Pavan Parama Jahaan Ki Manjul Mahathma Dhaara
Jahaan Ki Sunder Mahima Bahut Pavitra Hai | 1 |
Pehale Hee Pehale Dekha Jisne Prabhaat Pyara
Jisne Pyari Subah Ko Sabse Pehal Dekha | 2 |
Surlpk Se Bhi Anupam Rushiyo Ne Jisko Gaaya
Jisko Swarg Ke Mahaan Rushiyo Ne Gaaya | 3 |
Devesh Ko Jaha Par Avatar Lena Bhaya
Bhagawan Ne Jaha Par Avatar Liya | 4 |
Wah Mathru Bhumi Meri Wah Pithru Bhumi Meri
Yeh Mathru Bhumi Meri Yeh Pithru Bhumi Meri
Uncha Lalat JIska Himagiri Chamak Raha Hai
Jiske Unche Maathe Par Barph Ka Pahaad Raha Hai | 5 |
Suvarana Kireet Jis Par Aaditya Rakh Raha Hai
Suraj JIs Par Sone Ka Mukut Rakh Raha Hai | 6 |
Sakshaat Shiv Ki Murat Jo Sab Prakaar Ujwal
Jo Aabha Se Jagmagaatha Sakshaat Shiv Ke Jaisa Hai | 7 |
Behtha Hai Jiske Sar Se Neer Nirmal
Jiske Sar Se Ganga Ka Nirmal Jal Behta Hai | 8 |
Wah Mathru Bhumi Meri Wah Pithru Bhumi Meri
Yeh Mathru Bhumi Meri Yeh Pithru Bhumi Meri
Sarvopakar Jiske Jeevan Ka Vrat Raha Hai
Sabhi Ka Upakar Jiske Jeevan Ka Sankalp Raha Hai | 9 |
Prakrithi Puneet Jiski Nirbhaya Mrudul Maha Hai
Jiski Pavitra Prakriti Nidar Nirmal Hai | 10 |
Jaha Shanthi Apna Kartab Karna Na Chukti Thi
Jaha Shanthi Apna Pradarshan Karne SE Nahi Chukti Thi | 11 |
Komal Kalaap Kokil Kamaniya Kukati Thi
Jaha Komal Koyal Sumadhur Sur Mein Gaati Thi | 12 |
Wah Mathru Bhumi Meri Wah Pithru Bhumi Meri
Yeh Mathru Bhumi Meri Yeh Pithru Bhumi Meri
Wah Veerta Ka Vaibhav Chaaya Ghana Tha
Jaha Veerta Ka Dhan Bhara Huwa Tha | 13 |
Chitka Huwa Jaha Par Vidya Ka Chandna Tha
Jaha Vidya Ka Chaand ChamakTA tHA | 14 |
Puri Huyi Sadaa Se Jaha Dharm Ki Pipaasa
Jaha Dharm Ki Pyas Sada Bhujhti Thi | 15 |
Sath Sanskrit Hee Pyari Jaha Ki Thi Maathru Bhasha
Satya Sanskrit Jaha Ki Pyari Maathru Bhasha Thi | 16 |
Wah Mathru Bhumi Meri Wah Pithru Bhumi Meri
Yeh Mathru Bhumi Meri Yeh Pithru Bhumi Meri