People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Raeth Ki Tarah
Singer: Rajat Dipakk
Music: Manan
Lyricist: Manan
Album: 3.A.M.(2014)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/raeth-ki-tarah/H1wPSCVIelU
Video:
Raeth ki tarah kanch ka panchhi
Meri zindagi..teri gulaam kyun
Haath se phisle, toot ke toote
Haan meri zindagi..teri gulaam kyun

Raeth ki tarah kanch ka panchhi
Meri zindagi..teri gulaam kyun
Haath se phisle, toot ke toote
Haan meri zindagi..teri gulaam kyun
Isko bata de..tu nahi hai
Tu nahi thi..mere paas mein

Mera dil teri yaad mein toot hi jaaye..
Haan rooth hi jaaye..khhud se
Mera dil teri yaad mein toot hi jaaye..
Haan rooth hi jaaye..khhud se

Raeth ki tarah kanch ka panchhi
Meri zindagi..teri gulaam kyun
Haath se phisle, toot ke toote
Haan meri zindagi..teri gulaam kyun

Kacchi si eetein..tooti deewarein
Tere sahare thi jo kisi zamaane mein
Haath mein tere thi meri duniya
Mere sahare thi jo..kisi zaamane mein

Mera dil teri yaad mein toot hi jaaye..
Haan rooth hi jaaye..khhud se
Mera dil teri yaad mein toot hi jaaye..
Haan rooth hi jaaye..khhud se

Wo..ho…

Illum hai mujhko, tu yahi kahin hai
Tere aansu mere, khoon mein rama kyun
Dikhta nhi kyun, inn aakhon ko
Dil me phir bhi tere, ittne nishan kyun

Mera dil teri yaad mein toot hi jaaye
Haan rooth hi jaaye, khhud se
Mera dil teri yaad mein toot hi jaaye
Haan rooth hi jaaye, khhud se.
Teri Adaon Mein
Singer: Mustafa Zahid
Lyricist: Pranay Rijiya
Album: 3.A.M.(2014)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/teri-adhaon-main/KVw4bkF,bl4
Video:
Teri aadaon mein jaadoo sa hai
Teri aankhon mein ek junoon sa hai
Teri aadaon mein jaadoo sa hai
Oh teri aankhon mein ek junoon sa hai

Tere labb teri yeh rooh ko
Teri baahon ke sukoon ko
Maine jaana hai tere khayalon ko
Tu hi toh meri dua hai, tu hi jeene ki wajah se
Tere bin bitaaun kaise lamhon ko

Tu hai bas mera, tujh par haq mera
Geron se chupa loon aa teri parchaiyaan
Tu mera subah, poora mujh-ko kiya
Tere bin bhoola tha ab manzil se hoon mila

Teri aadaon mein jaadoo sa hai
Teri aankhon mein ek junoon sa hai

Tere labb teri yeh rooh ko
Teri baahon ke sukoon ko
Main jaana hai tere khayalon ko ho..oo..oo
Tu hi toh meri dua hai
Tu hi jeene ki wajah se
Tere bin bitaaun kaise lamhon ko.
Meherbaan
Singer: Rajat Dipakk
Music: Manan
Lyricist: Manan
Album: 3.A.M.(2014)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/meherbaan/QC1cRQZlYUE
Video:
Meharbaan meherbaan
Meherban maharbaan
Maherbaan maharbaan
Meherban maharbaan
Meharbaan meherbaan
Maharban maharbaan
Maherbaan maharbaan
Maherban maharbaan

Meherbaani teri ilteja ye meri
Jo poori hui iss subah
Meherbaani teri ilteja ye meri
Jo poori hui iss subah

Meri aankhon ko aaj
Aakhir tu dikh gayi
Jaise ishq aur junoo mil gaya
Dil ki itna sunu main
Ye aadha nalayak ab main
Maan baitha apna tujhe
Iss dil ki kya sunu main
Ye paagal nalaayak
Kab kab main ye maan
Baitha apna tujhe
Iss dil ki kya sunu main
Ye paagal nalaayak
Kab kab main ye maan
Baitha apna tujhe

Aake isko thaam le tu
Phir mera naam le tu
Dekh shaayad ye
Phir se saans le
Aake isko thaam le tu
Phir mera naam le tu
Dekh shaayad ye
Phir se saans le

Ho oo

Meherbaani teri ilteja ye meri
Jo poori hui iss subah
Meherbaani teri ilteja ye meri
Jo poori hui iss subah
Meri aankhon ko aaj
Aakhir tu dikh gayi
Jaise ishq aur junoon mill gaya

Ye mere pyaar ka dhuaan hai
Jo tujhko bhi ye hua hai
Kab kab se sulag
Rahe hum bina bujhe
Ye mere pyaar ka dhuaan hai
Jo tujhko bhi ye hua hai
Kab kab se sulag
Rahe hum bina bujhe

Ye boondein aur ye baarish
Karne lagi hai saazish
Aawara kar gayi ye kyun mujhe
Ye boondein aur ye baarish
Karne lagi hai saazish
Aawara kar gayi ye kyun mujhe

Woh ho
Iss aasmaan ko dekh
Jaise shaam ho gayi
Isme laal rang
Jaise mill gaya
Iss aasmaan ko dekh
Jaise shaam ho gayi
Isme laal rang jaise mill gaya.
Sab Bhulake
Lyricist: Sharib Turaz
Album: 3.A.M.(2014)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/sab-bhulake/GFo6RDJEUkM
Video:
Sab bhula ke bhi
Gham ye seh bhi jaate
Dil jala ke aansun chhupate
Sab bhula ke bhi
Gham ye seh bhi jaate
Dil jala ke aansun chhupate

Kaali siyaah raatein
Uspe teri yaadein
Yaadon se jaati nahin hain
Tujhko bhula ke bhi
Khud ko mita ke bhi
Mujhko sukoon kyun nahin hai

Sab bhula ke bhi
Gham ye seh bhi jaate
Seh jaate hey mm

Chal diye issliye zindagi chhod ke
Dard kya tere bin ye jahaan
Uddke jaane kyun tum gaye
Raasta mod ke

Kaali siyaah raatein
Uspe teri yaadein
Yaadon se jaati nahin hain
Tujhko bhula ke bhi
Khud ko mita ke bhi
Mujhko sukoon kyun nahin hai

O ho

Inteha hai yahi
Ik muqammal pyaar ki
Aakhiri saans ho
Justju mein yaar ki

Kaali siyaah raatein
Uspe teri yaadein
Yaadon se jaati nahin hain
Tujhko bhula ke bhi
Khud ko mita ke bhi
Mujhko sukoon kyun nahin hai

Sab bhula ke bhi
Gham ye seh bhi jaate
Dil jala ke aansuon chhupate
Sab bhula ke bhi
Gham ye seh bhi jaate
Dil jala ke aansoon chhupate
O ho aansun chhupaate hey.
Tera Shukriya
Album: 3.A.M.(2014)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/tera-shukriya/JjJbdQBpQQo
Video:
Tu jo mila dil ye mera
Doori se riha hua
Tu jo mila mera jahaan
Raaton se subah hua

Tu jo mila dil ye mera
Doori se riha hua
Tu jo mila mera jahaan
Raaton se subah hua

Tha main adhura
Ab poora ho gaya
Teri panaahon mein
Khud ko kho gaya

Tera sukriya dil ne hai kiya
Sajde main jhuka ye sar
Hamesha hi tera sukriya
Tera sukriya dil ne hai kiya
Sajde main jhuka ye sar
Hamesha hi tera sukriya o ho

Hoon ab tera raha na ab mera
Tujhse main jud gaya iss subah
Ye raasta tujhse hi mill gaya
Hai nayi manzilein ab yahaan

Tha main adhura
Ab poora ho gaya
Teri panaahon mein
Khud ko kho gaya

Tera sukriya dil ne hai kiya
Sajde main jhuka ye sar
Hamesha hi tera sukriya
Tera sukriya dil ne hai kiya
Sajde main jhuka
Ye sar hamesha hi
Tera sukriya o ho

Ye gham sabhi ho gaye ajnabi
Tune di hai mujhe wo khushi
Ye zindagi saans lene lagi
Rooh dhadakne lagi hai meri

Tha main adhura
Ab poora ho gaya
Teri panaahon mein
Khud ko kho gaya

Tera sukriya dil ne hai kiya
Sajde main jhuka ye sar
Hamesha hi tera sukriya
Tera sukriya dil ne hai kiya
Sajde main jhuka
Ye sar hamesha hi
Tera sukriya o ho.