Tulsi ne jhoom ke gaayi
Koi mast magan chawpaayi
Pagal hai khusi se naina
Ghar aaye mere raghuraayi
Ho ram chandra jahan thumak chale
Harshit hai wo angnaayi
Kya sunna hai kya kehna
Ghar aaye raghuraayi
Ab aathon peher tere
Mandir mein gujaara hai
Nagri hai ayodhya ki Sarju ka kinaara hai
Mere ram lala har din Tera hi nazaara hai

Sukhi nadi mein jaise machhli bahe
Naath bin tere hum aise jite rahe
Ho o o aaj bawra to hona banta hai prabhu
Ban gaye hai phool saare dard jo sahe
Teri khadaau shish pe leke
Jogi bane nachein hum tu jo kahe
Tu jitna bharat ka tha Utna hi humaara hai
Nagri hai ayodhya ki Sarju ka kinaara hai
Mere ram lala har din Tera hi nazaara hai
Nagri hai ayodhya ki Sarju ka kinaara hai
Mere ram lala har din Tera hi nazaara hai
Nagri hai ayodhya ki Sarju ka kinaara hai
Mere ram lala har din Tera hi nazaara hai
Kan kan laaz hua kaushalya
Dashrath hue hai panghat pokhar
Wo din aaya jiska rasta
Naino ne dekha ro dhokar
Saare kone saare kuche par tu
Deepon se bhi puchhe
Apne ram lala aa jaaye jaane kaun gali se hokar
Chal pran use dede Prano se jo pyaara hai
Nagri hai ayodhya ki Sarju ka kinaara hai
Mere ram lala har din Tera hi nazaara hai
Nagri hai ayodhya ki Sarju ka kinaara hai
Mere ram lala har din Tera hi nazaara hai
Siyavar ramchandra ki jay Raja ramchandra ki jay

Siyavar ramchandra ki jay Mere ramchandra ki jay
Raja ramchandra ki jay Siyavar ramchandra ki jay