People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Arre Kya Kiya Tune
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hungama/Are-Yeh-Kya-Kiya-Tune
tere dar se khushi mangi
magar gum de diya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune
tere dar se khushi mangi
magar gum de diya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune

tere kadmo se kitna pyar
karti hai meri galiya, meri galiya
bhula kar tod na dena
kahi tum aas ki kaliya
kahi tum aas ki kaliya
kasam hai jaan de denge
agar aisa kiya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune

tujhe ye kya khabar tujhse
mujhe kitni mohabbat hai
mohabbat me mujhe tujhse
bas itni si shikayat hai
rulane ke liye jalim
mera dil kyu liya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune

milega kya tujhe ulfat bhare
is dil ko thukra kar
tadpate jayenge hum to
agar tu khush hai tadpa kar
agar tu khush hai tadpa kar
jo tera hai usi dil par
sitam kyu kar diya tune
are ye kya kiya tune
are ye kya kiya tune
Meri Sakhi Bataa
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hungama/Meri-Sakhi-Bata/MkUxC
meri sakhi bata kya batau
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri raat re
kya kahu piya are bhai kuch bhi kah do
kya kahu piya ankhiyo me kati meri sagri raat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri raat re
kya kahu piya ankhiyo me kati meri sagri raat re
meri sakhi bata

meri sakhi se hui takrar chhod gayi gharbar
meri sakhi se hui takrar chhod gayi gharbar
raat hui to yaad sakhi ki aayi barambar
raat hui to yaad sakhi ki aayi barambarr
man pachhtaya ji bhar aaya
man pachhtaya ji bhar aaya
mat pucho baat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata

mai bhor bhaye tak jagi mohe jara nind na lagi
mai bhor bhaye tak jagi mohe jara nind na lagi
mai soch soch ho gayi bawariya kahe sajan se bhagi
mai soch soch ho gayi bawariya kahe sajan se bhagi
mujhe ghadi ghadi kahe mora jiya
mujhe ghadi ghadi kahe mora jiya
teri papan jaat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata teri pi bin kaisi gujri rat re
kya kahu piya ankhiyo me kati sagri rat re
meri sakhi bata