People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 9 *

Mehki Huyi See Adayein
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Breathless-Album-B
Video:
koyi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri sari duniya me geeto ki rut
aur rango ki barkha hai, khushbu ki aandhi hai
mahki huyi si ab sari fijaye hain
bahki huyi si ab sari hawaye hain
khoyi huyi si ab sari dishaye hain
badli huyi si ab sari adaye hain
jaagi umange hain, dhadak raha hai dil
saanso me tufan hain, hontho pe nagme hain
aankho me sapne hain, sapno me beete huye
sare wo lamhe hain

jab koyi aaya tha, najro pe chhaya tha
dil me samaya tha, kaise mai batau tumhe
kaisa use paya tha, pyar se chehre pe bikhri jo julfe
to aisa lagta tha, jaise kohre ke pichhe
ek os me dhula huwa, phul khila hai jaise
badal me ek chand chhupa hai
aur jhank raha hai, jaise raat ke parde me
ek savera hai, roshan roshan aankho me
sapno ka sagar, jisme prem sitaro ki chadar
jaise jhalak rahi hai

lahro lahro baat kare, to jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal gunje
jaise kahin shishe ke jaam gire
aur chhann se tute, jaise koyi chhip ke sitar bajaye
jaise koyi chandni raat me gaaye
jaise koyi haule se paas bulaye
kaisi mithi baate thi, wo kaisi mulakate thi
wo jab maine jana tha
najro se kaise pighalte hain dil
aur aarju pati hai kaise manjil
aur kaise utarta hai chand jami par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
to bas hai yahi par

usne bataya mujhe, aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain, hume aise hi milna tha
gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishte hain
jab bhi hum janme, to hum yunhi milte hain
kaano me mere jaise, shahd se ghulne lage
khwabo ke dar jaise, aankho me khulne lage
khwabo ki duniya bhi kitni hasi aur
kaisi rangin thi, khwabo ki duniya
jo kahne ko thi, par kahin bhi nahi thi
khwab jo tute mere, aankh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha, maine jana
wo jo kabhi aaya tha, najro pe chhaya tha
dil me samaya tha, ja bhi chuka hai
aur dil mera hai ab, tanha tanha
na to koyi armaa hai, na koyi tamanna hai
aur na koyi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri raate hain
unme sirf aansu hain
unme sirf dard ki, ranj ki baate hain
aur fariyade hain
mera ab koyi nahi
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
Breatheless - Reprise
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Breathless/FQZbUxN
ab jo mere din hai ab jo mere raat hai
unn me srif annsu hai un me sirf dard hai
ranj ki baate hai aur fariyade hai
mera ab koi nahi me hu ab khoye huye
pyar ki yaade hai dub gaya dil gam ke andhere me
mere sari duniya hai dard ke ghere me
mere sare git dhale aaho me
banke diwana ab yaha waha firta hu
thokar khata hu un raho me
jaha usse dekha tha jaha usse chaha tha
jaha me sada aur baad me roya tha
jaha use paya tha pake khoya tha
jaha kabhi phulo ke kaliyo ke saye the
rangi rangi mehki rut ne rang ki kaliyo pe raas sachaye the
gulshan gulshan din me ujale the
jagmag jagmag nur tha rato me
jhilmil jhilmil jane na khwabo ki dekhi thi manjil
jaha mera kal ki paya tha saya
jaha maine payi thi palko ki chhaw
jaha mere baaho me kal thi kisi ki narm ye bahe
jaha kal ek chehare se hatati nahi thi meri nigahe
jaha kal narmi hi narmi thi
pyar hi pyar tha hatho me hath the
rato me jag jaha gaye the prem tarane
jaha kal dekhe the sapne suhane
kisi ko sunaye the dil ke fasane
jaha kal khai thi jine ki marne ki kasme
todi thi duniya ki sari rashme
jaha kal barsa tha prit ka badal
jaha maine thama tha koi aanchal
jaha pahali bar hua tha main pagal
ab un raho me koi nahi hai
ab hai wo rahe viran viran
dil bhi hai jaise hairan hairan
jane kaha gaya mere sapno ka mela
aise hi khyalo me khoya khoya
ghum raha tha main kab se akela
chamka sitara jaise koi gagan me
gunji jagah koi mere aangan me
kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha
mujhe mil gya khoya hua sahara
jise maine chaha tha jise maine puja tha
laut ke aaya hai thoda sharminda hai thoda ghabaraya hai
julfe paresan hai kapate honth aur bhigi hui aankhe hai
dekh raha hai mujhe gumsum gumsum
uski najar se puchh rahi hai
itna bata do kahi khafa to nahi tum
pyar jo dekha fir meri nigaho me
ab nahi padata wo meri in baho me
bhul gaya jaise mera dil har gam
badal gaya jaise duniya ka mausam
jhume najare aur jhumi fijae
aur jhume chaman aur jhumi hawaye
jaise fir gane lagi sari dishaye
kitani hasin hai kitani suhani
hum dono ki prem kahani
hum dono ki prem kahani
hum dono ki prem kahani
Tu Paas Hai
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Tu-Pass-Hai/NB4yVj
Video:
jo raah mein kahin, teri meri nigah mil gayi
to bas wahin pe zindagi, gulab banke khil gayi
jo raah mein kahin, teri meri nigah mil gayi
to bas wahin pe zindagi, gulab banke khil gayi
har pal yahin ehsaas hai
tu paas hai, tu pass hai
jo raah mein kahin teri meri nigah mil gayi
to bas wahin pe zindagi, gulab banke khil gayi
har pal yahin ehsaas hai
tu paas hai, tu pass hai

ae meri humsafar kya batau tujhe
tujhko paya hai to kya mila hai mujhe
ae meri humsafar kya batau tujhe
tujhko paya hai to kya mila hai mujhe
teri ada jo leke mere
hosh-o-jaan-o-dil le gayi
to bas wahin pe zindagi, gulab banke khil gayi
har pal yahin ehsaas hai
tu paas hai, tu pass hai

ho baat itni si hai aur kuch bhi nahin
tere hi dam se hai meri duniya hasin
ho baat itni si hai aur kuch bhi nahin
tere hi dam se hai meri duniya hasin
mere chaman ko tere roop me bahar mil gayi
to bas wahin pe zindagi, gulab banke khil gayi
jo raah mein kahin, teri meri nigah mil gayi
to bas wahin pe zindagi, gulab banke khil gayi
har pal yahin ehsaas hai
tu paas hai, tu pass hai
har pal yahin ehsaas hai
tu paas hai, tu pass hai
har pal yahin ehsasa hai
tu paas hai, tu pass hai
Koi Nahi Hai
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Koi-Nahin-Hai/SRAl
Video:
koi nahin hai mera yahan tere bina
viraan sa hai saara sama tere bina
sune nagar hai, suni dagar hai
sune hai manjar, suni najar hai
bin tere, tere bina, bin tere, tere bina
koi nahin hai mera yahan tere bina
viraan sa hai saara sama tere bina
sune nagar hai, suni dagar hai
sune hai manjar, suni najar hai
bin tere, tere bina, bin tere, tere bina

mein hoon aur kaali raat hai
ho bas ek gam hai jo saath hai
mein hoon aur kaali raat hai
bas ek gam hai jo saath hai
ho o o o o
ek gehra dukh tere karan
ek gehra dukh tere karan
mere man par aise chhata hai
ho o o o o
maidan pe jaise ek baadal
saaya apna phailata hai

woh din bhi kya the
jab leke tu aayi thi har khushi
dil puchhata hai
kya aisa hoga dubaara kabhi
maine dil se kaha is khwaab ko bhul jaa
bhul jaa bhul jaa
koi nahin hai mera yahan tere bina
viraan sa hai saara sama tere bina
sune nagar, suni dagar
sune hai manjar, suni najar hai
bin tere, tere bina, bin tere, tere bina

mein hoon aur kaali raat hai
ho bas ek gam hai jo saath hai
mein hoon aur kaali raat hai
ho bas ek gam hai jo saath hai
woh din bhi kya the
jab leke tu aayi thi har khushi
dil puchhata hai
kya aisa hoga dubaara kabhi
maine dil se kaha is khwaab ko bhul jaa
bhul jaa
mein hoon aur kaali raat hai
bas ek gam hai jo saath hai
mein hoon aur kaali raat hai
Teri Khayalon Se
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Tere-Khayalon-Se-B
Video:
diwana hai diwana hai tera dil diwana hai
diwana hai diwana hai tera dil diwana hai
tere khyalo se mahki si meri tanhai hai
mujhe har aahat pe lage shayad milne tu aayi hai
tere khyalo se mahki si meri tanhai hai
mujhe har aahat pe lage shayad milne tu aayi hai

hai ye lahrati thandi hawa ya aachal udta hai ye tera
khusbu teri harsu chayi hai ye lahrati thandi hawa
ya aachal udta hai ye tera khusbu teri harsu chayi hai
tere khyalo se mahki si meri tanhai hai
mujhe har aahat pe lage shayad milne tu aayi hai

tu hi meri sanso me hai ghuli tu hi meri aankho me hai basi
mahru mahzabi ho sach to ye hai ke dekhu kahi
lagta hai mujhko tu hai wahi rang jitne hai tu hi layi hai
sach to ye hai ke dekhu kahi lagta hai mujhko tu hai kahi
rang jitne hai tu hi layi hai tere khyalo se
mahki si meri tanhai hai tere khyalo se
diwana hai diwana hai tera dil diwana hai
hai diwana mahki si meri tanhai hai
diwana hai diwana hai tera dil diwana hai
Koi JO Mila Toh-1
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Koi-Nahin-Hai/SRAl
Video:
koyi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri sari duniya me geeto ki rut
aur rango ki barkha hai, khushbu ki aandhi hai
mahki huyi si ab sari fijaye hain
bahki huyi si ab sari hawaye hain
khoyi huyi si ab sari dishaye hain
badli huyi si ab sari adaye hain
jaagi umange hain, dhadak raha hai dil
saanso me tufan hain, hontho pe nagme hain
aankho me sapne hain, sapno me beete huye
sare wo lamhe hain

jab koyi aaya tha, najro pe chhaya tha
dil me samaya tha, kaise mai batau tumhe
kaisa use paya tha, pyar se chehre pe bikhri jo julfe
to aisa lagta tha, jaise kohre ke pichhe
ek os me dhula huwa, phul khila hai jaise
badal me ek chand chhupa hai
aur jhank raha hai, jaise raat ke parde me
ek savera hai, roshan roshan aankho me
sapno ka sagar, jisme prem sitaro ki chadar
jaise jhalak rahi hai

lahro lahro baat kare, to jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal gunje
jaise kahin shishe ke jaam gire
aur chhann se tute, jaise koyi chhip ke sitar bajaye
jaise koyi chandni raat me gaaye
jaise koyi haule se paas bulaye
kaisi mithi baate thi, wo kaisi mulakate thi
wo jab maine jana tha
najro se kaise pighalte hain dil
aur aarju pati hai kaise manjil
aur kaise utarta hai chand jami par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
to bas hai yahi par

usne bataya mujhe, aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain, hume aise hi milna tha
gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishte hain
jab bhi hum janme, to hum yunhi milte hain
kaano me mere jaise, shahd se ghulne lage
khwabo ke dar jaise, aankho me khulne lage
khwabo ki duniya bhi kitni hasi aur
kaisi rangin thi, khwabo ki duniya
jo kahne ko thi, par kahin bhi nahi thi
khwab jo tute mere, aankh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha, maine jana
wo jo kabhi aaya tha, najro pe chhaya tha
dil me samaya tha, ja bhi chuka hai
aur dil mera hai ab, tanha tanha
na to koyi armaa hai, na koyi tamanna hai
aur na koyi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri raate hain
unme sirf aansu hain
unme sirf dard ki, ranj ki baate hain
aur fariyade hain
mera ab koyi nahi
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
Jane Kya Hua
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Jane-Kya-Hua/KDpGX
Video:
ho o o
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na

mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
dilo mein aur nigahon mein
hamari saari raahon mein
mohabbat aur khushi ke
pyaare pyaare phool khilte the
mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na

mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
dilon mein aur nigahon mein
hamari saari raahon mein
mohabbat aur khushi ke
pyaare pyaare phool khilte the
mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na
tan na na na tan na na na

jaise milte hai nadiya ke do dhare
aise milte the hum
dil mein jaise khushi ke the phuvare
door tak tha na gam
tan na na na tan na na na
jaise milte hai nadiya ke do dhare
aise milte the hum
dil mein jaise khushi ke the phuvare
door tak tha na gam
kabhi hum baat karte the
kabhi hum gungunate the
kabhi hum muskurate the
kabhi hum kho se jate the
mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua

dhal gayi woh sari khushiya aanhon mein
ab hai tanhaayi yaha
mein bhatkta hoon duniya ki raahon mein
tum ho jaane kahan

o dhal gayi woh sari khushiya aanhon mein
ab hai tanhaayi yaha
mein bhatkta hoon duniya ki raahon mein
tum ho jaane kahan
magar phir bhi na jaane kyun
kabhi duniya ke mele mein
kabhi gairo ki mehfil mein
kabhi bilkul akele mein
mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua

mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
dilon mein aur nigahon mein
hamari saari raahon mein
mohabbat aur khushi ke
pyaar ke phool khilte the
mujhe yaad aate hai wo din
ke jab hum roj milte the
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
jaane kya hua phir jaane kya hua
Ghul Raha Hai Sara
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Ghul-Raha-Hai-Sara
Video:
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
chandani ki chadar odhe
har pahadi so gayi
ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
chandani ki chadar odhe
har pahadi so gayi
ghul raha hai sara manzar
sara manzar, sara manzar

waadiyon mein ped hai ab
apni hi parchhayi
waadiyon mein ped hai ab
apni hi parchhayi
uth raha hai kohra jaise
chandani ka woh dhuan
chand pighla to chattane
bhi mulayam ho gayi
raat ki saanse jo mehki
aur madhdham ho gayi
ghul raha hai sara manzar
sara manzar, sara manzar

naram hai jitni hawa
utni fiza khamosh hai
naram hai jitni hawa
utni fiza khamosh hai
tahniyo par oas pee ke
har kali behosh hai
hod par karvat liye
ab unghte hai raaste
door koi gaa raha hai
jaane kiski vaste

ghul raha hai sara manzar
shaam dhundhli ho gayi
chandani ki chadar odhe
har pahadi so gayi
ghul raha hai sara manzar
sara manzar, sara manzar
Koi JO Mila Toh
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Breathless---Shankar-Mahadevan-Javed-Akhta/Koi-Nahin-Hai/SRAl
Video:
koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri sari duniya me
geeto ki rut aur rango ki barkha hai
khusbu ki aandhi hai
mahki hui si ab sari fizaye hai
bahki hui si ab sari hawaye hai
khoi hui si ab sari dishaye hai
badli hui si ab sari adaye hai
jagi umange hai, dhadak raha hai dil
sanso me tufa hai, hotho pe nagme hai
aankho me sapne hai
sapno me beete huye, sare wo lamhe hai
jab koi aaya tha, nazro pe chhaya tha
dil me samaya tha
kaise mai batau tumhe
kaisa use paya tha
pyare se chehre pe bikhri jo julfe
to aisa lagta tha jaise
bhawre ke piche ek
os me dhula hua, phul khila hai
jaise badal me ek chand chupa hai
aur jhak raha hai, jaise raat ke parde me
ek savera hai roshan roshan
aankho me sapno ka sagar
jisme prem sitaro ki chadar
jaise jhalak rahi hai
lahro lahro baat kare wo
jaise moti barse
jaise kahi chandi ki payal gunje
jaise kahi shishe ke jaam gire aur
chhan se tute
jaise koi chhip ke sitaar bajaye
jaise koi chandani raat me gaaye
jaise koi haule se paas bulaye
kaisi mithi bate thi wo
kaisi mulakate thi wo
jab maine jana tha
najro se kaise pighalte hai dil
aur aarzu pati hai kaise manzil
aur kaise utarta hai chand jami par
kaise kabhi lagta hai, swarg agar hai to
bas hai yahi par

usne bataya mujhe aur samjhaya mujhe
hum jo mile hai, hume aise hi milna tha
gul jo khile hai, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishte hai
jab bhi hum janme, to hum yu hi milte hai
kano me mere jaise shahad se ghulne lage
khwabo ke par jaise aankho me ghulne lage
khwabo ki duniya bhi kitni hasi
aur kaisi rangin thi
khwabo ki duniya jo kahne ko thi
par kahi bhi nahi thi
khwab jo tute mere
aankh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha maine jana
wo jo kabhi aaya tha
najro pe chaya tha
dil me samaya tha
ja bhi chuka hai aur
dil mera hai ab tanha tanha
na to koi arman hai
na koi tamanna hai
aur na koi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri raate hai
unme sirf aansu hai, unme sirf dard ki
ranj ki baate hai, aur fariyade hai
mera ab koi nahi
mai hu aur khoye huye, pyar ki yaade hai
mai hu aur khoye huye, pyar ki yaade hai
mai hu aur khoye huye, pyar ki yaade hai