Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamara-Adhikar/Ab-Kya-Hoga-Bh
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
sab apani garaj ke bande, koi farj na apana jane
sab apani garaj ke bande, koi farj na apana jane
sab lene ko hath badhaye
yaha dene koi na jane
bhuli hain ye duniya rishta, sachche pyar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
aulad ke aage mamata, sar fode haath pasare
aulad ke aage mamata, sar fode haatn pasare
ye kaisa jamana aaya, aulad hi thokr mare
khudgarji ne chhina, chain sukhi pariwar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
jo ghar ko banane wala
wahi ghar ko chhod ke jaye
jo ghar ko banane wala
wahi ghar ko chhod ke jaye
jo phul ka ho rakhwal
wahi phul ko chhune na paye
wo dhundhe saya aur kisi divar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
jo pyar lutane aaya, use chor banaye duniya
jo pyar lutane aaya, use chor banaye duniya
jo dag mitane aaya, use dag lagaye duniya
matlab hi na samjhe, koi yaha upkar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
mil saki na apne pi se
marte marte bhi suhagan
mil saki na apne pi se
marte marte bhi suhagan
kismat ne bhi ankhe fodi
bin maut mari hain abhagan
dil me liye arma, bete ke didaar ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka
jaa farz pe usne gawai, tha jiska ek sahara
ho jaa farz pe usne gawai, tha jiska ek sahara
tufaan me hain jivan nayiya
par aye nazar na kinara
majhdhar me daman chhuta khaivan har ka
ab kya hoga bhagwan, tere sansar ka
insan pujari ban gaya, adhikar ka