein
Dhale Jab Chanda
Tab Sath Hum Rahein
Hassi Jab Chhalke
Tab Sath Hum Rahein
Ho Bheegi Palkein
Tab Sath Hum Rahein
Khushrang Jis Tarah
Hai Zindagi Abhi
Iska Mizaz Aisa Hi
Umr Bhar Rahe Umr Bhar Rahe
Bhoole Se Bhi Nazar
Lag Jaaye Na Kabhi
Maasoom Khoobsurat
Is Kadar Rahe Is Kadar Rahe
Jo Badal Chhayein
Tab Saath Hum Rahein
Baharein Aayein
Tab Saath Hum Rahein
Jale Jab Sooraj
Tab Sath Hum Rahein
Dhale Jab Chanda
Tab Sath Hum Rahein.