People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Aaja Re Moray Saiyya
Music: Noori
Lyricist: Zehra Nigah
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Coke-Studio-Season-9-Episode-1/Aaja-Re-Moray-Saiyaan/GhhGYDdo
Video:
Mohe ang ang kayi rang rang
Koyi hara gulaabi laal
Yeh dharti mere paaon ki mehndi
Ambar laal gulaal
Ye mausam milne ka hai
Phoolon ke khilne ka hai
Aa ja re more saiyaan
Aa ja re more rasiya
Aa ja

Baadal mein se chandrama
Mohe dekh dekh muskaaye
Mujh se meri chaal poochhne
Pawan jhakore aaye
Ye mausam milne ka hai
Phoolon ke khilne ka hai
Aa ja re more saiyaan
Aa ja re more rasiya
Aa ja

Lahraati bal khaati nadiya bulaaye
Koyal ki peehu peehu piya piya gaaye
Aaja re aaja re
Dil mein sama ja re
Kayi naam kayi roop mere rom rom mein jaage
Jag saara mujh ko bas apna apna laage
Ye mausam milne ka hai
Phoolon ke khilne ka hai
Aa ja re more saiyaan
Aa ja re more rasiya
Aa ja

Daali daali jhoom jhoom rastah dikhlaaye
Shabnam ke moti mere oopar lutaaye
Aaja re aaja re
Dil men sama ja re
Yih dagar dagar kare
Jagar jagar jab tere raste jaaoon
Main yaad rakhoon tujh ko rasiya
Main kisi ko yaad nah aaoon
Ye mausam milne ka hai
Phoolon ke khilne ka hai
Aa ja re more saiyaan
Aa ja re more rasiya

Aa ja (x4)

Megha barse rim jhim rim jhim
Megha barse rim jhim rim jhim
Rim jhim rim jhim megha barse
Rim jhim rim jhim megha barse
Haan megha barse rim jhim rim jhim
Megha barse rim jhim rim jhim
Rim jhim rim jhim megha barse
Rim jhim rim jhim megha barse

O megha barse rim jhim rim jhim
Megha barse rim jhim rim jhim
Rim jhim rim jhim megha barse
Rim jhim rim jhim megha barse

Mohe rang de (x4)

Mora ang ang ab rang de
Kabhi hara gulaabi rang de

Kabhi ambar laal gulaal
Ye mausam milne ka hai

Phoolon ke khilne ka hai
Aa ja re more saiyaan
Aa ja re more rasiya
Rang de mohe
Baadal mein se chandrama
Mohe dekh dekh muskaaye
Mujh se meri chaal poochhne
Pawan jhakore aaye
Ye mausam milne ka hai
Phoolon ke khilne ka hai
Aa ja re more saiyaan
Aa ja re more rasiya
Aa ja

Mohe rang de rang de rang de
Allahu Akbar
Music: Shuja Haider
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/urdu/Coke-Studio-Season-10-Episode-1/Allahu-Akbar/J1wydzBdXXA
Video:
Ya kareem o ya ghaffaar o raheem o azeem o sari’ ur-raza
Uspe hi raazi rahun jo kiya tu ne mujhko aata

Yeh jo nadaamat ki maala hai mere gale men parhi

Tasbeeh is ko bana de ilaahi (x3)

Allaahumma inni as’aluka birahmatika
Ya z’ul-jalaal

Apne kiye pih jhukaaye hoon sar
dil mein ranj-o malaal

Tu jo sune nah sunaungga kisko yeh fariyaad main

Tu hi sami’ ul-baseer ul-mujeeb (x3)

Rabbe azaan-e bilaali bhi tu
Arham bhi tu aur jalaali bhi tu
Kun fayakun ka bhi khaaliq hai tu
Tu rabb-e mustafa
Allahu akbar

Tu rabbe murtaza
Allahu akbar
Rabbe siraat-I mustaqeem
Allahu akbar

Tu rabbe kaa‘bah
Allaahu akbar.

Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauze nadaamat men dooba hua hoon

Ya raheem
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata (x2)

Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon

Darya-e aatish men ham
bas yoonhi jal jaayenge
‘Gar tu sahaara bane
ya rabb sambhal jaayenge

Tu hi to wuh raushani hai kih
jis se main ghaafil huwa
Jaane anjaane gunaahon se
kuch bhi nah haasil huwa

Ho teri nazr-e karam to
yeh mushkil bhi tal jayegi

Tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem (x2)

Rabb-e deewaar-I z’ul-qarnain tu
Rabb-e mai‘raaj-I kaunain tu
Rabb-e ismaa‘eel o zam-zam bhi tu

Tu rabb-e ibraaheem, Allahhu akbar
Tu rabb-e jibraaeel, Allahhu akbar
Rabb-e malaaika, Allahu akbar
Tu rabb-I kausar, Allahu akbar

Apne ghulaamon ki de ghulaami
Ya mutakabbir ya mughni ya mughni

Roz-e hashr ka andaazah naheen
Bakhshish ka saamaan laaya naheen
Hai meri iltija, karde qurbat aata
Karde rehm-o-karam,
miskeen hai tere dar pih khada

Mere iraade jo toote to
mujhko pata yeh chala
Teri hukoomat men hoga wahi
bas jo tu ne kaha.

Apne habeeb ke sadqe sun le meri yeh dua
Tu hi muqeet ul-haseeb ul-jaleel (x2)

Rabbe zarb-i haidar o hamzah bhi tu
Rabbe ‘asa-i moosa bhi tu
Tu rubaru bhi aur hai kubaku

Tu rabb-e ‘eesa, Allahu akbar
Tu rabb-e maryam, Allahu akbar
Rabb-e sahaabah, Allahu akbar
Tu rabb-e panj-tan, Allahu akbar

Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauz-e nadaamat men dooba hua hoon

Ya raheem, Ya kareem (x2)

Kar de tu mujh ko qurbat aata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Dar-guzar kar de meri khata

Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat aata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Jaise Mile Ajnabee
Singer: Zeb Bangash
Lyricist: Bilal Sami
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Madras-Cafe/Ajnabi/JQwJazMGD3g
Video:
jaise mile ajnabee
hai meri duaa ki jab hum mile
tu dekhe mujhe mere dost ik baar yunhi jaise mile ajnabee
hum phir se chale tu phir se hanse
main phir se udu paaun nayi ik khushi jaise milein ajnabi
toh kya hua gar faasle darmiyan na pad gaye
iska kya gham thaam loon peeche gar main tujhe
tu mud ke mile phir ek ho hum jaise mile ajnabi

jaane kyun juda raaste huey jaane kab mile hum-tum phir
sooraj ke saahil se kirano ki naav mein nikli thi
main dhoondhne, kho gayi
ab toh milo ajnabi jaise mile ajnabi

dekho toh chali hai hawa nayi dil me phir jala woh diya kahin
khwabon ke jungle me pedo ki shaakho se
patte samete main hoon kayi ab toh milo ajnabi
hai meri duaa ki jab hum mile
tu dekhe mujhe mere dost ik baar yunhi jaise mile ajnabee
hum phir se chaley tu phir se hansey
main phir se udun paaun nayi ik khushi
jaise mile ajnabee jaise mile ajnabee
Sooha Saaha
Singer: Zeb, Alia Bhatt
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Irshad Kamil
Album: Highway
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Highway/Sooha-Saaha/FB8RUxdcX
mmmm hmmm...
mmmm hmmm...

(Zeb)
Main naani sooha saaha le jaana khoye ke
Meethi meethi kheti mein khelan ho..
Tota bole pedon pe, ped se, poodi se
Sooha saaha neendan mein okha na ho
Sangi saathi, hansu ne thaare ho na ho
Sooha saaha, amma ka..
Sooha saaha, amma ka..
SOOHA means Red & SAHA means Rabbit.

Raina... kaari kaari koylaan si raina
Neendi tola, tola si naina
Taaron ka bichhona.. chain se sona (x2)

Gota gota gudri mein ghoomega ghaamega
Sooha saaha main nani le jaana ho..

(Alia Bhatt)
Toota.. taara sa
Chota sa, taara sa..toota re..
Poochhe woh dekhun teri baari
Kyun na soye, kyun tu roye
Kyun tu khoye yun pardes mein ho..

Kyun tu rootha, kis-se rootha
Kya hai chhoota tera des mein ho..

Jo bhi hai rookha-sookha
Mann mein woh bolo toh
Kholo raahein baaton ki, baahein ho..

(Zeb)
Tota bole pedon pe, ped se, poodi se
Sooha saaha neendan mein okha na ho
Sangi saathi, hansu ne thaare ho na ho
Sooha saaha, amma ka..
Sooha saaha, amma ka..
Sooha saaha, amma ka..
Sooha saaha, amma ka..