Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaj-Ke-Angaarey/Nacho-Nacho-N
ek bar aasman ke paar ki pari ne
dharti pe kuch bacho ko buri halat me dekha
use behad dukh huya swarag ke ek dut ko bulakar
usne aadesh diya
jao jao dharti pe jao jakar pata lago
dharti ke kitne hi bacche kyu itne dukh sah rahe hai
jao jao dharti pe jao jakar pata lago
dharti ke kitne hi bacche kyu itne dukh sah rahe hai
sadiyo se kyu raat din ye is haal me rah rahe hai
jao jao dharti pe jao jakar pata lago
dharti ke kitne hi bacche kyu itne dukh sah rahe hai
pata lago, jao pata lago
swarag ki devi bacho ko pyar karne wali pari
dharti pe utri, uske samne pakad kar layi gayi ek teacher
pari ne puchha, itne bhole itne pyare
ye masum se bacche sare sahme sahme dare dare
phirte kyu hai mare mare
kyu majbur hai, kyu lachar hai
kiske julm ke ye shikar hai
tum uske jimmedaar ho, apradhi gunehgaar ho
tumhe iski milni chahiye sajaye maut
dharti ye sari kabhi ek thi, ye sara jaha ek parivar tha
sabhi ek the sabhi nek the, dilo me yaha pyar hi pyar tha
hue paida phir aise bande yaha
jo matlab ki khaatir the andhe yaha
bane mulk phir itni kome bani
chhidi jang badhti gayi dushmani
kyu milke in sabko nahi toka nahi roka
aasma se ek dikhe jo kyu zami ko kaanta baanta
mai to hu teacher talim du
mai neta nahi koi raja nahi
mai julm ko roku jaalim ko toku, mujhme bhala itni takat kaha
kya kaha tum teacher ho
lekin maine to kisi politicion ko, pakad kar lane ko kaha tha
maine socha ye teacher hai jo bolegi sach bolegi
neta to aakhir neta hai, kab kya bole kisko pata
kisko pata wo kab kya bole
kyoki politicion to, politicion hai na
teacher tum achhi ho tum sachi ho tum achhe kaam karo
bacho ko padhao unhe sikhlao pyar karna, pyar karna
ye bacche hai kal ke neta, jab ho bade ye pyar se
duniya sajaye sabko sikhaye, pyar karna, pyar karna
thank you superpath, aap hai to phir humko kya dar
yahi karege hum sab milkar
thank you superpath, thank you bye bye
bacche dil ke sache hai sacchaai naa chhodenge
hum duniya me laayenge daur pyar ka
nafarat ki ye zanjire hum sab milkar todenge
phir dharti pe chhayega rang pyar ka
phir koi julm sitam nahi hoga honge gam nahi
dilo me pyar wo jagega jo hoga kam nahi
duniya nayi basayege pyar ke phul khilayenge
phir dharti ho jayegi jannat si hansi