mai woh hasin hu, labo pe jo aane se reh gai
mai woh shama hu, jo kabhi roshan nahi hui
mai woh umang nikali, jo dil se na ek bar
mai woh khushi, ke gam ne jise kar liya shikar
mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar
mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar

ghar jal gaya toh, aag bujhane se fayda
ghar jal gaya toh, aag bujhane se fayda
usame wafa ko, abb yeh jatane se fayda
jatane se fayda
par mere dil ka chain, meraa dil hai bekarar
mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar

kashti bhatak rahi hai, kinara nahi koi
kashti bhatak rahi hai, kinara nahi koi
majbur jindagi ka, sahara nahi koi
sahara nahi koi
marne ka intejar hain, marne ka intejar