aurat ne janam diya mardo ko , mardo ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya
aurat ne janam diya mardo ko
tulati hai kahi dinaro me, bikti hai kahi bazaro me
nangi nachavai jati hai, aiyyasho ke darbaro me
ye vo beizzat chiz hai jo, bat jati hai izzatdaro me
aurat ne janam diya mardo ko
mardo ke liye har zulm rava, aurat ke liye rona bhi khata
mardo ke liye lakho seje, aurat ke liye bas ek chita
mardo ke liye har aish ka haq, aurat ke liye jina bhi saza
aurat ne janam diya mardo ko
jin hotho ne inko pyar kiya, un hotho ka vyapar kiya
jis kokh me inka jism dhala, us kokh ka karobar kiya
jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zalil-o-khar kiya
aurat ne janam diya mardo ko
mardo ne banayi jo rasme, unko haq ka farmaan kaha
aurat ke zinda jalne ko, kurbani aur balidaan kaha
kismat ke badle roti di, usko bhi ehsaan kaha
aurat ne janam diya mardo ko
sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god me palti hai
chaklo me hi aa ke rukati hai, faako se jo raah nikalti hai
mardo ki havas hai jo aksar, aurat ke paap me dhalti hai
aurat ne janam diya mardo ko
aurat sansaar ki qismat hai, fir bhi taqdir ki heti hai
avatar payambar janati hai, phir bhi shaitan ki beti hai
ye vo badaqismat maa hai jo, beto ki sez pe leti hai
aurat ne janam diya mardo ko
aurat ne janam diya mardo ko, mardo ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya
aurat ne janam diya mardo ko