Meri Sakhi  Bataa
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hungama/Meri-Sakhi-Bata/MkUxC
 meri sakhi bata kya batau
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri raat re
kya kahu piya are bhai kuch bhi kah do
kya kahu piya ankhiyo me kati meri sagri raat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri raat re
kya kahu piya ankhiyo me kati meri sagri raat re
meri sakhi bata
meri sakhi se hui takrar chhod gayi gharbar
meri sakhi se hui takrar chhod gayi gharbar
raat hui to yaad sakhi ki aayi barambar
raat hui to yaad sakhi ki aayi barambarr
man pachhtaya ji bhar aaya
man pachhtaya ji bhar aaya
mat pucho baat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata
mai bhor bhaye tak jagi mohe jara nind na lagi
mai bhor bhaye tak jagi mohe jara nind na lagi
mai soch soch ho gayi bawariya kahe sajan se bhagi
mai soch soch ho gayi bawariya kahe sajan se bhagi
mujhe ghadi ghadi kahe mora jiya
mujhe ghadi ghadi kahe mora jiya
teri papan jaat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata
Ek Nayee Kali Sasural Chali
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Eight-Days/Ek-Nai-Kali-Sasura
 ek nayi kali sasural chali
dubli si dulhan ban ke
dubli si dulhan ban ke
ek nayi kali sasural chali
dubli si dulhan ban ke
dubli si dulhan ban ke
bholi si ye bholi si ye 
bhool samjh gayi, pyar jan gayi
haar man gayi
preet jeet gayi
preet jeet gayi
preet jeet gayi re
bholi si ye bholi si ye
patali patali chanchal titali 
nikli hai ban than ke rangiya nikali 
nikli hai ban than ke
ek nayi kali sasural chali
dubli si dulhan ban ke
dubli si dulhan ban ke
ek chail chabila mast chala
dulhan ka sajan ban ke
dulhan ka sajan ban ke
dar dar firta pyar ka mara
aafat tal gayi kismat khul gayi
dulhan mil gayi re
duniya badal gayi
duniya badal gayi
duniya badal gayi re
dar dar firta pyar ka mara
pagdi bandhe talwar liye
baitha hai balam tan ke
baitha hai balam tan ke
ek chail chabila mast chala
dulhan ka sajan ban ke
dulhan ka sajan ban ke
dulha aage dulhan piche
dulha aage dulhan piche
sawariya lal chunar khiche
sawariya lal chunar khiche
dulha aage dulhan piche
sarmau na ghabrau na
sawariya tere man ke
sawariya tere man ke
sarmau na ghabrau na
sawariya tere man ke
sawariya tere man ke
ek nayi kali sasural chali
dubli si dulhan ban ke
dubli si dulhan ban ke
ham toh jani pyar karega
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Hum-To-Jani
 jo sine me naa dil hota, toh phir ham tum pe kyon marte
aan bolo naa
are jo sine me naa dil hota, toh phir ham tum pe kyon marte
mohabbat jaisa ghatiya kaam, karte bhi toh kyon karte
hay re hay re daacz gadi ke injan ki kasam
ham toh jani pyar karega, pyar karega, pyar
are are are are are diwane abe marega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
abhi hai jawa duniya kaa kuchh nahi hai maja chakkha
pyar nahi toh duniya me phir bolo kya hai rakkha
abhi hai jawa duniya kaa kuchh nahi hai maja chakkha
pyar nahi toh duniya me phir bolo kya hai rakkha
rok sako toh roko hamko 
rok sako toh roko hamko ham toh naina char karega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
dil se dil kaa sauda karne yeh hai aaya banda
maan bhi jao pyar se achchha nahi hai koyi dhandha
dil se dil kaa sauda karne yeh hai aaya banda
maan bhi jao pyar se achchha nahi hai koyi dhandha
jaan ki teree khair nahi hai, abe bhag jaldi
jaan ki teree khair nahi hai agar too takrar karega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
pehle toh dil phenk kabhi naa dekha aisa waisa
kabhi huwa hai aur naa hoga dekho mere jaisa
pehle toh dil phenk kabhi naa dekha aisa waisa
kabhi huwa hai aur naa hoga dekho mere jaisa
mano ya naa mano ham toh 
mano ya naa mano ham toh tumko gale kaa haar karega
nahi darega, nahi darega
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
ham toh jani pyar karega pyar karega pyar karega 
ham toh jani
hay hay hay hay re
phir wohi chand wohi hum
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Phir-Wohi-C
 phir wahi chand wahi ham wahi tanhayi hai
phir wahi chand wahi ham wahi tanhayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand wahi ham wahi tanhayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand
dur duniya se kahi bhigi huyi raato me
dur duniya se kahi bhigi huyi raato me 
do mohabbat bhare dil gum hain hasin baato me
do mohabbat bhare dil gum hain hasin baato me
dil me jo baat hai aankho me chali aayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand
yeh samundar kaa kinara, hai yeh khamoshi kaa sama
yeh samundar kaa kinara, hai yeh khamoshi kaa sama
yeh ik khab mohabbat kaa 
ik khab mohabbat kaa hai iss waqt jawan
naa koyi dar hai jamane kaa naa ruswayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand, wahi ham, wahi tanhayi hai
aaj phir dil ne mohabbat ki kasam khayi hai
phir wahi chand
daane daane pe likha hi
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Dane-Dane-P
 daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam 
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam 
koyi kitna amir ho yaa kitna garib
paaye utna hi jitna hai uska nasib 
koyi kitna amir ho yaa kitna garib
paaye utna hi jitna hai uska nasib 
aage maalik ke chalta nahi koyi daam
lene waale karod dene waala ek raam 
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam 
teri qismat ki likhi huyi hai kitaab
tere ek ek din kaa hai usme hisaab
teri qismat ki likhi huyi hai kitaab
tere ek ek din kaa hai usme hisaab
tere bas me naa subah hai naa teri shaam
lene waale karod dene waala ek raam 
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam 
kabhi garmi ki mauj kabhi baarish kaa rang
aise chakkar ko dekh saari duniyaa hai dang 
kabhi garmi ki mauj kabhi baarish kaa rang
aise chakkar ko dekh saari duniyaa hai dang
chaand suraj zamin sab uske gulaam
lene waale karod dene waala ek raam 
daane daane pe likha hai khaane waale kaa naam
lene waale karod dene waala ek raam 
lene waale karod dene waala ek raam
kehte hain pyar kisko 
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Amar-Deep-Baarish/Kahte-Hai-P
 kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de 
o bejuban sikha de 
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de 
o bejuban sikha de 
mushkil hai iss jahan me aajadiyo se rehna 
mushkil hai iss jahan me aajadiyo se rehna 
jo baat dil me aaye usko juban se kehna 
jo baat dil me aaye usko juban se kehna 
aajad too hai jaisa waisa hame bana de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de 
o bejuban sikha de 
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de 
o bejuban sikha de 
nafrat ki wadiyo se ho dur ek basera
shame jahan suhani rangin ho sawera
nafrat ki wadiyo se ho dur ek basera
shame jahan suhani rangin ho sawera
woh kaun si hai duniya rasta jara dikha de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de 
o bejuban sikha de 
kehte hain pyar kisko panchhi jara bata de
udna khuli hawa me o bejuban sikha de 
o bejuban sikha de
hasino se mohabbat kaa
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Haseenon-Se-Muhabbat-K
 ho hasino se mohabbat kaa
aah hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain 
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain 
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
ho kabhi kajal kee farmaish kabhi powder kee farmaish
kabhi circus kee jidd hain aur kabhi theater kee farmaish
nikalwati hain diwala aji dilbar kee farmaish
kachheri aur thane me bahut hee nam hota hain 
kachheri aur thane me bahut hee nam hota hain 
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain 
hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
ho takke ho jeb me toh takke ho jeb me toh 
husnwale dil lagate hain
gale me dalkar bahen badi ulfat jatate hain 
agar aasheek ho kadka toh dur se rasta dikhate hain
ho jiska bank me khata wahi gulfam hota hain 
meri jan pyar me ghar bar bhi nilam hota hain
hasino se mohabbat kaa bura anjam hota hain
deewana ye parwana 
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Diwana-Parwana/N1sgQQx
 deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aaye
jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aaye
jalne ke dhang nirale samjhe kya duniya wale
ishq tera afasana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye 
parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye
yaad mein parwane ki subah tak jaan jalaye
ho khel nahi dil ka lagana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
jalne jalane mein kahani hain pyar ki
mitne mitaane mein jawani hain pyar ki
pyar mein marna ho jeene ka bahana
shamma pe aaya leke dil ka nazarana
ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana 
ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
dhire se aaja ri ankhiyan me
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Dheere-Se-Aaja-Ri-Ankh
 dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
chupke se nainan ki bagiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
o lekar suhane sapno ki kaliya 
sapno ki kaliya 
lekar suhane sapno ki kaliya 
aake basa de palkon ki galiya 
palko ki chhoti si galiyan me 
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
o jagti hai ankhiya soti hai kismat
jagti hai ankhiya soti hai kismat
dushman garibo ki 
hoti hai kismat, soti hai kismat
dam bhar garibo ki kutiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
ho ankhen to sabki hain ek jaisi
ankhen to sabki hain ek jaisi
jaisi amiro ki, garibo ki waisi
garibo ki waisi
kismat ke maaru ki ankhiyan me 
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja
kabhi kaali ratiyaa 
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Qismat-Ki-Hawa-Kabhi-N
 kabhi kaali ratiyaa 
kabhi din suhaane
kismat ki baate to 
kismat hi jaane, o betaa ji 
o betaa ji, are o baabu ji 
kismat ki hava 
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam, o betaa ji
kismat ki hava 
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam, o betaa ji
bade akad se betaa nikale 
ghar se actor hone
vaah ri kismat, vaah ri kismat 
kismat me the 
likhe baratan dhone 
are bhai likhe baratan dhone 
o betaa ji 
jine ka mazaa 
kabhi naram kabhi garam 
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam 
o betaa ji, are o baabu ji 
kismat ki hava 
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam, o betaa ji   
duniyaa ke is chidiyaa ghar me 
tarah tarah kaa jalavaa
mile kisi ko sukhi roti 
kisi ko puri halavaa
are bhai kisi ko puri halavaa 
o betaa ji 
khichadi ka mazaa 
kabhi naram kabhi garam   
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam 
o betaa ji, are o baabu ji 
kismat ki hava 
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam, o betaa ji   
dard diyaa to thodaa thodaa 
khushi bhi thodi thodi
vaah re maalik, vaah re maalik 
duhkh aur sukh ki 
khub banaayi jodi 
are vaah khub banaayi jodi
o betaa ji 
jivan ka nashaa 
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam 
o betaa ji, are o baabu ji 
kismat ki hava 
kabhi naram kabhi garam
kabhi naram naram
kabhi garam garam 
kabhi naram garam 
naram garam, o betaa ji
sham dhale khidki tale
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Sham-Dhale-Khidki-Tale
 sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod  do
tum siti bajana chhod  do ghadi-ghadi khidki me khadi 
tum teer chalana chhod  do tum teer chalana chhod  do
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod  do
tum teer chalana chhod  do
roz-roz tum meri gali me chakkar kyo ho katte
aji chakkar kyo ho katte sachi sachi bat kahu mai
sachi sachi bat kahu mai aji tumhare vaste tumhare vaste
jao jao hosh me aao yu aana jana chhod  do 
yu aana jana chhod  do sham dhale khidki tale 
tum siti bajana chhod  do tum teer chalana chhod  do
mujhse tumhe kya matlab hai ye bat zara batlao 
mujhse tumhe kya matlab hai ye bat zara batlao 
bat fakat itani si hai ki tum meri ho jao
ao ao tum meri ho jao aisi bate apne dil me
sahib tum lana chhod  do sahib tum lana chhod  do
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod  do
tum teer chalana chhod  do
char mahine mehanat ki hai aji rang kabhi to layegi
jao-jao ji yahan tumhari dal kabhi galne na payegi
aji dal kabhi galne na payegi dilwalo matvalo par 
tum raub jamana chhod  do tum raub jamana chhod  do 
sham dhale khidki tale tum siti bajana chhod  do
tum teer chalana chhod  do
bholi surat dil ke khote
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Bholi-Surat-Dil-Ke-Kho
 bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
naye zamaane ke ye chhaila, ujle kapde dil hai maila
rang birangi inki tie, ghar mein lekin kadki chaayi
kadki chaayi, kadki chaayi, kadki chaayi
rang birangi inki tie, ghar mein lekin kadki chaayi
fashion mein dil mote mote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
naye zamaane ki ye naari
unchi sendal baaki saadi
naino mein kajra hotho pe laali
haath mein kangan kaan mein baali, kaan mein baali
naino mein kajra hotho pe laali 
nakhre bade mote mote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
husn aur ishq ki ye ladayi
suru se jag mein hoti aayi
na koi jeete na koi haare
ajee kyun na phir mil jaaye pyaare
na tum bade na hum chhote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
bholi surat dil ke khote
naam bade aur darshan chhote, darshan chhote
shola jo bhadke dil mera dhadke
 Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Albela/Shola-Jo-Bhadke/OwQKVS
 shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
mehki havaye behke kadam mere
aise me tham lo aa ke balam mere
mehki havaye behke kadam mere
aise me tham lo aa ke balam mere
patta bhi khadke to bijli si kadke 
patta bhi khadke to bijli si kadke 
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
pyar ko mere kisne pukara
dil me utar gaya kiska ishara
pyar ko mere kisne pukara
dil me utar gaya kiska ishara
yaad ye kiski layi pakad ke
yaad ye kiski layi pakad ke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
aaaa dekha jo tumko 
dekha jo tumko dard gaya tham
ab to na honge tumse juda ham
dekha jo tumko dard gaya tham
ab to na honge tumse juda ham
ji na sakenge tumse bichhad ke
ji na sakenge tumse bichhad ke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke
shola jo bhadke dil mera dhadke
shola jo bhadke dil mera dhadke
dard jawani ka sataye badh-badh ke