People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Na Idhar Dekhna Na Udhar Dekhna
Singer: Asha Bhosle
Music: N.Datta
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Video:
na idhar dekhna na udhar dekhna
kya ishara kare ye najar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhta kya hota hai
dekhta kya hota hai

kaun jane ki kya hona hai
muskurana hai ki rona hai
aaj ki sab soch le ye tu
jagna hai ke bas sona hai
aag lag jaye na bekhabar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhta kya hota hai
dekhta kya hota hai
na idhar dekhna na udhar dekhna
kya ishara karegi najar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai

hamne mana ke sau pahre hai
ye andhere bade gahre hai
samne tez aaftaabo ki
ye andhere kabhi thahre hai
muskuraake rahegi sehar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhta kya hota hai
dekhna kya hota hai
na idhar dekhna na udhar dekhna
kya ishara karegi najar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai

aasma se khabar aayi hai
ke kayamat idhar aayi hai
sab gunehgar kaanp uthe hai yun
maut shayad najar aayi hai
mai jidhar dekhu sare udhar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai
na idhar dekhna na udhar dekhna
kya ishara karegi najar dekhna
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai
dekhna kya hota hai