ek pal ne jaate jaate
aanewaale pal se kaha, tu muskura
jo tere haathon mein nahi hai
un baaton se hai tu kyun khafa
ek pal ki har khushi hai
zindagi hai isi pal ki daasta
ek pal jo bhule jamin
chhu le tere haathon mein hai jo aasmaan
na is pal ka, na kal ka pata
na koi shikva, na ab hai gila
tere dum se, main har gham se, hans ke mila
jaha dekhna chaaha apna koi to
mujhe ajnabi hi mila
magar ab talak jo tha sabse paraaya
wo ek mera chehra hi tha
har aaina hasta raha, ab ja ke main khud se mila
na is pal ka, na kal ka pata
na koi shikva, na ab hai gila
tere dum se, main har gham se, hans ke mila
chala hoon main raaho mein kitna akele
magar ye safar hai naya
nahi manjilon ki hai koyi fikar
jabse tu hamsafar ban gaya
tu hi safar, tu raasta
jaana kahaan tere siva
na is pal ka, na kal ka pata
na koi shikva, na ab hai gila
tere dum se, main har gham se, hans ke mila
ek pal ne jaate jaate
aanewaale pal se kaha, tu muskura
jo tere haathon mein nahi hai
un baaton se hai tu kyun khafa
ek pal ki har khushi hai
zindagi hai isi pal ki daasta
ek pal jo bhule jamin
chhu le tere haathon mein hai jo aasmaan
na is pal ka, na kal ka pata
na koi shikva, na ab hai gila
tere dum se, main har gham se, hans ke mila