People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

sawan ki ghata payal ki sada
Music: N.Dutta
Lyricist: Anand Bhakshi
Album: Aagka Toofan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aag-Aur-Toofan/Ae-Yaar-Kahin-
sawan ki ghata payal ki sada kaliyo ki najakat kahte hai
aye yar kahi tu wo to nahi jise log kyamat kahte hai
sawan ki ghata

in julfo ka jane raz hai kya in aankho ka ye andaz hai kya
in julfo ka jane raz hai kya in aankho ka ye andaz hai kya
yu koi sitam dhaye to sanam hum usko inayat kahte hai
sawan ki ghata

phulo ka guman bhi jhutha hai jannat ka bharam bhi tuta hai
phulo ka guman bhi jhutha hai jannat ka bharam bhi tuta hai
in sabse kahi wo jajba hasi jise teri mohabbat kahte hai
sawan ki ghata

pucha hai sitaro se maine kyu nind nahi aati mujhko
pucha hai sitaro se maine kyu nind nahi aati mujhko
hai teri kasam wo isko sanam teri hi sararat kahte hai
sawan ki ghata payal ki sada kaliyo ki najakat kahte hai
aye yar kahi tu wo to nahi jise log kyamat kahte hai
sawan ki ghata