roshan har dil huwa har dil ko khushiya mil gayi
khoyi thi abb tak jo duniya woh duniya mil gayi
gulshan har dil bana har dil mein kaliya khil gayi
khoyi thi abb tak jo duniya woh duniya mil gayi
har lamha keh raha hai kya abb tu sochta hai
ja jile yeh jindagi
teri aankhon mein kal jo kacche se khwaab the
palkon pe saj rahe the jo kal ke waaste
tujhko gar ab mil jaaye tukde wo khwaab ke
unko saja tu phir se aankhon mein pyaar se
dil jab khushi se jina chahta hai
ab wo din ab wo pal aaya hai
raahon mein phul hai bikhre hue har kahi
har dil hai aashana aashana har jindagi
roshan har dil hua har dil ko khushiya mil gayi
khoyi thi abb tak jo duniya woh duniya mil gayi
guzre na jindagi yeh ab bina pyaar ke
jine ki yeh wajah hai itna tu jaan le
khushiya jo de tujhko tu wo daaman thaam le
uske saaye mein ji le jo dil se pyaar de
gum jab hansi mein khona chahta hai
ab wo din ab wo pal aaya hai
duniya jo dur thi kadmon pe sajda kar gayi
lagta hai jindagi ko jindagi abb mil gayi
roshan har dil huwa har dil ko khushiya mil gayi
khoyi thi ab tak jo duniya wo duniya mil gayi
har lamha keh raha hai kya ab tu sochta hai
ja ji le yeh jindagi
khuda ko dikh raha hoga na dil tujhse judaa hoga
teri taqdeer me mujhko wo ab do likh raha hoga
khuda ko dikh raha hoga na dil tujhse judaa hoga
teri taqdeer me mujhko wo ab do likh raha hoga
tera hi bas hona chahu tere dard me rona chahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
tera hi bas hona chahu tere dard me rona chahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
kar le kabul khudaya mere sajde
ab to naseeb me kuch likh de
ho kar le kabul khudaya mere sajde
ab to naseeb me kuch likh de
tu phir na soya hoga shayad phir roya hoga
tu phir na soya hoga shayad phir roya hoga
aasu meri palkon pe yun hi na aaya hoga
dena mujhko aawaze ya sunn meri fariyade
ghere hai mujhko yaade, bin tere
tujhe hi bas pana chahu khud ko mai khona chaahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
tera hi bas hona chahu tere dard me rona chahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
khuda ko dikh raha hoga na dil tujhse juda hoga
teri taqdeer me mujhko wo ab do likh raha hoga
dil ne ibadat ki hai teri bas chahat ki hai
dil ne ibadat ki hai teri bas chahat ki hai
likh aaya arziyo me tujh bin jeena nahi hai
mujh me ab mai kaha hun tujh me rahne laga hun
main to bas jee raha hu, bin mere
tujhe khwaab me dikhna chahu teri sans me khona chahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
tera hi bas hona chahu tere dard me rona chahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
tera hi bas hona chahu tere dard me rona chahu
tere dil ke inn zakhmo pe marham mai hona chahu
khuda ko dikh raha hoga na dil tujhse juda hoga
teri taqdeer me mujhko wo ab do likh raha hoga
sau baras guzre raat huye, sau baras guzre din huye
sau baras guzre chand dikhe, sau baras guzre bin jiye
kyu pal theharta hai ye, kyu waqt badalta nahi hai
yeh raah sooni hai kyun, kyun koi nikalta nahi hai
sau baras guzre saans liye, sau baras guzre bin jiye
palke hai khwaabo se khaali, dil hai ke bandh koi ghar
kabhi rang the naino me, kabhi dil ko lagte the par
woh raah saheli meri sab taare chura le gayi hai
woh dil jo tha mera ab woh bhi mera nahi hai
hai khafa mujhse yaar mera, kya pata kab yeh phir mile
hum toh charago se jhalke baithe hain umeed me
kya jaane yeh kis ka rahe intezaar hame
koi chu le mujhe kyu aakhir yeh lagta hai dil ko
saanse bandh hai toh kya ab bhi dhadakta hai dil toh
yeh tadap koi na sune, na samaj yunhi dil hai yeh
sau baras guzre raat huye, sau baras guzre din huye
tu hi, ha wo gair hai, jo ke apna laga
mangu, teri khair mai, ab to apni jaga
mai to karu rab se dua, mujhe de de har gham tera
meri khushiyo ka vaasta, mujhe de de har gham tera
teri in hatho ki lakire
tu mila mere inn haatho ki lakiro se ha, milti hai sabhi
kaise na milti tu ab mujhe
jo lika meri kismat me nasibo me, tu to hai wahi
tu hi, ha woh dard hai, jo sukoon hai mera
mai to karu rab se dua, mujhe de de har gham tera
meri khushiyo ka vaasta, mujhe de de har gham tera
tu hi hai sanso ka humsafar
ya hai zindagi jo jine ko kehti hai ha, tu hi hai wahi
khushi jo cha gayi ghamo par
ab to har kahi jo raunak si rehti hai, tu hi hai wahi
tu hai, ha woh pyar mai, jis ka hu rasta
mai to karu rab se dua, mujhe de de har gham tera
meri khushiyon ka vaasta, mujhe de de har gham tera
mai to karu rab se dua, mujhe de de har gham tera
meri khushiyo ka vaasta, mujhe de de har gham tera
thehri si yeh dhadkan meri
dekha tumhe toh chalne lagi
saanso ko mil gaya junoon
ab duniya meri badalne lagi
ho suno suno you are beautiful
suno suno you are beautiful
ho ke bhi na ho yakeen
you are so beautiful
khayalo me bas gaya ha tu
phir pehro dil ne socha tujhe
laga yu aur jee lu mai
jab aankho maine dekha tujhe
suno suno you are beautiful
suno suno you are beautiful
kho na jaana tum kahi
you are so beautiful
din dhal jaane de, raat dhal jaane de
yeh manzil nikal jaane de
ho tujhse judaa yeh mera raasta
tu aisa na kal aane de
jeena mushkil ho jaata hai
milke koi jab kho jaata hai
suno suno you are beautiful
suno suno you are beautiful
kho na jaana tum kahi
you are so beautiful
dil sunta hai teri sada, aa ru ba ru ab to zara
bechain si meri zindagi sunn kar teri yeh dastaan
jeena mera aasan kar, tu mil ke yeh ehsaan kar
kahin kho gaya chaino sukun tere dard ko ab jaan kar
jaaniya o jaaniya bas roye dil mera
aasu palko pe nahi hai bewajah
dil hai gum sada jaaniya
tujhe pa liya ya kho diya iss baat par dil ro diya
ke chaah kar tu naa aa sake, tu waqt hai guzra hua
tujhe rakh liya in yaado ne ik phool sa kitabo me
iss dil me tu rahega sada aur mehkega inn sanso me
rato me tu jal jata hai, chehre me tu dhal jata hai
tara hai tu mujh me toota sa
nindo me se jaga deta hai, palko ko bhigo deta hai
dariya hai tu mujh me dooba sa
har waqt khwabo ki tarah tu aata raha
jaaniya o jaaniya din kya raat kya
aahat ho koi lagta hai sada ke tu hai waha jaaniya
jaaniya o jaaniya bas roye dil mera
aasu palko pe nahi hai bewajah
dil hai gum sada jaaniya
Hone Laga Iss Tarah Meri Galti Hai
Dil Ko Roka To Ye Zubaa Chalti Hai
Ishq Ko Maine Bada Samjhaya
Ishq Ke Aage Kaha Chalti Hai
Tera Na Karta Zikr
Teri Na Hoti Fikr
Tere Liye Dil Rota Na Kabhi
Yu Na Bahata Ashq
Main Bhi Manata Jasn
Khud Ke Liye Bhi Jeeta Zindagi
Ba Khuda Dil Gaya
Ba Khuda Dil Gaya
Ba Khuda Dil Gaya
Ba Khuda Dil Gaya Ha
Tera Na Karta Zikr
Teri Na Hoti Fikr
Tere Liye Dil Rota Na Kabhi
Yu Na Bahata Ashq
Main Bhi Manata Jasn
Khud Ke Liye Bhi Jeeta Zindagi.