dil mein wo hai ke dil ki hum kahe
jaise hum hai waise hi hume tu rehne de
jo bhi socha ho sahi ye jaroori toh nahi
reh bhi jaaye kuchh kami
to samjhaau bataau kisi se ab rehne de
keh de toh keh de chup to chup rahe
badle toh badle kya ab hum kahe rehne de
baate kitni hai kahi kuchh adhoori reh gayi
baate kitni hai kahi kuchh adhoori reh gayi
kuchh abhi bhi ankahi
kyon bataau chhupaau kisi se ab rehne de
samjhe na smjhe apne bhi hume
sehle toh sehle na bhi keh sake rehne de
chehre sabke hai kai
kuchh apno mein hai abhi
kuchh abhi bhi ajnabi
yeh tanhaai parchhai yahi pe ab rehne de
o o rehne de