Audio: https://music.youtube.com/watch?v=P-LjBzcd6jU
Video:
Tu Jahan Se Dekhta Hai
Main Galat Hoon Tu Sahi
Dekh Meri Nazron Se
Galat Mein Kuchh Galat Nahi
Karna Hai Jo Karke Hi
Rahunga Maine Tai Kiya
Galat Ko Bhi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya
Lagta Hai Tujhe Ke
Jurm Ka Hoon Zimmedar Main
Jab Saboot Hi Nahi Toh
Kaise Gunehgaar Main
Poore Hosh Aur Hawaas Mein
Kiya Jo Hai Kiya
Galat Ko Hi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya
Teer Ki Tarah Chala Ke
Apne Har Upay Ko
Mere Har Kadam Ke Aade
Aane Wale Nyay Ko
Saam Daam Dand Bhed Se Bhi
Maine Tai Kiya
Galat Ko Bhi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya
Samajhna Khud Ko Mujhse Tez
Teri Bhool Hai
Siyaar Jaisi Hoshiyari
Yeh Fizool Hai
Tera Khayal
Thekedar Hai Tu Waqt Ka
Badal Ke Rehta Hai
Yeh Waqt Ka Asool Hai
Harkaton Par Kab Talak
Meri Nazar Rakhega Tu
Karte Karte Pehredaari
Ek Din Thakega Tu
Main Magar Nahi Thakunga
Faisla Yeh Hai Kiya
Galat Ko Bhi Sahi Tarah Se
Karne Ka Nishchay Kiya.