Nothing truly valuable arises from ambition or from a mere sense of duty; it stems rather from love and devotion towards men and towards objective things -Albert Einstein
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.
ittefaqan ittefakan
lamhe ye lamhe do lamhe aa girey
aksar falak se do lamhe aa girey
ittefaqan jo mile hain hum yahan
ittefakan hi mile hain do jahaan
jheene jheene pal mein khoyi
khoyi si hasee raat hai
jhilmil palkein
jaagi jaagi dhadkan saath hai
har khwahishein farmahishein
ye mad bhari aanaishein
iss pal ki hamse hai itni iltezaa
bah jaaye ho jaaye kho jaaye benishaan
ittefaqan hum huye hain aasna
ittefakan waqt bhi hai meherbaan
lamhe ye lamhe do lamhe aa girey
aksar falak se do lamhe aa girey
dheere dheere labon ki larjishein sambhal jaayengi
holey hole dil ki silwatein bhi khul jayengi
ghul jaane do mil jaane do
ye rang e ishq khil jaane do
behka behka mehka hai samaa
halka halka halka hai chaya nasha
ittefaqan ho gaye tum rehnuma
ittefakan ban gayi ye dastaan
lamhe ye lamhe do lamhe aa girey
aksar falak se do lamhe aa girey
ittefaqan jo mile hain hum yahan
ittefakan hi mile hain do jahaan