People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Mohabbat Bhi Jhuti
Singer: Mukesh
Lyricist: Pt. Phani
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/album/hindi/Hamari-Beti-1950/N-vsUzzXvjk
mohabbat bhi jhuthi zamana bhi jhutha
mohabbat ka hai ye fasana bhi jhutha
ye fasana bhi jhutha

adaye bhi jhuthi wafaye bhi jhuthi
adaye bhi jhuthi adaye bhi jhuthi
wafaye bhi jhuthi ye sab ruth jana
manana bhi jhutha mohabbat bhi jhuthi
zamana bhi jhutha mohabbat ka hai ye
fasana bhi jhutha ye fasana bhi jhutha

kaha ka ye dil aur kaisi mohabbat
are dil ka aana bhi jana bhi jhutha
mohabbat bhi jhuthi zamana bhi jhutha
mohabbat ka hai ye fasana bhi jhutha
ye fasana bhi jhutha

juda hona milna hai iska barabar
juda hona milna hai iska barabar
ye rona bhi jhutha hasana bhi jhutha
mohabbat bhi jhuthi zamana bhi jhutha
mohabbat ka hai ye fasana bhi jhutha
ye fasana bhi jhutha
Kya Khabar Thi
Singer: Mubarak Begum
Lyricist: Pt. Phani
Album: Rishta(1954)
Tag: Hindi
Video:
kya khabar thi yu tamanna khak me mil jayegi
kya khabar thi yu tamanna khak me mil jayegi
hum to samjhe the mohabbat raas hamko aayegi
hum to samjhe the mohabbat raas hamko aayegi

ashk aankho me machal kar
kah rahe hai baar baar
dil ki dhadkan dard bankar har ghadi tadpayegi
kya khabar thi yu tamanna khak me mil jayegi

gum se dhokha koi na hoga is jaha me gum gujar
gum se dhokha koi na hoga is jaha me gum gujar
jindagi ko har kadam par maut bhi thukrayegi
raat rone me kategi din katega yaad me
raat rone me kategi din katega yaad me
ye judai bewafai umar bhar tadpayegi
kya khabar thi yu tamanna khak me mil jayegi
Sajan Se Pehli Baar
Lyricist: Pt. Phani
Album: Rishta(1954)
Tag: Hindi
Video:
sajan se pahli baar hum kaise bole haye
hame aapse pyar
sajan se pahli baar hum kaise bole haye
hame aapse pyar

laz ki mari aankh hamari ghunghat me chup jaye
laz ki mari aankh hamari ghunghat me chup jaye
baat na man ki muh par aaye man kitna samjhaye
par khule na muh ke dwar, hame aapse pyar
sajan se pahli baar hum kaise bole haye
hame aapse pyar

jis aasha ke hum bukhe hai jis bhasha ke pyase
jis aasha ke hum bukhe hai jis bhasha ke pyase
wo sajan ki aankho me bole, usme lakh dilashe
par hame laz ki mar, hame aapse pyar
sajan se pahli baar hum kaise bole haye
hame aapse pyar
sajan se pahli baar hum kaise bole haye
hame aapse pyar
Wohi Chandini Hai
Singer: Talat Mahmood
Lyricist: Pt. Phani
Album: Rishta(1954)
Tag: Hindi
Video:
vahi chaandani hai vahi aasmaan hai
bahaare vahi aur vahi gulsitaan hai
vahi chaandani hai vahi aasmaan hai
bahaare vahi aur vahi gulsitaan hai
magar jis se roshan ye dil kaa jahaan hai
chhupaa chaand jaa kar vo mera kahaan hai
vahi chaandani hai vahi aasmaan hai
bahaare vahi aur vahi gulsitaan hai

vahi dil vahi mai muhabbat bhi vo hi
nigaaho me ab tak hai surat bhi vo hi
magar na vo mahfil na vo dastaan hai
magar na vo mahfil na vo dastaan hai
na vo dastaan hai
vahi chaandani hai vahi aasmaan hai
bahaare vahi aur vahi gulsitaan hai

mahakti hai kaliyaan to chubhte hai kaante
sisakate hai guche to lagate hai chaante
magar dekhtaa kaun ye maharbaan hai
magar dekhtaa kaun ye maharbaan hai
ye maharbaan hai
vahi chaandani hai vahi aasmaan hai
bahaare vahi aur vahi gulsitaan hai
Bedard Zamane Se
Lyricist: Pt. Phani
Album: Rishta(1954)
Tag: Hindi
Video:
bedard jamane se shikwa na shikayat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se

bhigi hui palko me choti si kahani hai
bhigi hui palko me choti si kahani hai
ek dard ki duniya hai kahne ko jawani hai
sajan se juda hokar ye ruthi hui ulfat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se

aankhe bhi tarasti hai arman bhi machalte hai
aankhe bhi tarasti hai arman bhi machalte hai
ye dil bhi dhadkta hai aansu bhi nikalte hai
marna bhi nahi bas me marne ki si halat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se shikwa na shikayat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se
Dukhiyari Dukhiyari Naari
Singer: S.D. Batish
Lyricist: Pt. Phani
Album: Rishta(1954)
Tag: Hindi
Video:
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki

maat pita ne jan ke mai gin ke badi mushkil te pali
likha patha di talim baap ne pher shadi ki sa li
jun ke kaman bula brahaman meri vedi rachana li
nava java barat bula ke sajan ke ghar ghali
diya dan aur kara man diya dan aur kara man
kuchh kami nahi thi dhan ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki

deke baith mahal mein gai bahal mein liye charan chitkar
sas nanad se ladi bhidi na hardam ta vedar
pavan pati tae na boli chali na na hoi takrar
kuchh din andar dera mera kara shahar te baar
diya jo khana aag udana diya jo khana aag udana
ya kaar raat aur din ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki

gaye bhag jag mujh rinbhagan ke sudh le li bhagvan
kar pati ke darshan ho gai prashan aai jaan mein jaan
nahai dhoi kari rasoi mane taar liye pakvan
pati ko khila dil bahla ke pher kiya tha jal paan
the chhatri ko amar the tino the chhatri ko amar the tino
yom kari dhiran ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki

sas meri ne julm kare mai ghar tar tai taahi
gai pihar na raya sir dhora dhargi maai
ib had ho li ya patoli mane
man khan ki ya rahi prabhu kasht mita meri jaan nai
bahut ghadi dukh pai jat mahar si chhand band karke
jat mahar sih chhand band karke ib rat le mala krishn ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki
main dukhiyari nari su rishi ke bujoge man ki
har ne vipda geri sai kar rakhi tan ki