Ek baar ki baat thi ek dum fizool ki
Parinda ik suljha tha patang se uljha tha
Ulta wo pulta wo mohabbat se phisla woh
Gir kar sambhal kar wo khoya khoya sa hans kar wo
Akhiyon ki masti me jo dastan ye jhalakti hai
Dikhti hai chhupti hai haule se bulati hai
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Baith kar wo sochta hai parinda tha jo hamara
Dagmaga chuka tha phir irada hichkichaya
Sawalon se door jawabon se door us ehsaas ke pass
Jo khud me-khud me bhar-poor
Lagti bas khud ki par hai wo ab sabki
Ik rangon ki toli aabaad aur azaad aisi kamal ki
Yeh sapnon ki jholi
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Phir maqsad bhi muskuraya aur uska waqt bhi palat aaya
Ik phasne phasane ka fasana ab gudgudaya
Soch se uchhla wo atrangi parinda wo
Koshish ko poori karna tha us falak ko jhatakna tha
Tasveerein ummeedon ki soyi huyi un khwaabon ki
Jhank kar nazar aayein jo
Lagatar wo pukar kar mil jayein
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si
Kahani atrangi si paheli anokhi si
Thodi adhoori si zaroori bewakoofi si.