dar lagta hai buri najro se
dar lagta hai buri khabro se
dar lagta hai chup rahne se
dar lagta hai apne gusse se
hat ja jeene de, haq hai udne de
dar lagta hai un cheekho se
dar lagta hai chup sadko se
dar lagta hai maile irado se
dar lagta hai apne gusse se
hat ja jeene de, haq hai udne de
kab badlega, kab badlega tu kab badlega
jab rab ke aage jayega kya tab badlega
ab galti ki koi wajah nahi
ab besharmi ki koi jagah nahi
kya karan tu paap karta hai
kya karan jo shaitan jagta hai
kya karan badal tu nahi pata hai
kya karan jo haiwan ban jata hai
hat ja jeene de, haq hai udne de
ban ja insaan ban ja tu, sab galatiya mita de tu
dafna do wo raaste jis par manzil jal jayegi
mard nahi insaan bano, farz bano, imaan bano
dharti swarg ban jayegi, dharti swarg ban jayegi
hat ja jeene de, haq hai udne de
ummedo se ummed nahi
taqdeero se koi tees nahi
astitva mera jag jitega
samman mera apna haq chhinega
hai yaki mujhse badlega
ha junu mera mujhe pankh dega
hat aa jeene de, haq hai udne de