bedard jamane se shikwa na shikayat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se
bhigi hui palko me choti si kahani hai
bhigi hui palko me choti si kahani hai
ek dard ki duniya hai kahne ko jawani hai
sajan se juda hokar ye ruthi hui ulfat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se
aankhe bhi tarasti hai arman bhi machalte hai
aankhe bhi tarasti hai arman bhi machalte hai
ye dil bhi dhadkta hai aansu bhi nikalte hai
marna bhi nahi bas me marne ki si halat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se shikwa na shikayat hai
ham dard se maro ki kismat hai ye kismat hai
bedard jamane se