Audio: https://www.jiosaavn.com/song/dekh-toofaan-aaya-hai/OzAFBSFUXkk
Video:
Samay Ke Panno Pe Likh Rahi Hai
Yeh Zindagi Jo Kahani
Hai Kaise Mod Isme Aane Wale
Ye Baat Kisne Hai Jaani
Yahi Zindagi Hasaye
Yahi Zindagi Rulaaye
Yahi Zindagi De Lori
Yahi Zindgi Jagaye
Yahi Laati Hai Andhere
Yahi Roshni Bhi Laaye
Yahi Zakhm Zakhm Kar De
Aur Yahi Marham Lagaye
Har Pal Yanha, Naya Sama
Naye Zameen, Naye Aasmaan Hai
Kabhi To Hai Naram Hawa
Aur Kahi Garm Aandhiyaan Hain
Tez Chali Re Purvaiya
Din Me Laayi Raat Re
Tez Chali Re Purvaiya
Bikhre Hain Phool Paath Re
To Bass Heraan Heraan Soche Insaan
Honi Hain Ab Kya Baat Re
To Bass Heraan Heraan Soche Insaan
Honi Hain Ab Kya Baat Re
Tez Chali Re Purvaiya
Samay Ke Panno Pe Likh Rahi Hai
Yeh Zindagi Jo Kahani
Hai Kaise Mod Isme Aane Wale
Ye Baat Kisne Hai Jaani
Woh Aankhein Jo Kahin Nahi Unke Sapne
Mene Hai Sambhal Ke Rakhe
Yaadon Ne Saari Tasvire Aur Dil Ne
Dard Hai Kamaal Ke Rakhe
Apni Dhadkano Mein Aur Saanson Mein
Mene Jisko Rakha Hain Zinda
Uski Umeedon Ko Uske Khawaabon Ko
Kaise Na Hoga Sharminda
Raaho Me The Bichhe Hue
Dehke Dehke Angaare
Aakash Se Patthar Barse
Ye Sapne Phir Bhi Na Haare
Phir Bhi Na Haare
Tez Chali Re Purvaiya
Duniya Lagaaye Ghat Re
Tez Chali Re Purvaiya
Dil Nahi Maanta Maat Re
To Bass Heraan Heraan Soche Insaan
Honi Hain Ab Kya Baat Re
To Bass Heraan Heraan Soche Insaan
Honi Hain Ab Kya Baat Re
Tez Chali Re Purvaiya
Purvaiya
Tez Chali Re , Tez Chali Re
Tez Chali Purvaiya.