Bhaiya Mera Laya
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Bhaiya-Mera-La
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
chala aaya koi, naihar ki galiya chhod ke
chala aaya koi, naihar ki galiya chhod ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
bhaiya mera laya
chham se baje ghunghru, guje shahnai
sapno ki duniya mahke, mahke angnai
chham se baje ghunghru, guje shahnai
sapno ki duniya mahke, mahke angnai
aai meri bhabhi, phulo ki chunri odh ke
phulo ki chunari odh ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
bhaiya mera laya
jiske chaman chahe, uski bahare
subah nikhre usko shame sanware
jiske chaman chahe, uski bahare
subah nikhre usko shame sanware
khila rup dekho, balma se nana jod ke
balma se nana jod ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
bhaiya mera laya
kaise lagi dil ki koi chhupaye
aankhe milaye kabhi ankhe churaye
kaise lagi dil ki koi chhupaye
aankhe milaye kabhi ankhe churaye
chori chori gori, musukaye mukhda mod ke
musukaye mukhda mod ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
chala aaya koi, naihar ki galiya chhod ke
chala aaya koi, naihar ki galiya chhod ke
bhaiya mera laya, o laya tara tod ke
bhaiya mera laya
Rona Tera Ghadi Ghadi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Rona-Tera-Ghad
rona tera ghadi ghadi mujhe rula na de
so ja mere noore najar bahut saja na de
rona tera ghadi ghadi mujhe rula na de
so ja mere noore najar bahut saja na de
maa banke lori sunau tujhe
baho me jhula jhulau tujhe
is yug me jo bhi na karna pade
samjha de kaise manau tujhe
mai bhi tanha tu bhi tanha
gam ko hawa na de
rona tera ghadi ghadi mujhe rula na de
so ja mere noore najar bahut saja na de
duniya ke dil ki tamanna bane
mujhsa nahi mujhse acha bane
mai ban gaya hu tamasha magar
tu kyu jaha me tamasha bane
dhund rakha aap apna hamko sada na de
rona tera ghadi ghadi mujhe rula na de
so ja mere noore najar bahut saja na de
Mere Ghungru Hai Jaaduwale
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Mere-Ghunghru-
mere ghungharu hain jaduwale hay
mere ghungharu hain jaduwale
tu aage mere aana na
are re re tu aage mere aana na
dekho dekho tu aage mere aana na ho ji
maine naino me jadu pale hay
maine naino me jadu pale
tu aage mere aana na
are re re tu aage mere aana na
dekho dekho tu aage mere aana na ho ji
o leke uthi jab angdai
banke dhnak main lahrai
leke uthi jab angdai
banke dhnak main lahrai
gora gora ye tan gora gora
sakhi kahi jal jal jaana na
mere ghungharu hain jaduwale hay
mere ghungharu hain jaduwale
tu aage mere aana na
are re re tu aage mere aana na
dekho dekho tu aage mere aana na ho ji
ho aate huye main shamai, chah kisi ki le aai
aate huye main shamai, chah kisi ki le aai
maine roka bahut maine toka
kaha mere dil ne mana na
mere ghungharu hain jaduwale hay
mere ghungharu hain jaduwale
tu aage mere aana na
are ja ja tu aage mere aana na
na na tu aage mere aana na ho ji
ho sun main chhuri hu, katari hu
sar ko jhuka ke main, nari hu
sun main chhuri hu, katari hu
sar ko jhuka ke main, nari hu
dhire dhire o chal dhire dhire
machal ke thokar khana na
mere ghungharu hain jaduwale hay
mere ghungharu hain jaduwale
tu aage mere aana na
are re re tu aage mere aana na
dekho dekho tu aage mere aana na ho ji
Jhalak Dikha De Sanam
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Jhalak-Dikha-D
jhalak dikha de sanam
dil tera diwana hai
jhalak dikha de sanam
dil tera diwana hai
jhalak dikha de sanam
dil tera diwana hai
fizul sharam na kar
ye naya zamana hai
fizul sharam na kar
ye naya zamana hai
jhalak dikha de sanam
wo din hawa hue
jab husn kaid tha ghar me
wo din hawa hue
jab husn kadi tha ghar me
gali me dar hai to
chal ke milenge theatar me
jhijhak jhijhak ke na chal
hamko dur jana hai
jhalak dikha de sanam
dil tera diwana hai
jhalak dikha de sanam
tu bhi jawa hai mai bhi jawa hu
usse mili aazadi
pyar kiya ikrar kiya
ab karne chale hai shadi
ho dekh hasin,a dekh hasina
hamko hai jina ek hi iska karina
apne chaman ki apne watan ki
badhne na de aabadi
badhne na de aabadi
yahi samay ka tarana tarana
tarana hai
jhalak dikha de sanam
dil tera diwana hai
jhalak dikha de sanam
kitna pyara sama aur khali hai makaan
kaise aau waha ki chhaya hai dhua
Ankhe Mila Gori Gori
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Bum-Pam-Bum-Pa
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
aankhe mila gori gori bahao me aa
apno se gussa bhi kya
aankhe mila gori gori bahao me aa
apno se gussa bhi kya
mere bhole dilbar, jata hain kaha
mere sapne lekar jata hain kaha
mere sapne lekar jata hain kaha
gale lag ja hansi hansi hain nazaara
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
meri jaa main bhi dil bhi tujhpe kurba
kah di hain chupke se ha
meri jaa main bhi dil bhi tujhpe kurba
kah di hain chupke se ha
mera kahana tune maana bhi nahi
mera koi arma jana bhi nahi
mera koi arma jana bhi nahi
tabhi to dil bujha bujha hain bechara
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
ruthe sana de de hamko apane sab gam
sun bhi ke tere hain ham
ruthe sana de de hamko apane sab gam
sun bhi ke tere hain ham
mere dil ki dhadkan tanha to nahi
koi tanha me hi rusva to nahi
koi tanha me hi rusva to nahi
ye julfe bhi jara jara hain awara
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
bumpam bumpam parara
bumpam bumpam parara ra ra
Ab Kya Hoga Bhagwan
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Ab-Kya-Hoga-Bh
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
sab apani garaj ke bande, koi farj na apana jane
sab apani garaj ke bande, koi farj na apana jane
sab lene ko hath badhaye
yaha dene koi na jane
bhuli hain ye duniya rishta, sachche pyar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
aulad ke aage mamata, sar fode haath pasare
aulad ke aage mamata, sar fode haatn pasare
ye kaisa jamana aaya, aulad hi thokr mare
khudgarji ne chhina, chain sukhi pariwar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
jo ghar ko banane wala
wahi ghar ko chhod ke jaye
jo ghar ko banane wala
wahi ghar ko chhod ke jaye
jo phul ka ho rakhwal
wahi phul ko chhune na paye
wo dhundhe saya aur kisi divar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
jo pyar lutane aaya, use chor banaye duniya
jo pyar lutane aaya, use chor banaye duniya
jo dag mitane aaya, use dag lagaye duniya
matlab hi na samjhe, koi yaha upkar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
mil saki na apne pi se
marte marte bhi suhagan
mil saki na apne pi se
marte marte bhi suhagan
kismat ne bhi ankhe fodi
bin maut mari hain abhagan
dil me liye arma, bete ke didaar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
jaa farz pe usne gawai, tha jiska ek sahara
ho jaa farz pe usne gawai, tha jiska ek sahara
tufaan me hain jivan nayiya
par aye nazar na kinara
majhdhar me daman chhuta khaivan har ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
tum to sabke ho rakhwale
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Tum-To-Ho-Sabke-Rakhw
tum to sabke ho rakhwale
bahut suna hai naam
tum to sabke ho rakhwale
bahut suna hai naam
mai sab jnau jab tum
meri bigdi bana do shyam
tum to sabke ho rakhwale
vinti sun lo mujhpe kar do bas itna upkar
vapas de do ijska tumne chhina hai adhikar
mere vachan ki laz bacha lo
mere vachan ki laz bacha lo
ab to tumhara kam
tum to sabke ho rakhwale
bahut suna hai naam
sabka jivan safal banati in charno ki dhul
banke suhagan rahi mai abhagan
mujhse hui kya bhul
jag ke sawami antaryami
jag ke sawami antaryami
tumko lakho parnam
tum to sabke ho rakhwale
bahut suna hai naam
mai jab jnau jab tum
meri bigdi bana do shyam
meri bigdi bana do shyam
tum to sabke ho rakhwale
sharab nahi hu
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Sharab-Nahin-Hoon-Mag
sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
haye re haye re sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
dilbar zara nazar to mila mehfil me aake mat sharma
mai janu tere dil me hai kya ji bhar ke le le maza jine ka jine ka
dilbar zara nazar to mila mehfil me aake mat sharma
mai janu tere dil me hai kya ji bhar ke le le maza jine ka jine ka
ho jo gam ke mare hote hai unka koi nahi hota
ho jo gam ke mare hote hai unka koi nahi hota
unhe apna banati hu haye re haye re
sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
aakhir tujhe hua kya hai ab to zara muskura
jo hua bhule ja chehara bhuja bhuja sa hai
aankho me dard chhalka hai aakhir tujhe hua kya hai
ab to zara muskura jo hua bhule ja
udas nazro ki pyas ho ya ho aag sine ki
udas nazro ki pyas ho ya ho aag sine ki
mai dono ko bhujati hu haye re haye re
sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
sharab nahi hu magar ek nasha hu
mai sare zamane ke gam ki dava hu
are fashion ki diwani
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Fashion-Ki-Diwani/Rjc
are fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
bolo bolo bolo bolo bolo na
are fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
kano tak bal kata ke paudar se gal saza ke
achhi khasi surat ka rakha ye hal bana ke
kano tak bal kata ke paudar se gal saza ke
achhi khasi surat ka rakha ye hal bana ke
hath hai sune matha naga aankhe surmedani
are fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
bolo bolo bolo bolo bolo na
are fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
tauba tauba ye beauty nakli hai bilkul jhuti
inse ki jinse shadi uski to kismat phuti
tauba tauba ye beauty nakli hai bilkul jhuti
inse ki jinse shadi uski to kismat phuti
dur se inko tata karna agar ho jaan bachani
fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
bolo bolo bolo bolo bolo na
fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
ek din is desh me nari samjhi jati thi devi
hoke ab bis baras ki ye kahlati hai baby
ek din is desh me nari samjhi jati thi devi
hoke ab bis baras ki ye kahlati hai baby
deti hai par nakal videshi ye kaisi hai rani
fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
bolo bolo bolo bolo bolo na
fashion ki diwani ye gudiye hai japani
are kaun kahega bolo inko ladki hindustani
koyi mane ya na mane
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Koi-Mane-Ya-Na-Mane/C
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
abb toh hamko ek hi sapna pura karna hai
janam janam ka sath tumhari mang me bharna hai
jis din se tumko jana, hamne kismat ko mana
tumhara hi hona tha, tumhare ho gaye
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
aise na dekho hans kar, hamko kuchh ho jata hai
tan par kabu rakhte hain toh mann kho jata hai
dil ko kar dil milta hai, ab hamse kya parda hai
jab aankho hi aankho me ishare ho gaye
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
ankho me dore galo pe lali, hontho pe phul khile
jitna bhi dekhu dil nahi bharta, tum hame khub mile
yeh kali kali julfe, yeh gori gori bahen
kitne sare jine ke sahare ho gaye
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
koyi mane ya na mane, jo kal tak the anjane
woh aaj hame jan se bhi pyare ho gaye
rekhaa o rekhaa
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Rekha-O-Rekha-Jabse-T
rekhaa o rekhaa jab se tumhe dekha
khana pina sona dushvaar ho gaya
main aadami tha kam ka bekar ho gaya
rekha o rekha
tumase dil kyaa lagaya hai tumako katil banaya hai
tumase dil kyaa lagaya hai tumako katil banaya hai
din raat jalaati ho divaana banaati ho
are meraa bhi ek din zarur aayega
rekha o rekha
kaafi mahaga ye pyaar hai shadi ka intazaar hai
maalik pe bharosaa hai maine to ye sochaa hai
are mehanat jo ki hai to phal bhi milega
rekhaa o rekha
jina to hai usi ka
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Jeena-To-Hai-Usi-Ka/C
aisi chiz sunaye ki mehfil de tali pe tali
varna apna nam nahi banne khan bhopali
munne miya badhayi bano khub honhaar
dono jahan ki nemate ho aap pe nisaar
ha bachapan ho kushgavar jawani sadabahar
allah kare ye din aaye hajar baar
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
are jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
ha jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
hai kaam admi ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
kisi ne kaha tu hai taro ka raja
kisi ne kaha aaja mere paas aaja
kisi ne dua di kisi ne badhayi
sabki ankho ka tu tara bane
teri hi roshani me chamke tera gharana
hai kaam admi ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
dil lagakar tu padhna, hamesha aage badhna
sach ka daman na chhute, chahe ye duniya ruthe
kam tu achha karna, sirf allah se darna
sabhi ko gale lagana, mohabbat me lut jana
mohabbat wo khajana hai kabhi jo kam nahi hota
hai jiske paas daulat use kuchh gam nahi hota
hai jiske paas daulat use kuchh gam nahi hota
mera tera karke jo marte, gore kaale me bhed karte
unko ye samajhana
sab log hain barabar, itna na bhul jaana
hai kaam admi ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
surat pe masha allah, wo baat hai abhi se
tadapenge dil hajaro, gujroge jis gali se
doli me jab bithakar, laoge phuljhadi ko
jinda rahe to ham bhi, dekhenge us ghadi ko
agar allah ne chaha, to ham us din bhi ayenge
badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge
agar allah ne chaha, to ham us din bhi ayenge
badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge
badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge
chand-suraj bhi ayenge niche
dulha-dulhan ke aage pichhe, phul barsaayenge
aayega jab khushi ka hansta huaa jamana
hai kaam adami ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana