People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Nain Tumhara Daras
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: S.P.Kalla
Album: Aastik
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aastik/Nain-Tumhare-Daras-Ko-
nayan tumhare darash ko tarse chain na pau
kaise kahu dukh birha ke kaise kahu dukh birha ke
koi samjh na paye din bite aur mahine bite
biti ghadiya sari

hai tujhse pyar hai tujhse pyar sun le pukar
jagwale o rakhwale hai tujhpe bhar naiya ho par
majdhar se duniya wale hai tujhse pyar

naino ke do deep jalaye naino ke do deep jalaye
sanso ka ek tara teri lagan me tan man nache
teri lagan me tan man nache
nach utha ye jag sara o sara sara
hai tujhse pyar hai tujhse pyar sun le pukar
jagwale o rakhwale hai tujhpe bhar naiya ho par
majdhar se duniya wale hai tujhse pyar

koi hanse aur koi roye koi hanse aur koi roye
mange hath pasare khub kiye tumne bhi bhagwan
khub kiye tumne bhi bhagwan kismat ke batware
hai tujhse pyar hai tujhse pyar sun le pukar
jagwale o rakhwale hai tujhpe bhar naiya ho par
majdhar se duniya wale hai tujhse pyar

rang bhirange ghade khilone rang bhirange ghade khilone
alag alag takdire koi tarasta dane ko to
koi tarasta dane ko to kahi pe bikhere tune hire
o hire hire hie hai tujhse pyar
hai tujhse pyar sun le pukar
jagwale o rakhwale hai tujhpe bhar naiya ho par
majdhar se duniya wale hai tujhse pyar
Bhagavan Tera Insaan Dekhle
Singer: Mohammad Rafi
Music: Narayan
Lyricist: S.P.Kalla
Album: Aastik
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aastik/Bhagwan-Tera-Insaan-De
bhagwan tera insan dekh le hai kitna naadan
dekh le hai kitna nadan
are ise to jhuth sanch ki zara nahi pahchan
dekh le hai kitna nadan

murakh mat jhutha bharmana varna phir hoga pachhtana
kan kan mein vo basa hua hai kan kan mein vo basa hua hai
paye na pahachan re bhagwan tera insan dekh le
hai kitna nadan, dekh le hai kitna nadan

meera ne jab hari gun gaaye zehar piye amrit ho jaye
kaal bhi haar bana fulo ka kaal bhi haar bana fulo ka
meera bani mahaan re bhagwan tera insan dekh le
hai kitna nadan, dekh le hai kitna nadan

tu patthar mein pran jaga de dharti aur aakash hila de
ankhein hote andhe kyon hain ankhein hote andhe kyon hain
ye tere insan re
bhagwan tera insan dekh le hai kitna nadan
dekh le hai kitna nadan
are ise to jhuth sanch ki zara nahin pahchan
dekh le hai kitna nadan dekh le hai kitna nadan
dekh le hai kitna nadan
Tera Mera Janam Ka Hi Saath
Music: Narayan
Lyricist: S.P.Kalla
Album: Aastik
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aastik/Tera-Mera-Janam-Ka-Hai
tera mera
tera mera janam ka hai sath re
haye chhod diya kyu ye hath

tum bina mujhko duniya suhati nahi
maut chahu, magar maut aati nahi
maut chahu, magar maut aati nahi
jee rahi hu, jee rahi hu liye teri yaad re
haye chhod diya kyu ye hath

aasma bhi zami se lipat ro raha
haye kaisa mera bhag, jo so raha
haye kaisa mera bhag, jo so raha
zindagi meri
zindagi meri ho gayi rakh re
haye chhod diya kyu ye hath
tera mera
tera mera janam ka hai sath re
haye chhod diya kyu ye hath
o jiska sathi hai bhagwan
Singer: Mohammad Rafi
Music: N.Dutta
Lyricist: S.P.Kalla
Album: Aastik
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aastik/Jiska-Saathi-Hai-Bhagw
o jiska sathi hai bhagwan
usko kya rokega, aandhi aur tufan
o jiska sathi hai bhagwan
usko kya rokega, aandhi aur tufan
jiska sathi hai bhagwan

gagan chur ho jaye
jamin chahe, sagar me dhas jaye
gagan chur ho jaye
jamin chahe, sagar me dhas jaye
tufano ki god me chahe, sara jag kho jaye
panv na rukne paye
o jiska sathi hai bhagwan
usko kya rokega, aandhi aur tufan
jiska sathi hai bhagwan

jiske shish pe hath hazaro
chhu na koyi payega
jiske shish pe hath hazaro
chhu na koyi payega
hari nam se, ye parwat bhi tinka ban jayega
dhul me mil jayega
o jiska sathi hai bhagwan
usko kya rokega, aandhi aur tufan
jiska sathi hai bhagwan

bhakt aur hari ka bandhan to
jo deepak aur bati
bhakt aur hari ka bandhan to
jo deepak aur bati
usi jyoti se ye jalti hai
usme hi mil jati
deh amar ho jati
o jiska sathi hai bhagwan
usko kya rokega, aandhi aur tufan
jiska sathi hai bhagwan
jiska sathi hai bhagwan
jiska sathi hai bhagwan