People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Aise Waise Thikano Pe Jana Bura Hai
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Sadhna(1958)
Tag: Hindi
Video:
jo hum me hai vo matvali ada sab me nahi hoti
mohabbat sab me hoti hai wafa sab me nahi hoti
aise vaise thikano pe jana bura hai
aise vaise thikano pe jana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
dil lagana bura hai aise vaise thikano pe jana bura hai

julaf lahraye to janjir bhi ban jati hai
ankh sarmaye to ek tir bhi ban jati hai
dil lubhane ko jo dildar bana karte hai
dil chura kar vahi talvar bana karte hai
ye vo mehfil hai jaha pyar bhi lut jata hai
ye vo mehfil hai jaha pyar bhi lut jata hai
dil to kya chiz hai ghar bar bhi lut jata hai
dil to kya chiz hai ghar bar bhi lut jata hai
isliye to kahte hai aise vaise thikano pe jana bura hai
aise vaise thikano pe jana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
dil lagana bura hai aise vaise thikano pe jana bura hai

lab hanste hai to mastana bana dete hai
hans ke tak te hai diwana bana dete hai
koi nagame me koi adami kho jata hai
inse jo bachta hai vo naz me kho jata hai
yu to gardan se lipat jati hai bahe inki
yu to gardan se lipat jati hai bahe inki
dil nahi jeb pe hoti hai nigahe inki
dil nahi jeb pe hoti hai nigahe inki

aise vaise thikano pe jana bura hai
aise vaise thikano pe jana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
dil lagana bura hai aise vaise thikano pe jana bura hai

hum sitam dhate hai bedag kiya karte hai
dil liya karte hai or dard diya karte hai
dard lena ho to mehfil meri abad karo
varna jao ji kisi or ka ghar yad karo
aaj jaoge to kal laut ke fir aoge
aaj jaoge to kal laut ke fir aoge
hum sa masuf na duniya me kahi paoge
hum sa masuf na duniya me kahi paoge
isliye to kahti hu

aise vaise thikano pe jana bura hai
aise vaise thikano pe jana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
bach ke rahna meri ja jamana bura hai
dil lagana bura hai aise vaise thikano pe jana bura hai
Kaho Ji Tum Kya Kya Kharidoge
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Sadhna(1958)
Tag: Hindi
Video:
kaho ji tum kya-kya, suno ji tum kya-kya
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
yahan to har chiz bikti hai
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
lalaji tum kya-kya, miya ji tum kya-kya
babuji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
kaho ji tum kya-kya kharidoge

ye balkhaati huyi zulfe ye lahraate huye baaju
ye hotho ki jawaan masti ye aankho ka hasin jaadu
adaao ke khazaane jawani ke taraane
adaao ke khazaane jawani ke taraane
adaao ke khazaane jawani ke taraane
bahaaro ke zamaane
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
yahaan to har chiz bikti hai
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge

tadapti shokiya de du machalta baankpan de du
agar tum ik kali maango to mai saara chaman de du
tadapti shokiya de du machalta baankpan de du, hay
agar tum ik kali maango to mai saara chaman de du, hay
ye masti ke phere ye mahke andhere
ye masti ke phere ye mahke andhere
ye masti ke phere ye mahke andhere, ye rangin dere
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
yahan to har chiz bikti hai
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge

mohabbat bechti hu mai sharaafat bechti hu mai
na ho gairat to le jaao ke gairat bechti hu mai
nigaahe to milaao adaaye na dikhaao
nigaahe to milaao adaaye na dikhaao
nigaahe to milaao adaaye na dikhaao, yaha na sharmaao
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
yahaan to har chiz bikti hai
kaho ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
lala ji tum kya-kya, miyan ji tum kya-kya
babu ji tum kya-kya kharidoge
suno ji tum kya-kya kharidoge
kaho ji tum kya-kya kharidoge
Tora Manwa Kyon Ghabraye Re
Singer: Geeta Dutt
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Sadhna(1958)
Tag: Hindi
Video:
tora manwa kyo ghabraye re lakho din dukhiyare prani
jag me mukti paye re ram ji ke duaar se
tora manwa kyo ghabraye re lakho din dukhiyare prani
jag me mukti paye re ram ji ke duaar se

band huaa ye duaar kbhi na
jug kitne hi jug kitne hi bite
sab duaaro par harne se duaare par
es duaare par jite lakh ptit lakho pchhtaye
tora manwa kyo ghabraye re lakho din dukhiyare prani
jag me mukti paye re ram ji ke duaar se
pawan hokar aaye re ram ji ke duaar pe
tora manwa kyo ghabraye re lakho din dukhiyare prani
jag me mukti paye re ram ji ke duaar se

ham murkh jo kaj bigadhe
ramo kaj sware ramo kaj sware
o maha nanda ho ke ahida sab ko par nikale
jo kankar charno ko chhule jo kankar charno ko chhule
wo hi rah ho jaye ram ji ke duaar se
tora manwa kyo ghabraye re lakho din dukhiyare prani
jag me mukti paye re ram ji ke duaar se

na puche wo jat kisi ki
na gun awgun na gun awgun jante
wahi bhgat bhgwan ko pyara jo har bani bate
jo koi sardha le ke aaye jo koi sardha le ke aaye
jholi bhar ke jaye re ram ji ke duaar se
tora manwa kyo ghabraye re lakho din dukhiyare prani
jag me mukti paye re ram ji ke duaar se
Aaj Kyu Humse Parda Hai
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Sadhna(1958)
Tag: Hindi
Video:
aaj kyon hamse parda hai, parda hai ji
aaj kyon hamse parda hai
aaj kyon hamse parda hai
aaj kyon hamse parda hai
aaj kyon hamse parda hai, parda hai ji
aaj kyon hamse parda hai

tera har rang hamne dekha hai, tera har dhang hamne dekha hai
pas aakar bhi tujhako dekha hai, dur jakar bhi tujhako dekha hai
tujhako har tarah aajamaya hai, pake khoya hai khoke paya hai
ankhadiyo ka baya samajhate hai, dhadakano ki jabaan samajhate hai
chudiyo ki khanak se vakif hai, jhanjhano ki jhanak se vaakif hai
najo andaj jaanate hain ham, najo andaj jaanate hain ham
tera har raj janate hai ham phir
aaj kyon ham se parda hai parda hai ji
aaj kyon ham se parda hai parda hai ji
aaj kyon ham se parda hai
aaj kyon ham se parda hai

dil dukhane se fayada kya hai, munh chhupane se fayada kya hai
ulajhi ulajhi late sanvarake aa, husn ko aur bhi nikharake aa
narm gaalo me bijaliya lekar, shok aankho me titaliya lekar
aa bhi ja ab ada pe laharake, dekh dulhan ki tarah sharmake
tu nah hai to raat suni hai, ishk be kayena tu julmi hai
hoy marnevalo ki jindgi tu hai, marnevalo ki jindgi tu hai
is andhere ki roshani tu hai fir
aaj kyon hamse parda hai, parda hai ji
aaj kyon hamse parda hai
aaj kyon hamse parda hai, parda hai ji
aaj kyon hamse parda hai

tha tera intejar jabse hai, har najar bekarar jab se hai
shamma rah rah ke jil-milati hai, sans taro ki dubi jati hai
tu agar meharban ho jaye, ye jami aasman ho jaye
ab to aa jake rat jati hai, ek aashik ki bat jati hai
khair ho chori jindgani ki, de bhi de ji tu mehrbani ki
tujhpe sau janm se fida hai ham
tujhpe sau janm se fida hai ham
ek muddat se aashina hai ham fir
aaj kyon hamse parda hai, parda hai ji
aaj kyon hamse parda hai
aaj kyon hamse parda hai, parda hai ji
aaj kyon hamse parda hai
Sambhal Yeh Dil
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Sadhna(1958)
Tag: Hindi
Video:
sambhal ai dil
sambhal ai dil tadapane aur tadapaane se kya hoga
jaha basana nahee mumkin, vaha jaane se kya hoga
sambhal ai dil
chale aao
chale aao ke abb munh pherake jaane se kya hoga
jo tum par mit chuka iss dil ko tarasaane se kya hoga
chale aao
hame sansaar me apna banaana kaun chaahega
yeh masale phul se joban sajaana kaun chaahega
tamannaao ko jhuthe kvaab dikhalaane se kya hoga
jaha basana nahee mumakin vaha jaane se kya hoga
sambhal ai dil
chale aao

tumhe dekha tumhe chaaha tumhe puja hai iss dil ne
jo sach puchho toh pahalee baar kuchh maanga hai iss dil ne
samajhate bujhate anajaan ban jaane se kya hoga
chale aao
sanbhal ai dil

jinhe milatee hain kushiya woh mukaddar aur hote hain
jo dil me ghar banate hain woh dilbar aur hote hain
ummido ko khilaune deke bahlaane se kya hoga
jaha basana nahee mumkin vaha jaane se kya hoga
samhal ai dil
chale aao

bahut din se thee dil me abb juban tak baat pahunchee hai
vahee tak isako rahane do jaha tak baat pahunchee hai
jo dil kee aakharee hak hai, vaha tak baat pahunchee hai
baat pahunchee hai
jise khona yakinee hai use paane se kya hoga
jaha basana nahee mumkin vaha jaane se kya hoga
sambhal ai dil
chale aao
Aurat Ne Janam Diya
Music: N. Datta
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Album: Sadhna(1958)
Tag: Hindi
Video:
aurat ne janam diya mardo ko , mardo ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya
aurat ne janam diya mardo ko

tulati hai kahi dinaro me, bikti hai kahi bazaro me
nangi nachavai jati hai, aiyyasho ke darbaro me
ye vo beizzat chiz hai jo, bat jati hai izzatdaro me
aurat ne janam diya mardo ko

mardo ke liye har zulm rava, aurat ke liye rona bhi khata
mardo ke liye lakho seje, aurat ke liye bas ek chita
mardo ke liye har aish ka haq, aurat ke liye jina bhi saza
aurat ne janam diya mardo ko

jin hotho ne inko pyar kiya, un hotho ka vyapar kiya
jis kokh me inka jism dhala, us kokh ka karobar kiya
jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zalil-o-khar kiya
aurat ne janam diya mardo ko

mardo ne banayi jo rasme, unko haq ka farmaan kaha
aurat ke zinda jalne ko, kurbani aur balidaan kaha
kismat ke badle roti di, usko bhi ehsaan kaha
aurat ne janam diya mardo ko

sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god me palti hai
chaklo me hi aa ke rukati hai, faako se jo raah nikalti hai
mardo ki havas hai jo aksar, aurat ke paap me dhalti hai
aurat ne janam diya mardo ko

aurat sansaar ki qismat hai, fir bhi taqdir ki heti hai
avatar payambar janati hai, phir bhi shaitan ki beti hai
ye vo badaqismat maa hai jo, beto ki sez pe leti hai
aurat ne janam diya mardo ko
aurat ne janam diya mardo ko, mardo ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya
aurat ne janam diya mardo ko