o mere bhaai o ho mere bhaai
ho na ye zami rahegi na aasmaan rahega
na zindagi rahegi na ye jahan rahega
na ye zami rahegi na aasmaan rahega
na zindagi rahegi na ye jahan rahega
ye ram lakshman ki jodi nahi tutegi
do bhaaiyo ka zinda yaha pyaar rahega
ye ram lakshman ki jodi nahi tutegi
do bhaaiyo ka zinda yaha pyaar rahega
o mere bhaai o ho mere bhaai
ho raajmahal ke sukh mein ho rahna
yaa dukh ho vanwaas ko sahna
saari umar hum saath rahenge
sukh dukh mil ke saath sahenge
ho din raat se judaa ho
taaron se chaand ruthe
saagar mein ho na paani
suraj gagan se tute
ye ram lakshman ki jodi nahi tutegi
do bhaaiyo ka zinda yaha pyaar rahega
o mere bhaai o ho mere bhaai
julm sitam karne waalo ko
kabhi kahi na milengi maafi
apne hote saath kisi ke
ho na sakegi na insaafi
ho har julm se ladenge, anyaay se ladenge
insaaf ke liye hum apni ye jaan dege
ye ram lakshman ki jodi nahi tutegi
do bhaaiyo ka zinda yaha pyaar rahega
na ye zami rahegi na aasmaan rahega
na zindagi rahegi na ye jahan rahega
ye ram lakshman ki jodi nahi tutegi
do bhaaiyo ka zinda yaha pyaar rahega
o mere bhaai o ho mere bhaai
are o mere bhaai o ho mere bhaai