khaamosh hai zamaanaa, chup-chaap hain sitaare
aaraam se hai duniyaa, bekal hain dil ke maare
aise mein koyi aahat, is tarah aa rahi hai
jaise ki chal rahaa hai, man mein koyi hamaare
yaa dil dhadak rahaa hai, ik aas ke sahaare
deepak bagair kaise, parwaane jal rahe hain
deepak bagair kaise, parwaane jal rahe hain
koyi nahin chalaataa, aur teer chal rahe hain
koyi nahin chalaataa, aur teer chal rahe hain
tadpegaa koyi kab tak, be-aas be-sahaare
tadpegaa koyi kab tak, be-aas be-sahaare
lekin ye kah rahe hain, dil ke mere ishaare
aayegaa, aayegaa, aayegaa, aayegaa aanewaalaa,
aayegaa aayegaa, aayegaa
bhatki huyi jawaani, manzil ko dhoondhti hai
bhatki huyi jawaani, manzil ko dhoondhti hai
maajhi bagair nayyaa, saahil ko dhoondhti hai
maajhi bagair nayyaa, saahil ko dhoondhti hai
kyaa jaane dil ki kashti, kab tak lage kinaare
kyaa jaane dil ki kashti, kab tak lage kinaare
lekin ye kah rahe hain, dil ke mere ishaare
mushkil hai
mushkil hai bahut mushkil chaahat ka bhula dena
chaahat ka bhula dena
aasan nahi dil ki ye aag bujha dena
ye aag bujha dena
ye khel nahi lekin ye khel hai ulfat ka
ye khel nahi lekin ye khel hai ulfat ka
roto ko hansa dena hansato ko rula dena
hansato ko rulaa dena
mushkil hai bahut mushkil
dilavalo ki duniya me hai rasm ke jab koi
dilavalo ki duniya me hai rasm ke jab koi
aae to
aae to qadam lena, jaae to duva dena
mushkil hai bahut mushkil
ulajhan hai bahut phir bhi ham tum ko na bhulege
tum ko naa bhulege
ulajhan hai bahut phir bhi ham tum ko na bhulege
tum ko naa bhulege
mumakin to nahi lekin tum ham ko bhula dena
tum ham ko bhula dena
mushkil hai bahut mushkil chaahat ka bhula dena
chaahat ka bhula dena
mushkil hai bahut mushkil
ghabara ke jo ham sar ko takaraae to achchha ho
ghabara ke jo ham sar ko takaraae to achchha ho
is jine me sau dukh hai is jine me sau dukh hai
mar jaae to achchha ho mar jaae to achchha ho
dil dubane ka mazar vo bhi to zara dekhe
dil dubane ka mazar vo bhi to zara dekhe
aansu meri aankho me bhar aae to achchha ho
aansu meri aankho me bhar aae to achchha ho
ghabara ke jo ham sar ko takaraae to achchha ho
jo ham pe guzarani hai ik baar guzar jaae
jo ham pe guzarani hai ik baar guzar jaae
vo kitane sitamagar hai vo kitane sitamagar hai
khul jaae to achchha ho
ghabara ke jo ham sar ko takaraae to achchha ho
ek tir chala, dil pe lagaa, haae mera dil, haae mera dil
ek thes lagi, aisi lagi, tut gaya dil, haae mera dil
haae mera dil, haae mera dil, haae mera dil
ai aansuo aao, jalane se bachaao
ai aansuo aao, jalane se bachaao
thi sine me muhabbat ki lagi aag, jala dil
thi sine me muhabbat ki lagi aag, jala dil
haae mera dil, haae mera dil, haae mera dil
mushkil tha bachana, aisa tha nishana
chaha to bahut dil ko bachana, na bacha dil
chaha to bahut dil ko bachana, na bacha dil
haae mera dil, haae mera dil, haae mera dil
ki maine jo fariyaad, kis ne kiya barabad
kis ne kiya barabad
dil ne kaha nazaro ne, to nazaro ne kaha dil
dil ne kaha nazaro ne, to nazaro ne kaha dil
haae mera dil, haae mera dil, ha mera dil
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
bewafa laut bhi aa, bewafa laut bhi aa
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
dil me phir huk utthi, dil ka phir khun hua
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
maine ek khwab sa dekha tha jo, pura na hua
mujhko duniya se shikayat, hain na kismat se gila
aasra deke, mohabbat ne mujhe lut liya
aasra deke, mohabbat ne mujhe lut liya
bewafa laut bhi aa
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
hai kya jal gaya sine se jo uthta hain dhuan
darr hain iss aag me jal jaye na ulfat ka nasha
ruthane wale, mohabbat ko musibat na bana
ruthane wale, mohabbat ko musibat na bana
bewafa laut bhi aa
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
dil me phir huk utthi, dil ka phir khun hua
dil me phir huk utthi, dil ka phir khun hua
dil ne phir yad kiya, bewafa laut bhi aa
bewafa laut bhi aa
mai woh hasin hu, labo pe jo aane se reh gai
mai woh shama hu, jo kabhi roshan nahi hui
mai woh umang nikali, jo dil se na ek bar
mai woh khushi, ke gam ne jise kar liya shikar
mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar
mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar
mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar
mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar
mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar
ghar jal gaya toh, aag bujhane se fayda
ghar jal gaya toh, aag bujhane se fayda
usame wafa ko, abb yeh jatane se fayda
jatane se fayda
par mere dil ka chain, meraa dil hai bekarar
mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar
mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar
kashti bhatak rahi hai, kinara nahi koi
kashti bhatak rahi hai, kinara nahi koi
majbur jindagi ka, sahara nahi koi
sahara nahi koi
marne ka intejar hain, marne ka intejar
mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar
mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar
mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar
mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar
chhun chhun ghungharva, baaje chhun
kaha hai dhyaan kiski dhun, nazar mila ke baat sun
ye raat phir na aayeygi, ye raat phir na aayeygi
javaani bit jaayeygi, javaani bit jaayeygi
ye raat phir na aayeygi
javaani bit jaayeygi, javaani bit jaayeygi
ye mast raat be piye, nashe me jhumati huyi
ye mast raat be piye, nashe me jhumati huyi
nazar ko chhedti huyi, dilo ko chumati huyi
nazar ko chhedti huyi, dilo ko chumati huyi
yu hi guzar gayi agar, khatak rahegi umr bhar
hazaar chaahoge magar, chaahoge magar
ye raat phir na aayeygi, ye raat phir na aayeygi
javaani bit jaayeygi, javaani bit jaayeygi
ye raat phir na aayeygi
javaani bit jaayeygi, javaani bit jaayeygi
javaani ga rahi hai dil ki dhadkano ke saaz par
javaani ga rahi hai dil ki dhadkano ke saaz par
chalo kahi bhi le chalo hamara haath thaam kar
chalo kahi bhi le chalo hamara haath thaam kar
kaha ki fikr, kaisa gam
hamara jo hai uske ham, tumhari jaan ki qasam
ye raat phir na aayeygi, ye raat phir na aayeygi
javaani bit jaayeygi, javaani bit jaayeygi
ye raat phir na aayeygi
javaani bit jaayeygi, javaani bit jaayeygi
dil tamasha ho magar duniya tamashaai na ho
dil tamasha ho magar duniya tamashaai na ho
mujhe pe jo gujre to gujre
mujhe pe jo gujre to gujre
unki ruswaai na ho, dil tamasha ho
haay ulfat me kaise
waqt ki majburiyaan
haay ulfat me kaise
waqt ki majburiyaan
jab ke dil rone ko chaahe
jab ke dil rone ko chaahe
aur tanhaai na ho
dil tamasha ho
japt karne se mohabbat me
ghuta jata hai dam
japt karne se mohabbat me
ghuta jata hai dam
aah is dar se nahi karte ki ruswaai na ho
dil tamasha ho magar duniya tamashaai na ho
dil tamasha ho
tumhe maine chaha badi chot khayi
tumhe maine chaha badi chot khayi badi chot khayi
mohabbat ne kya meri halat banai
tumhe maine chaha badi chot khayi
kaha aa gaya mai kaha re kaha
na apni khabar hai re na khud hai parai
tumhe maine chaha badi chot khayi
akele me koi sahara to hota
mera dubta ji ubhara to hota
tumhe dhundte dhundte kho gaya
mai kaha hu kahi se pukara to hota
kahi se tumhari na aawaz aayi
tumhe maine chaha badi chot khayi
yahi hai yahi kya mohabbat ki rashme
na tum mere bas me na dil mere bas me
kisi tarha ae kash mai bhul jau
adao ke wade nigaho ki kasme
wo wade wo kasme magar bewafai
tumhe maine chaha badi chot khayi
mohabbat ke rangi manjar dikha kar
nazar chhin li mujhse nazre churakar
mujhe kahe ko tumne dokhe me rakha
na mere bane mujhko apna bana kar
mita kar mujhe apni duniya basai
tumhe maine chaha badi chot khayi
mohabbat ne kya meri halat banai
tumhe maine chaha badi chot khayi
sahara koi mil jata
to hum kab ke sambhal jate
sahara koi mil jata
to hum kab ke sambhal jate
ke jis sanche me dil kahta
usi sanche me dhal jate
ke jis sanche me dil kahta
usi sanche me dhal jate
sahara koi mil jata
barabar dono jaanib aag lagti hai mohabbat me idhar se bhi udhar pahle
sulgati hai mohabbat me
idhar se bhi udhar pahle
sulgati hai mohabbat me
na jati shma mehfil me
to kya parwane jal jate
na jaati shma mehfil me
to kya parwane jal jate
sahara koi mil jata
to hum kab ke sambhal jate
ke jis sanche me dil kahta
usi sanche me dhal jate
sahara koi mil jata
kisi se aankho aankho me koi iqrar ho jata
mohabbat ka agar bharpur dil par waar ho jata
to dil ke sath shayd
dil ke arman bhi nikal jate
to dil ke saath shayd
dil ke arman bhi nikal jate
sahara koi mil jata
to hum kab ke sambhal jate
ke jis sanche me dil kahata
usi sanche me dhal jaate
sahara koi mil jata
ho o
jadu bhare naina
jadu bhare naina tihare balam
jadu bhare naina tihare balam
tore sar ki kasam jadu daar gaye
ha ha
tore sar ki kasam jadu daar gaye
haye hume maar gaye
o hume maar gaye
jadu bhare naina
bholi bhali najar gayi dil me utar
bholi bhali najar gayi dil me utar
hua wo hi ki jiska tha pahle se dar
chupke chupke, chupke chupke
idhar lut gayi zindagi
idhar lut gayi zindagi
aur udhar bekhabar hi raha bekhabar
banki tirchi najariya ke teer
gaye manva ko chir
karejwa ke paar gaye
haye haye ram
karejwa ke paar gaye
haye re hume maar gaye
ho hume maar gaye
jadu bhare naina
pyari pyari ada le gayi dil chura
pyari pyari ada le gayi dil chura
kaisa aankho hi aankho me jadu kiya
chori chori, chori chori
huyi sari rasme ada
huyi sari rasme ada
dil ki baji me dil par na kabu raha
dekho dekho mohabbat ki rit
gaye duniya se jeet
sajanva se haar gaye
haye haye ram
sajanva se haar gaye
haye re hume maar gaye
ho hume maar gaye
jadu bhare naina
abhi tak hai ye raaz
jeena bas jeena
mohabbat me mushkil hai
marna ke jeena
mohababt me jeena hai, tufa me jeena
machalte hai armaa, dhadakta hai seena
mohababt me jeena hai, tufa me jeena
machalte hai armaa, dhadakta hai seena
najar se najar, dil se dil mil raha hai
najar se najar, dil se dil mil raha hai
magar sharm se aa raha hai pasina
mohababt me jeena hai, tufa me jeena
machalte hai armaa, dhadakta hai seena
sharaab-e-mohabbat chhalakne na paaye
sharaab-e-mohabbat chhalakne na paaye
najar se pilana, nigaaho se peena
mohababt me jeena hai, tufa me jeena
machalte hai armaa, dhadakta hai seena
sambhal kar chalo humse bach jaane waale, bach jaane waale
sambhal kar chalo humse bach jaane waale, bach jaane waale
kinaare pe bhi dubta hai safina
mohababt me jeena hai, tufa me jeena
machalte hai armaa, dhadakta hai seena
mohabbat ga rahi hai
har taraf bajti hai shahnaai
mere dil ki tamnna
aap ke hontho pe kyu aai
sajanva fir to kaho ek baar
balamva fir to kaho ek baar
sajanva dil ko hai dil se pyaar
tumhare mai nisaar
sajanva fir to kaho ek baar
balamva fir to kaho ek baar
sajanva dil ko hai dil se pyaar
chubh gayi dil me baate tumhari
dil to gaya ab ja ki hai baari
dil to gaya ab ja ki hai baari
jaan bhi denge vaar
sajanva fir to kaho ek baar
balamva fir to kaho ek baar
sajanva dil ko hai dil se pyaar
ab na uthenge is mahfil se
humne to wada kar diya dil se
humne to wada kar diya dil se
tum bhi karo ikraar
sajanva fir to kaho ek baar
balamva fir to kaho ek baar
sajanva dil ko hai dil se pyaar
tumhare mai nisaar
sajanva fir to kaho ek baar
balamva fir to kaho ek baar
sajanva dil ko hai dil se pyaar
preet ki reet nibhana hume na bhulana
kasam tohe ram ji ki
dil ko na thes lagana nahi tadpana
kasam tohe ram ji ki
dil ki baate dil pahchane
aur koi pahchane na
dil ki baate dil pahchane
aur koi pahchane na
tori mori pyar ki ghaate
duniya wale jane na
ha duniya wale jane na
preet ki reet nibhana hume na bhulana
kasam tohe ram ji ki
aisa na karna kahin
jaan ke pad jaye laale
aisa na karna kahin
jaan ke pad jaye laale
dekho ji humse pyari najre milane wale
najre milane wale
preet ki reet nibhana hume na bhulana
kasam tohe ram ji ki
dil ko na thes lagana nahi tadpana
kasam tohe ram ji ki
birha ki sadme sahne ko
main kiska kaleja laungi
birha ki sadme sahne ko
main kiska kaleja laungi
sakhiya mori jab taane dengi
main to mar mar jaungi
ha main to mar mar jaungi
preet ki reet nibhana hume na bhulana
kasam tohe ram ji ki
dil ko na thes lagana nahi tadpana
kasam tohe ram ji ki
rangrejva sambhal kar rangiyo re chunriya resham ki
ho chunriya resham ki ho chunriya resham ki
rangrejva sambhal kar rangiyo re chunriya resham ki
ho chunriya resham ki ho chunriya resham ki
ho aise rang mein na rang de saiyan rang badal nahi jaye
aise rang mein na rang de saiyan rang badal nahi jaye
ho najuk najuk taar chunariya dekho masal nahi jaye
rangrejva sambhal kar rangiyo re chunriya resham ki
ho chunriya resham ki ho chunriya resham ki
ho jaan se pyari unki nishani janam janam ka sath
ho saiyan janam janam ka sath
ho dhadke mera dil kahi na bigde bani banai baat
rangrejva sambhal kar rangiyo re chunriya resham ki
ho chunriya resham ki ho chunriya resham ki
ho pyar ke rang mein rang ke duaa kar aaye chunriya raat
pyar ke rang mein rang ke duaa kar aaye chunriya raat
ho rang ho gahara rup sunhara dhimi dhimi baat
rangrejva sambhal kar rangiyo re chunriya resham ki
ho chunriya resham ki ho chunriya resham ki
rangrejva ho ho re
rangrejva sambhal kar rangiyo re chunriya resham ki
ho chunriya resham ki ho chunriya resham ki
sahaara koi mil jaata to ham kab ke sambhal jaate
sahaara koi mil jaata to ham kab ke sambhal jaate
ke jis saanche mein dil kahta usi saanche mein dhal jaate
ke jis saanche mein dil kahta usi saanche mein dhal jaate
sahaara koi mil jaata
barabar dono jaanib aag lagti hai mohabbat mein
idhar se bhi udhar pahle sulagti hai mohabbat mein
idhar se bhi udhar pahle sulagti hai mohabbat mein
na jalti shamma mahfil mein to kya parwaane jal jaate
na jalti shamma mahfil mein to kya parwaane jal jaate
sahaara koi mil jaata to ham kab ke sambhal jaate
ke jis saanche mein dil kahta usi saanche mein dhal jaate
sahaara koi mil jaata
kisi se aankhon aankhon mein koi ikraar ho jaata
mohabbat kaa agar bharpur dil par waar ho jaata
mohabbat kaa agar bharpur dil par waar ho jaata
to dil ke saath shayad dil ke armaan bhi nikal jaate
to dil ke saath shayad dil ke armaan bhi nikal jaate
sahaara koi mil jaata to ham kab ke sambhal jaate
ke jis saanche mein dil kahta usi saanche mein dhal jaate
sahaara koi mil jaata