People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Jiska mujhe tha intezar
Lyricist: Anjaan
Album: Don (1978)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Don/Jiska-Mujhe-Tha-Intezar/I
Jiska mujhe tha intezar
Jiske liye dil tha beqarar
Woh ghadi aa gayi, aa gayi
Aaj pyar mein had se guzar jaana hai
Maar dena hai tujhko ya mar jaana hai

Jiska mujhe tha intezar
Jiske liye dil tha beqarar
Woh ghadi aa gayi, aa gayi
Aaj pyar mein had se guzar jaana hai
Maar dena hai tujhko ya mar jaana hai

Mujhpe jo guzri tu kya jaane
Tu kya samjhe oh deewane
Leke rahoongi badla tujhse
Aayi hoon dil ki aag bujhaane
Ho qatil meri nazron se bachke kahan jayega
Qatil meri nazron se bachke kahan jayega
Diya hai jo mujhko wohi tu mujse payega
Woh ghadi aa gayi, aa gayi
Teer banke jigar mein utar jaana hai
Maar dena hai tujhko ya mar jaana hai

Jaadu tera kispe chala
Hoga kisi din yeh faisla
Woh ghadi aayegi, aayegi
Jaana toone abhi yeh kahan jaana hai
Kise jeena hai aur kisko mar jaana hai

Hoga tera aashiq zamana
Auron ka dil hoga tera nishana
Naaz na kar yoon teer-e-nazar pe
Aaye hamein bhi teer chalana
Jo hain khiladi unhein khel hum dikhayenge
Apne hi jaal mein shikari phans jayenge
Woh ghadi aayegi, aayegi
Waqt aane pe tujhko yeh samjhana hai
Kise jeena hai aur kisko mar jaana hai
Kise jeena hai aur kisko mar jaana ha